Difference between revisions of "महात्मा गाँधी"

भारत डिस्कवरी प्रस्तुति
Jump to navigation Jump to search
[unchecked revision][unchecked revision]
('महात्मा गाँधी को ब्रिटिश शासन के ख़िलाफ़ भारतीय राष...' के साथ नया पन्ना बनाया)
 
Line 15: Line 15:
 
जुलाई 1891 में जब गांधी भारत लौटे, तो अनुपस्थिति में उनकी माता का देहान्त हो चुका था और उन्हें यह जानकर बहुत निराशा हुई कि बैरिस्टर की डिग्री से अच्छे पेशेवर जीवन की गारंटी नहीं मिल सकती। वकालत के पेशे में पहले ही काफ़ी भीड़ हो चुकी थी और गांधी उनमें अपनी जगह बनाने के मामले में बहुत संकोची थे। बंबई (वर्तमान मुंबई) न्यायालय में पहली ही बहस में वह नाकाम रहे। यहाँ तक की बंबई उच्च न्यायालय में अल्पकालिक शिक्षक के पद के लिए भी उन्हें अस्वीकार कर दिया गया। इसलिए वह राजकोट लौटकर मुक़दमा करने वालों के लिए अर्ज़ी लिखने जैसे छोटे कामों के ज़रिये रोज़ी-रोटी कमाने लगे। एक स्थानीय ब्रिटिश अधिकारी को नाराज़ कर देने के कारण उनका यह काम भी बन्द हो गया। इसलिए उन्होंने [[दक्षिण अफ़्रीका]] में नटाल स्थित एक भारतीय कम्पनी से एक साल के अनुबंध को स्वीकार करके राहत की साँस ली।  
 
जुलाई 1891 में जब गांधी भारत लौटे, तो अनुपस्थिति में उनकी माता का देहान्त हो चुका था और उन्हें यह जानकर बहुत निराशा हुई कि बैरिस्टर की डिग्री से अच्छे पेशेवर जीवन की गारंटी नहीं मिल सकती। वकालत के पेशे में पहले ही काफ़ी भीड़ हो चुकी थी और गांधी उनमें अपनी जगह बनाने के मामले में बहुत संकोची थे। बंबई (वर्तमान मुंबई) न्यायालय में पहली ही बहस में वह नाकाम रहे। यहाँ तक की बंबई उच्च न्यायालय में अल्पकालिक शिक्षक के पद के लिए भी उन्हें अस्वीकार कर दिया गया। इसलिए वह राजकोट लौटकर मुक़दमा करने वालों के लिए अर्ज़ी लिखने जैसे छोटे कामों के ज़रिये रोज़ी-रोटी कमाने लगे। एक स्थानीय ब्रिटिश अधिकारी को नाराज़ कर देने के कारण उनका यह काम भी बन्द हो गया। इसलिए उन्होंने [[दक्षिण अफ़्रीका]] में नटाल स्थित एक भारतीय कम्पनी से एक साल के अनुबंध को स्वीकार करके राहत की साँस ली।  
 
==दक्षिण अफ़्रीका==
 
==दक्षिण अफ़्रीका==
डरबन न्यायालय में यूरोपीय मजिस्ट्रेट ने उन्हें पगड़ी उतारने के लिए कहा, उन्होंने इनकार कर दिया और न्यायालय से बाहर चले गए। कुछ दिनों के बाद प्रिटोरिया जाते समय उन्हें रेलवे के प्रथम श्रेणी के डिब्बे से बाहर फेंक दिया गया और उन्होंने स्टेशन पर ठिठुरते हुए रात बिताई। यात्रा के अगले चरण में उन्हें एक घोड़ागाड़ी के चालक से पिटना पड़ा, क्योंकि यूरोपीय यात्री को जगह देकर पायदान पर यात्रा करने से उन्होंने इनकार कर दिया था, और अन्ततः 'सिर्फ़ यूरोपीय लोगों के लिए' सुरक्षित होटलों में उनके जाने पर रोक लगा दी गई। नटाल में भारतीय व्यापारियों और श्रमिकों के लिए ये अपमान दैनिक जीवन के हिस्सा थे। जो नया था, वह गांधी का अनुभव न होकर उनकी प्रतिक्रिया थी। अब तक वह हठधर्मिता और उग्रता के पक्ष में नहीं थे, लेकिन जब उन्हें अनपेक्षित अपमानों से गुज़रना पड़ा, तो उनमें कुछ बदलाव आया। बाद में देखने पर उन्हें लगा कि डरबन से प्रिटोरिया तक की यात्रा उनके जीवन के महानतम रचनात्मक अनुभवों में से थी। यह उनके सत्य का क्षण था। मेरित्सबर्ग काण्ड ने गांधी जी की जीवन यात्रा को एक नयी दिशा दी। उन्होंने स्वयं उस घटना का विवरण इस प्रकार लिखा है---'मेरित्सबर्ग में एक पुलिस कांस्टेबल ने मुझे धक्का देकर ट्रेन से बाहर निकाल दिया। ट्रेन चली गयी। मैं विश्राम कक्ष में बैठ गया। मैं ठंड से काँप रहा था। मुझे नहीं मालूम था कि मेरा असबाब कहाँ पर है, और न तो मैं किसी से कुछ पूछने की हिम्मत कर सकता था कि कहीं फिर से बेइज्जती न हो। नींद का सवाल ही नहीं था। मेरे मन में ऊहापोह होने लगी। काफ़ी रात गये मैं इस नतीजे पर पहुँचा कि भारत वापस भाग जाना क़ायरता होगी। मैंने जो दायित्व अपने ऊपर लिया है, उसे पूरा करना चाहिए।' मेरित्सबर्ग कांड के बाद उन्होंने अपने मन में दक्षिणी अफ़्रीका के प्रवासी भारतीयों को उस अपमान की ज़िन्दगी से उबारने का संकल्प लिया। जिसे वे लम्बे अरसे से झेलते आ रहे थे। इस संकल्प के बाद गांधीजी अगले बीस वर्षों (1893-1914) तक दक्षिणी अफ़्रीका में रहे और शीघ्र ही वहाँ पर इनके नेतृत्व में उत्पीड़ित भारतीयों पर लगे सारे प्रतिबंधों को हटाने के लिए एक आंदोलन छिड़ गया। इस आंदोलन को सफल बनाने के उद्देश्य से उन्होंने अपनी चलती हुई वकालत छोड़ दी और ब्रह्मचर्य व्रत धारण कर अपने परिवार और मित्रों के साथ टालस्टाय आश्रम की स्थापना करके वहीं पर रहने लगे।  फिर कभी उन्होंने अन्याय स्वीकार नहीं किया। एक भारतीय और एक व्यक्ति के रूप में अपने सम्मान की रक्षा की।  
+
डरबन न्यायालय में यूरोपीय मजिस्ट्रेट ने उन्हें पगड़ी उतारने के लिए कहा, उन्होंने इनकार कर दिया और न्यायालय से बाहर चले गए। कुछ दिनों के बाद प्रिटोरिया जाते समय उन्हें रेलवे के प्रथम श्रेणी के डिब्बे से बाहर फेंक दिया गया और उन्होंने स्टेशन पर ठिठुरते हुए रात बिताई। यात्रा के अगले चरण में उन्हें एक घोड़ागाड़ी के चालक से पिटना पड़ा, क्योंकि यूरोपीय यात्री को जगह देकर पायदान पर यात्रा करने से उन्होंने इनकार कर दिया था, और अन्ततः 'सिर्फ़ यूरोपीय लोगों के लिए' सुरक्षित होटलों में उनके जाने पर रोक लगा दी गई। नटाल में भारतीय व्यापारियों और श्रमिकों के लिए ये अपमान दैनिक जीवन के हिस्सा थे। जो नया था, वह गांधी का अनुभव न होकर उनकी प्रतिक्रिया थी। अब तक वह हठधर्मिता और उग्रता के पक्ष में नहीं थे, लेकिन जब उन्हें अनपेक्षित अपमानों से गुज़रना पड़ा, तो उनमें कुछ बदलाव आया। बाद में देखने पर उन्हें लगा कि डरबन से प्रिटोरिया तक की यात्रा उनके जीवन के महानतम रचनात्मक अनुभवों में से थी। यह उनके सत्य का क्षण था।  
 
+
====मेरित्सबर्ग काण्ड====
 +
मेरित्सबर्ग काण्ड ने गांधी जी की जीवन यात्रा को एक नयी दिशा दी। उन्होंने स्वयं उस घटना का विवरण इस प्रकार लिखा है---'मेरित्सबर्ग में एक पुलिस कांस्टेबल ने मुझे धक्का देकर ट्रेन से बाहर निकाल दिया। ट्रेन चली गयी। मैं विश्राम कक्ष में बैठ गया। मैं ठंड से काँप रहा था। मुझे नहीं मालूम था कि मेरा असबाब कहाँ पर है, और न तो मैं किसी से कुछ पूछने की हिम्मत कर सकता था कि कहीं फिर से बेइज्जती न हो। नींद का सवाल ही नहीं था। मेरे मन में ऊहापोह होने लगी। काफ़ी रात गये मैं इस नतीजे पर पहुँचा कि भारत वापस भाग जाना क़ायरता होगी। मैंने जो दायित्व अपने ऊपर लिया है, उसे पूरा करना चाहिए।' मेरित्सबर्ग कांड के बाद उन्होंने अपने मन में दक्षिणी अफ़्रीका के प्रवासी भारतीयों को उस अपमान की ज़िन्दगी से उबारने का संकल्प लिया। जिसे वे लम्बे अरसे से झेलते आ रहे थे। इस संकल्प के बाद गांधीजी अगले बीस वर्षों (1893-1914) तक दक्षिणी अफ़्रीका में रहे और शीघ्र ही वहाँ पर इनके नेतृत्व में उत्पीड़ित भारतीयों पर लगे सारे प्रतिबंधों को हटाने के लिए एक आंदोलन छिड़ गया। इस आंदोलन को सफल बनाने के उद्देश्य से उन्होंने अपनी चलती हुई वकालत छोड़ दी और ब्रह्मचर्य व्रत धारण कर अपने परिवार और मित्रों के साथ टालस्टाय आश्रम की स्थापना करके वहीं पर रहने लगे।  फिर कभी उन्होंने अन्याय स्वीकार नहीं किया। एक भारतीय और एक व्यक्ति के रूप में अपने सम्मान की रक्षा की।  
 +
====विदाई समारोह====
 
प्रिटोरिया प्रवास के दौरान गांधी ने अपने देशवासियों की उन परिस्थितियों का अध्ययन किया, जिसमें वे जी रहे थे और उन्हें उनके अधिकारों तथा कर्तव्यों के बारे में शिक्षित करने का प्रयास किया। उनका दक्षिण अफ़्रीका में लम्बे समय तक रहने का कोई इरादा नहीं था। जून 1894 में जब एक साल का अनुबंध समाप्त होने को आया, तो वह वापस डरबन आकर भारत लौटने को तैयार थे। उनके सम्मान में आयोजित विदाई समारोह में नटाल मर्क्युरि के पन्ने पलटते हुए उन्हें पता चला कि नटाल लेजिस्लेटिव असेंबली भारतीयों को मतदान के अधिकार से वंचित करने सम्बन्धी एक विधेयक पर विचार कर रही है। गांधी ने अपने मेजबानों से कहा, 'यह हमारे ताबूत की पहली कील है', लोगों ने इस विधेयक का विरोध करने में अक्षमता दिखाई और औपनिवेशिक राजनीति पर अपनी अज्ञानता स्वीकारते हुए गांधी से अपने लिए संघर्ष की प्रार्थना की।  
 
प्रिटोरिया प्रवास के दौरान गांधी ने अपने देशवासियों की उन परिस्थितियों का अध्ययन किया, जिसमें वे जी रहे थे और उन्हें उनके अधिकारों तथा कर्तव्यों के बारे में शिक्षित करने का प्रयास किया। उनका दक्षिण अफ़्रीका में लम्बे समय तक रहने का कोई इरादा नहीं था। जून 1894 में जब एक साल का अनुबंध समाप्त होने को आया, तो वह वापस डरबन आकर भारत लौटने को तैयार थे। उनके सम्मान में आयोजित विदाई समारोह में नटाल मर्क्युरि के पन्ने पलटते हुए उन्हें पता चला कि नटाल लेजिस्लेटिव असेंबली भारतीयों को मतदान के अधिकार से वंचित करने सम्बन्धी एक विधेयक पर विचार कर रही है। गांधी ने अपने मेजबानों से कहा, 'यह हमारे ताबूत की पहली कील है', लोगों ने इस विधेयक का विरोध करने में अक्षमता दिखाई और औपनिवेशिक राजनीति पर अपनी अज्ञानता स्वीकारते हुए गांधी से अपने लिए संघर्ष की प्रार्थना की।  
 
+
====नटाल इंडियन कांग्रेस====
 
18 वर्ष की आयु तक गांधी ने शायद ही कभी समाचार पत्र पढ़ा था। न तो इंग्लैंड के विद्यार्थी काल में और न ही भारत में बैरिस्टरी की शुरूआत में राजनीति में उनकी कभी रुचि रही। वस्तुतः किसी सभा में भाषण देते समय या अदालत में मुवक्किल का बचाव करते हुए वे जैसे ही बोलने खड़े होते, मंचीय भय उन्हें जकड़ लेता था। फिर भी, 1894 में मात्र 25 वर्ष की आयु में वह लगभग रातों रात एक सफल राजनीतिक आंदोलनकारी बन गए। उन्होंने नटाल की विधायिका और ब्रिटिश सरकार के नाम याचिकाएँ लिखीं और उन पर सैकड़ों भारतीयों के हस्ताक्षर कराए। वह विधेयक को तो नहीं रोक सके, लेकिन नटाल में रहने वाले भारतीयों के कष्टों की ओर नटाल, भारत और इंग्लैंड के अख़बारों का ध्यान आकर्षित करने में सफल रहे। उन्हें डरबन में रहकर वकालत करने और भारतीय समुदाय का एकजुट करने के लिए राज़ी कर लिया गया। 1894 में उन्होंने नटाल इंडियन कांग्रेस की स्थापना की और उसके सक्रिय सचिव बन गए। इस सामान्य राजनीतिक संगठन के माध्यम से उन्होंने बहुजातीय भारतीय समुदाय में एकता की भावना भर दी। उन्होंने सरकार विधायिका और प्रेस में भारतीयों के कष्टों से सम्बन्धित तर्कपूर्ण वक्तव्यों की झड़ी लगा दी। अन्ततः उन्होंने महारानी विक्टोरिया की भारतीय प्रजा के साथ उनके ही अफ़्रीका स्थित अपनिवेश में किए जा रहे भेदभाव को दुनिया के सामने उजागर करके साम्राज्य की पोल खोल दी। एक प्रचारक के रूप में उनकी सफलता का प्रमाण यह था कि लंदन के 'द टाइम्स' और कलकत्ता (वर्तमान कोलकाता) के 'स्टेट्समैन' तथा 'इंग्लिशमैन' जैसे अख़बारों के संपादकीय में भी नटाल के भारतीयों के कष्टों पर टिप्पणियाँ लिखी गईं। 1896 में अपनी पत्नी कस्तूरबा तथा बच्चों को लाने एवं विदेश में रहने वाले भारतीयों के लिए समर्थन जुटाने हेतु गांधी भारत पहुँचे, उन्होंने प्रमुख नेताओं से मिलकर उन्हें बड़े-बड़े शहरों में जनसभाएँ: संबोधित करने के लिए राज़ी किया।  
 
18 वर्ष की आयु तक गांधी ने शायद ही कभी समाचार पत्र पढ़ा था। न तो इंग्लैंड के विद्यार्थी काल में और न ही भारत में बैरिस्टरी की शुरूआत में राजनीति में उनकी कभी रुचि रही। वस्तुतः किसी सभा में भाषण देते समय या अदालत में मुवक्किल का बचाव करते हुए वे जैसे ही बोलने खड़े होते, मंचीय भय उन्हें जकड़ लेता था। फिर भी, 1894 में मात्र 25 वर्ष की आयु में वह लगभग रातों रात एक सफल राजनीतिक आंदोलनकारी बन गए। उन्होंने नटाल की विधायिका और ब्रिटिश सरकार के नाम याचिकाएँ लिखीं और उन पर सैकड़ों भारतीयों के हस्ताक्षर कराए। वह विधेयक को तो नहीं रोक सके, लेकिन नटाल में रहने वाले भारतीयों के कष्टों की ओर नटाल, भारत और इंग्लैंड के अख़बारों का ध्यान आकर्षित करने में सफल रहे। उन्हें डरबन में रहकर वकालत करने और भारतीय समुदाय का एकजुट करने के लिए राज़ी कर लिया गया। 1894 में उन्होंने नटाल इंडियन कांग्रेस की स्थापना की और उसके सक्रिय सचिव बन गए। इस सामान्य राजनीतिक संगठन के माध्यम से उन्होंने बहुजातीय भारतीय समुदाय में एकता की भावना भर दी। उन्होंने सरकार विधायिका और प्रेस में भारतीयों के कष्टों से सम्बन्धित तर्कपूर्ण वक्तव्यों की झड़ी लगा दी। अन्ततः उन्होंने महारानी विक्टोरिया की भारतीय प्रजा के साथ उनके ही अफ़्रीका स्थित अपनिवेश में किए जा रहे भेदभाव को दुनिया के सामने उजागर करके साम्राज्य की पोल खोल दी। एक प्रचारक के रूप में उनकी सफलता का प्रमाण यह था कि लंदन के 'द टाइम्स' और कलकत्ता (वर्तमान कोलकाता) के 'स्टेट्समैन' तथा 'इंग्लिशमैन' जैसे अख़बारों के संपादकीय में भी नटाल के भारतीयों के कष्टों पर टिप्पणियाँ लिखी गईं। 1896 में अपनी पत्नी कस्तूरबा तथा बच्चों को लाने एवं विदेश में रहने वाले भारतीयों के लिए समर्थन जुटाने हेतु गांधी भारत पहुँचे, उन्होंने प्रमुख नेताओं से मिलकर उन्हें बड़े-बड़े शहरों में जनसभाएँ: संबोधित करने के लिए राज़ी किया।  
  
यह गांधी का दुर्भाग्य था कि उनकी गतिविधियों और वक्तव्यों की ऊटपटांग ख़बरें नटाल पहुँची और वहाँ की यूरोपीय जनता बिगड़ उठी। जनवरी 1897 में डरबन पहुँचने पर उग्र गोरों की भीड़ ने उन पर प्राण घातक हमला कर दिया। ब्रिटिश मंत्रीमंडल में औपनिवेशिक सचिव जोज़फ़ चेंबरलेन ने नटाल सरकार को तार भेजकर दोषी व्यक्तियों को गिरफ़्तार करने को कहा, लेकिन गांधी ने हमलावरों पर मुक़दमा करने से इनकार कर दिया। उन्होंने कहा कि यह उनका सिद्धांत है कि व्यक्तिगत क्षति को क़ानूनी अदालत में न ले जाया जाए।  
+
यह गांधी का दुर्भाग्य था कि उनकी गतिविधियों और वक्तव्यों की ऊटपटांग ख़बरें नटाल पहुँची और वहाँ की यूरोपीय जनता बिगड़ उठी। जनवरी 1897 में डरबन पहुँचने पर उग्र गोरों की भीड़ ने उन पर प्राण घातक हमला कर दिया। ब्रिटिश मंत्रीमंडल में औपनिवेशिक सचिव जोज़फ़ चेंबरलेन ने नटाल सरकार को तार भेजकर दोषी व्यक्तियों को गिरफ़्तार करने को कहा, लेकिन गांधी ने हमलावरों पर मुक़दमा करने से इनकार कर दिया। उन्होंने कहा कि यह उनका सिद्धांत है कि व्यक्तिगत क्षति को क़ानूनी अदालत में न ले जाया जाए।
  
 
==प्रतिरोध और परिणाम==
 
==प्रतिरोध और परिणाम==

Revision as of 07:24, 2 June 2010

mahatma gaandhi ko british shasan ke khilaf bharatiy rashtriy aandolan ke neta, rashtrapita mana jata hai. inaka poora mohan das karamachand gaandhi tha. rajanitik aur samajik pragati ki prapti hetu apane ahiansak virodh ke siddhaant ke lie unhean aantarashtriy khyati prapt hai. mohanadas karamachand gaandhi bharat evan bharatiy svatantrata aandolan ke ek pramukh rajanaitik evan adhyatmik neta the.

jivan parichay

mahatma gaandhi ka janm 2 aktoobar 1869 ee. ko gujarat ke porabandar namak sthan mean hua tha. unake mata-pita kattar hindoo the. inake pita ka nam karamachand gaandhi tha. mohanadas ki mata ka nam putalibaee tha jo karamachand gaandhi ji ki chauthi patni thi. mohanadas apane pita ki chauthi patni ki antim santan the. unake pita karamachand (kaba gaandhi) pahale british shasan ke tahat pashchimi bharat ke gujarat mean ek chhoti-si riyasat ki rajadhani porabandar ke divan the aur bad mean kramashah rajakot (kathiyava d) aur vaankaner mean divan rahe. karamachand gaandhi ne bahut adhik aupacharik shiksha to prapt nahian ki thi, lekin vah ek kushal prashasak the aur unhean sanaki rajakumaroan, unaki duahkhi praja tatha sattasin kattar british rajanitik adhikariyoan ke bich apana rasta nikalana ata tha.

gaandhi ki maan putalibaee atyadhik dharmik thian aur bhog-vilas mean unaki zyada ruchi nahian thi. unaki dinacharya ghar aur mandir mean banti huee thi. vah niyamit roop se upavas rakhati thian aur parivar mean kisi ke bimar p dane par usaki seva sushrusha mean din-rat ek kar deti thian. mohanadas ka lalan-palan vaishnav mat mean rame parivar mean hua aur un par kathin nitiyoan vale bharatiy dharm jain dharm ka gahara prabhav p da. jisake mukhy siddhaant, ahiansa evan vishv ki sabhi vastuoan ko shashvat manana hai. is prakar, unhoanne svabhavik roop se ahiansa, shakahar, atmashuddhi ke lie upavas aur vibhinn panthoan tatha samudayoan ka manane valoan ke bich paraspar sahishnuta ko apanaya.

yuvavastha

mohanadas ek ausat vidyarthi the, halaanki unhoanne yada-kada puraskar aur chhatravrittiyaan bhi jitian. ek satraant-pariksha mean unake parinam mean aangreji mean achchha, aankaganit mean thik-thak bhoogol mean kharab, chal-chalan bahut achchha, likhavat kharab ki tippani ki gee thi. mohanadas karamachand jab keval terah varsh ke the aur skool mean padhate the, porabandar ke ek vyapari ki putri kastoorabaee (kastooraba) se unaka vivah kar diya gaya. var-vadhu ki avastha lagabhag saman thi. donoan ne 62 varsh tak vaivahik jivan bitaya. 1944 ee. mean poona ki british jel mean kastooraba ka svargavas hua. gaandhiji atharah varsh ki ayu mean ek putr ke pita ho gaye the. vah padhaee v khel, donoan mean hi prakhan nahian the. bimar pita ki seva karane aur ghareloo kamoan mean maan ka hath bantane aur samay milane par unhean door tak akele sair par nikalana pasand tha. unhian ke shabdoan mean unhoanne 'b doan ki ajna ka palan karana sikha, unamean minamekh nikalana nahian.' vah kishoravastha ke vidrohi daur se bhi guzare, jisamean gupt nastikavad, chhoti-moti choriyaan, chhipakar dhoomrapan aur vaishnav parivar mean janmean kisi l dake ke lie sabase zyada chauankane vali bat—maans khana shamil tha. unaki kishoravastha unaki ayu aur varg ke adhikaansh bachchoan se adhik halachal bhari nahian thi. unaki yuvavastha ki nadaniyoan ka antim bindu asadharan tha. har aisi nadani ke bad vah svayan vada karate 'phir kabhi aisa nahian' aur apane vade par atal rahate. unamean atmasudhar ki lau jalati rahati thi. jisake karan unhoanne sachchaee aur balidan ke pratik prahalad aur harishchandr jaise pauranik hindoo nayakoan ko sajiv adarsh ke roop mean grahan kiya.

shiksha

1887 mean mohanadas ne jaise-taise banbee yoonivarsiti ki maitrik ki pariksha pas ki aur bhavanagar sthit samaladas kalej mean dakhila liya. achanak gujarati se aangreji bhasha mean jane se unhean vyakhyanoan ko samajhane mean kuchh dikkat hone lagi. is bich unake parivar mean unake bhavishy ko lekar charcha chal rahi thi. agar nirnay un par chho da jata, to vah daktar banana chahate the. lekin vaishnav parivar mean chirafa d ke khilaf poorvagrah ke alava yah bhi spasht tha ki yadi unhean gujarat ke kisi rajagharane mean uchch pad prapt karane ki parivarik parampara nibhani hai, to unhean bairistar banana p dega. isaka arth tha ianglaiand yatra aur gaandhi ne, jinaka samaladas kalej mean khas man nahian lag raha tha, is prastav ko saharsh hi svikar kar liya. unake yuva man mean ianglaiand ki chhavi 'darshanikoan aur kaviyoan ki bhoomi, sampoorn sabhyata ke kendr' ke roop mean thi. sitambar 1888 mean vah pani ke jahaz par savar hue. vahaan pahuanchane ke 10 din bad vah landan ke char qanoon mahavidyalay mean se ek 'inar teanpal' mean dakhil ho ge.

ianglaiand

gaandhi ne apani padhaee ko gambhirata se liya aur landan yoonivarsiti maitrikuleshan pariksha mean baithakar aangrezi tatha laitin ko sudharane ka prayas kiya. rajakot ke arddh gramin mahaul se landan ke mahanagariy jivan mean parivartan unake lie asan nahian tha. jab vah pashchimi khan-pan, tahazib aur pahanave ko apanane ke lie joojhate, unhean atapata lagata. unaka shakahari hona unake lie lagatar sharmiandagi ka karan ban jata. unake mitroan ne unhean chetavani di ki isaka dushprabhav unake adhyayan aur svasthy, donoan par p dega. saubhagyavash unhean ek shakahari restaraan ke sath-sath ek pustak mil gee, jisamean shakahar ke paksh mean tark die ge the. vah landan vejiteriyan sosaiti ke karyakari sadasy bhi ban ge aur usake sammelanoan mean bhag lene lage tatha usaki patrika bhi likhane lage. yahaan tin varshoan (1888-91) tak rahakar unhoanne bairistari pas ki.

ianglaiand ke shakahari restaraan aur avas—grihoan mean gaandhi ki mulaqat n sirf bhojan ke mamale mean kattar logoan se huee, balki unhean kuchh gambhir stri-purush bhi mile. jinhean baibil aur bhagavat gita se parichay karane ka shrey diya. bhagavadagita ko unhoanne sabase pahale sar edavin arnold ke aangrezi anuvad mean padha. parichit shakahari aangrezoan mean edavard karapeantar jaise samajavadi aur manavatavadi the, jo ki british thoro kahalate the. jarj barnad sha jaise febiyan, aur eni beseant sarikhe dharmashastri shamil the. unamean se adhikaansh adarshavadi the. kuchh vidrohi tevar ke bhi the. jo uttaravarti viktoriyaee vyavastha ke tatkalin moolyoan ko nahian janate the. ve sada jivan ke muqabale sahayog ko adhik mahatv dete the. in vicharoan ne gaandhi ke vyaktitv aur bad mean unaki rajaniti ko akar dene mean mahatvapoorn bhoomika nibhaee.

julaee 1891 mean jab gaandhi bharat laute, to anupasthiti mean unaki mata ka dehant ho chuka tha aur unhean yah janakar bahut nirasha huee ki bairistar ki digri se achchhe peshevar jivan ki garanti nahian mil sakati. vakalat ke peshe mean pahale hi kafi bhi d ho chuki thi aur gaandhi unamean apani jagah banane ke mamale mean bahut sankochi the. banbee (vartaman muanbee) nyayalay mean pahali hi bahas mean vah nakam rahe. yahaan tak ki banbee uchch nyayalay mean alpakalik shikshak ke pad ke lie bhi unhean asvikar kar diya gaya. isalie vah rajakot lautakar muqadama karane valoan ke lie arzi likhane jaise chhote kamoan ke zariye rozi-roti kamane lage. ek sthaniy british adhikari ko naraz kar dene ke karan unaka yah kam bhi band ho gaya. isalie unhoanne dakshin afrika mean natal sthit ek bharatiy kampani se ek sal ke anubandh ko svikar karake rahat ki saans li.

dakshin afrika

daraban nyayalay mean yooropiy majistret ne unhean pag di utarane ke lie kaha, unhoanne inakar kar diya aur nyayalay se bahar chale ge. kuchh dinoan ke bad pritoriya jate samay unhean relave ke pratham shreni ke dibbe se bahar pheank diya gaya aur unhoanne steshan par thithurate hue rat bitaee. yatra ke agale charan mean unhean ek gho daga di ke chalak se pitana p da, kyoanki yooropiy yatri ko jagah dekar payadan par yatra karane se unhoanne inakar kar diya tha, aur antatah 'sirf yooropiy logoan ke lie' surakshit hotaloan mean unake jane par rok laga di gee. natal mean bharatiy vyapariyoan aur shramikoan ke lie ye apaman dainik jivan ke hissa the. jo naya tha, vah gaandhi ka anubhav n hokar unaki pratikriya thi. ab tak vah hathadharmita aur ugrata ke paksh mean nahian the, lekin jab unhean anapekshit apamanoan se guzarana p da, to unamean kuchh badalav aya. bad mean dekhane par unhean laga ki daraban se pritoriya tak ki yatra unake jivan ke mahanatam rachanatmak anubhavoan mean se thi. yah unake saty ka kshan tha.

meritsabarg kand

meritsabarg kand ne gaandhi ji ki jivan yatra ko ek nayi disha di. unhoanne svayan us ghatana ka vivaran is prakar likha hai---'meritsabarg mean ek pulis kaanstebal ne mujhe dhakka dekar tren se bahar nikal diya. tren chali gayi. maian vishram kaksh mean baith gaya. maian thand se kaanp raha tha. mujhe nahian maloom tha ki mera asabab kahaan par hai, aur n to maian kisi se kuchh poochhane ki himmat kar sakata tha ki kahian phir se beijjati n ho. niand ka saval hi nahian tha. mere man mean oohapoh hone lagi. kafi rat gaye maian is natije par pahuancha ki bharat vapas bhag jana qayarata hogi. maianne jo dayitv apane oopar liya hai, use poora karana chahie.' meritsabarg kaand ke bad unhoanne apane man mean dakshini afrika ke pravasi bharatiyoan ko us apaman ki zindagi se ubarane ka sankalp liya. jise ve lambe arase se jhelate a rahe the. is sankalp ke bad gaandhiji agale bis varshoan (1893-1914) tak dakshini afrika mean rahe aur shighr hi vahaan par inake netritv mean utpi dit bharatiyoan par lage sare pratibandhoan ko hatane ke lie ek aandolan chhi d gaya. is aandolan ko saphal banane ke uddeshy se unhoanne apani chalati huee vakalat chho d di aur brahmachary vrat dharan kar apane parivar aur mitroan ke sath talastay ashram ki sthapana karake vahian par rahane lage. phir kabhi unhoanne anyay svikar nahian kiya. ek bharatiy aur ek vyakti ke roop mean apane samman ki raksha ki.

vidaee samaroh

pritoriya pravas ke dauran gaandhi ne apane deshavasiyoan ki un paristhitiyoan ka adhyayan kiya, jisamean ve ji rahe the aur unhean unake adhikaroan tatha kartavyoan ke bare mean shikshit karane ka prayas kiya. unaka dakshin afrika mean lambe samay tak rahane ka koee irada nahian tha. joon 1894 mean jab ek sal ka anubandh samapt hone ko aya, to vah vapas daraban akar bharat lautane ko taiyar the. unake samman mean ayojit vidaee samaroh mean natal markyuri ke panne palatate hue unhean pata chala ki natal lejisletiv aseanbali bharatiyoan ko matadan ke adhikar se vanchit karane sambandhi ek vidheyak par vichar kar rahi hai. gaandhi ne apane mejabanoan se kaha, 'yah hamare taboot ki pahali kil hai', logoan ne is vidheyak ka virodh karane mean akshamata dikhaee aur aupaniveshik rajaniti par apani ajnanata svikarate hue gaandhi se apane lie sangharsh ki prarthana ki.

natal iandiyan kaangres

18 varsh ki ayu tak gaandhi ne shayad hi kabhi samachar patr padha tha. n to ianglaiand ke vidyarthi kal mean aur n hi bharat mean bairistari ki shurooat mean rajaniti mean unaki kabhi ruchi rahi. vastutah kisi sabha mean bhashan dete samay ya adalat mean muvakkil ka bachav karate hue ve jaise hi bolane kh de hote, manchiy bhay unhean jak d leta tha. phir bhi, 1894 mean matr 25 varsh ki ayu mean vah lagabhag ratoan rat ek saphal rajanitik aandolanakari ban ge. unhoanne natal ki vidhayika aur british sarakar ke nam yachikaean likhian aur un par saik doan bharatiyoan ke hastakshar karae. vah vidheyak ko to nahian rok sake, lekin natal mean rahane vale bharatiyoan ke kashtoan ki or natal, bharat aur ianglaiand ke akhabaroan ka dhyan akarshit karane mean saphal rahe. unhean daraban mean rahakar vakalat karane aur bharatiy samuday ka ekajut karane ke lie razi kar liya gaya. 1894 mean unhoanne natal iandiyan kaangres ki sthapana ki aur usake sakriy sachiv ban ge. is samany rajanitik sangathan ke madhyam se unhoanne bahujatiy bharatiy samuday mean ekata ki bhavana bhar di. unhoanne sarakar vidhayika aur pres mean bharatiyoan ke kashtoan se sambandhit tarkapoorn vaktavyoan ki jh di laga di. antatah unhoanne maharani viktoriya ki bharatiy praja ke sath unake hi afrika sthit apanivesh mean kie ja rahe bhedabhav ko duniya ke samane ujagar karake samrajy ki pol khol di. ek pracharak ke roop mean unaki saphalata ka praman yah tha ki landan ke 'd taims' aur kalakatta (vartaman kolakata) ke 'stetsamain' tatha 'ianglishamain' jaise akhabaroan ke sanpadakiy mean bhi natal ke bharatiyoan ke kashtoan par tippaniyaan likhi geean. 1896 mean apani patni kastooraba tatha bachchoan ko lane evan videsh mean rahane vale bharatiyoan ke lie samarthan jutane hetu gaandhi bharat pahuanche, unhoanne pramukh netaoan se milakar unhean b de-b de shaharoan mean janasabhaean: sanbodhit karane ke lie razi kiya.

yah gaandhi ka durbhagy tha ki unaki gatividhiyoan aur vaktavyoan ki ootapataang khabarean natal pahuanchi aur vahaan ki yooropiy janata big d uthi. janavari 1897 mean daraban pahuanchane par ugr goroan ki bhi d ne un par pran ghatak hamala kar diya. british mantrimandal mean aupaniveshik sachiv jozaf cheanbaralen ne natal sarakar ko tar bhejakar doshi vyaktiyoan ko giraftar karane ko kaha, lekin gaandhi ne hamalavaroan par muqadama karane se inakar kar diya. unhoanne kaha ki yah unaka siddhaant hai ki vyaktigat kshati ko qanooni adalat mean n le jaya jae.

pratirodh aur parinam

gaandhi manamutav palane vale vyakti nahian the. 1899 mean dakshin afrika (boar) yuddh chhi dane par unhoanne natal ke british upanivesh mean nagarikata ke sampoorn adhikaroan ka dava karane vale bharatiyoan se kaha ki upanivesh ki raksha karana unaka kartavy hai. unhoanne 1100 svayan sevakoan ki eanbulens kor ki sthapana ki, jisamean 300 svatantr bharatiy aur baqi bandhua mazadoor the. yah ek panchamel samooh tha-- bairistar aur lekhakar, karigar aur mazadoor. yuddh ki samapti se dakshin afrika ke bharatiyoan ko shayad hi koee rahat mili. gaandhi ne dekha ki kuchh eesaee mishanariyoan aur yuva adarshavadiyoan ke alava dakshin afrika mean rahane vale yooropiyoan par ashanuroop chhap chho dane mean vah asaphal rahe haian. 1906 mean taansaval sarakar ne vahaan ki bharatiy janata ke panjikaran ke lie vishesh roop se apamanajanak adhyadesh jari kiya. bharatiyoan ne sitambar 1906 mean johensabarg mean gaandhi ke netritv mean ek virodh janasabha ka ayojan kiya aur is adhyadesh ke ullanghan tatha isake parinamasvaroop dand bhugatane ki shapath li. is prakar satyagrah ka janm hua, jo vedana pahuanchane ke bajay unhean jhelane, vidveshahin pratirodh karane aur bina hiansa ke usase l dane ki nee takanik thi.

dakshin afrika mean sat varsh se adhik samay tak sangharsh chala. isamean utar-chadhav ate rahe, lekin gaandhi ke netritv mean bharatiy alpasankhyakoan ke chhote se samuday ne apane shaktishali pratipakshiyoan ke khilaf sangharsh jari rakha. saik doan bharatiyoan ne apane aantahkaran aur svabhiman ko chot pahuanchane vale qanoon ke samane jhukane ke bajay apani ajivika tatha svatantrata ki bali chadhana jyada pasand kiya. 1913 mean aandolan ke antim charan mean mahilaoan samet saik doan bharatiyoan ne karavas ki saza bhugati tatha khadanoan mean kam band karake h datal kar rahe hazaroan bharatiy mazadooroan ne ko doan ki mar, jel ki saza aur yahaan tak ki goli marane ke adesh ka bhi sahasapoorn samana kiya. bharatiyoan ke lie yah ghor yantrana thi. lekin dakshin afriki sarakar ke liy yah sabase kharab prachar siddh hua aur usane bharat v british sarakar ke dabav ke tahat ek samajhaute ko svikar kiya. jis par ek or se gaandhi tatha doosari or se dakshin afriki sarakar ke pratinidhi janaral jan krishchiyan smats ne batachit ki thi.

julaee 1914 mean dakshin afrika se gaandhi ke bharat prasthan ke bad smats ne ek mitr ko likha tha, 'sant ne hamari bhoomi se vida le li hai, asha hai sada ke lie'; 25 varsh ke bad unhoanne likha, 'aise vyakti ka virodhi hona meri niyati thi, jinake lie tab bhi mere man mean bahut samman tha', apani anek jel yatraoan ke dauran ek bar gaandhi ne smats ke lie ek jo di chappal banaee thi. smats ka sansmaran hai ki unake bich koee ghrina ya vyaktigat durbhav nahian tha aur jab l daee khatm ho gee to 'mahol aisa tha, jisamean ek sammanajanak samajhaute ko aanjam diya ja sakata tha.

dharmik khoj

gaandhi ki dharmik khoj unaki mata, porabandar tatha rajakot sthit ghar ke prabhav se bachapan mean hi shuroo ho gee thi. lekin dakshin afrika pahuanchane par ise kafi bal mila. vah eesaee dharm par talsatay ke lekhan par mugdh the. unhoanne quran ke anuvad ka adhyayan kiya aur hindoo abhilekhoan tatha darshan mean dubakiyaan lagaeean. sapekshik karm ke adhyayan, vidvanoan ke sath batachit aur dharmashastriy kritiyoan ke niji adhyayan se vah is nishkarsh par pahuanche ki sabhi dharm saty haian aur phir bhi har ek dharm apoorn hai. kyoanki unaki vyakhya starahin briddhi, kabhi-kabhi sankirn hraday se ki gee hai aur aksar durvyakhya huee hai. bhagavadagita, jisaka gaandhi ne pahali bar ianglaiand mean adhyayan kiya tha, unaka 'adhyatmik shabdakosh' ban gaya aur sambhavatah unake jivan par isi ka sabase adhik prabhav p da. gita mean ullikhit sanskrit ke do shabdoan ne unhean sabase jyada akarshit kiya. ek tha aparigrah (tyag), jisaka arth hai, manushy ko apane adhyatmik jivan ko badhit karane vali bhautik vastuoan ka tyag kar dena chahie aur use dhan-sampatti ke bandhanoan se mukt ho jana chahie. doosara shabd hai samabhav (saman bhav), jisane unhean duahkh ya sukh, jit ya har, sabamean adig rahana tatha saphalata ki asha ya asaphalata ke bhay ke bina kam karana sikhaya. ye sirf poornata ke samopadesh nahian the. jis divani muqadamean ke karan vah 1893 mean dakshin afrika ae the, usamean unhoanne donoan virodhiyoan ko nyayalay se bahar hi samajhauta karane par razi kar liya tha. unake anusar, ek sachche vakil ka kam 'virodhi pakshoan ko ekajut karana tha. jaldi hi vah muvakkiloan ko apani seva ke kharidar ke bajay mitr samajhane lage, jo n sirf qanooni mamaloan mean unaki salah lete the, balki bachche se maan ka doodh chhu dane aur parivar ke bajat mean santulan jaise mamaloan par bhi ray lete the. jab ek sahayogi ne ravivar ko bhi muvakkiloan ke ane par virodh kiya, to gaandhi ka javab tha 'vipatti mean phanse adami ke pas ravivar ka aram nahian hota'.

qanoon ke peshe mean gaandhi ki adhikatam ay 5,000 rupaye prativarsh pahuanch gee thi. lekin paisa kamane mean unaki adhik ruchi nahian thi aur unaki bachat aksar sarvajanik gatividhiyoan par kharch ho jati thi. daraban mean aur phir johensabarg mean, unhoanne sadavrat khol rakha tha. unaka ghar yuva sahakarmiyoan tatha rajanitik sahayogiyoan ka thikana ban gaya tha. yah sab unaki patni ko pareshan karata tha. jinake asadharan dhairy, sahanashilata aur atmabalidan ke bina gaandhi sarvajanik sarokar ke prati shayad hi svayan ko samarpit kar pate. jaise-jaise ve donoan parivar aur sampatti ke paramparik bandhanoan se mukt hote ge, unake niji v samudayik jivan ka aantar simatata gaya. gaandhi sada jivan, sharirik shram aur sanyam ke prati atyadhik akarshan mahasoos karate the. 1904 mean pooanjivad ke alochak jan raskin ke 'anatoo dis last' padhane ke bad unhoanne daraban ke pas finiks ke ek farm ki sthapana ki, jahaan vah apane mitroan ke sath keval apane shram ke boote par ji sakate the. chhah varsh ke bad gaandhi ki dekharekh mean johensabarg ke pas ek nee basti vikasit huee. roosi lekhak aur nitijn ke nam par ise talsatay farm ka nam diya gaya. gaandhi talsatay ke prashansak the aur unase patr vyavahar karate the. ye do bastiyaan, bharat mean ahamadabad ke pas sabaramati aur bardha ke pas sevagram mean banian, jo adhik prasiddh ashramoan ki poorvavarti thian.  

rashtravadi bharat ke neta ke roop mean uday

sanh 1914 mean gaandhiji bharat laut aye. deshavasiyoan ne unaka bhavy svagat kiya aur unhean mahatma pukarana shuroo kar diya. unhoanne agale char varsh bharatiy sthiti ka adhyayan karane tatha svayan ko un logoan ko taiyar karane mean bitaye jo satyagrah ke dvara bharat mean prachalit sajajik v rajanitik buraiyoan ko hatane mean unaka anugaman karana chahate the. is dauran gaandhiji mook paryavekshak nahian rahe. 1915 se 1918 tak ke kal mean gaandhi bharatiy rajaniti ki paridhi par anishchitata se mandarate rahe. is kal mean unhoanne kisi bhi rajanitik aandolan mean shamil hone se inakar kar diya tatha pratham vishv yuddh mean briten ke prayasoan, yahaan tak ki bharat ki british fauj mean sipahiyoan ki bharti ka bhi samarthan kiya. sath hi vah british adhikariyoan ki uddandata bhari harakatoan ki alochana bhi karate the tatha unhoanne bihar v gujarat ke kisanoan ke utpi dan ka mamala bhi uthaya. faravari 1919 mean ralet ekt par, jisake tahat kisi bhi vyakti ko bina muqadama chalae jel bhejane ka pravadhan tha, unhoanne aangrezoan ka virodh kiya. gaandhi ne satyagrah aandolan ki ghoshana ki. isake parinamasvaroop ek aisa rajanitik bhoochal aya, jisane 1919 ke basant mean samooche upamahadvip ko jhakajhor diya. hiansa bh dak uthi, jisake bad british netritv mean sainikoan ne amritasar mean jaliyaanvala bag ki ek sabha mean shamil logoan par goliyaan barasakar lagabhag 400 bharatiyoan ka mar dala aur marshal la laga diya gaya. isane gaandhi ko apana rukh badalane ke lie prerit kiya, lekin ek sal ke bhitar hi vah ek bar phir ugr tevar mean a ge. british adalatoan tatha skool aur kalejoan ka bahishkar karean tatha sarakar ke sath asahayog karake use poori tarah apang bana dean.

gaandhiji ke is ahvan par raulat ekt qanoon ke virodh mean bambee tatha desh ke sabhi pramukh nagaroan mean 30 march 1919 ko aur 6 aprail 1919 ko h datal huee. h datal ke din sabhi shaharoan ka jivan thapp ho gaya. vyapar band raha aur aangrez afasar asahay se dekhate rahe. is h datal ne asahayog ke hathiyar ki shakti poori tarah prakat kar di. sanh 1920 mean gaandhiji kaangres ke neta ban gaye aur unake nirdash aur unaki prerana se hazaroan bharatiyoan ne british sarakar ke sath poorn sambandh-vichchhed kar liya. hazaroan asahayogiyoan ko british jeloan mean thooans diya gaya aur lakhoan logoan par sarakari adhikariyoan ne barbar atyachar kiye. british sarakar ke is damanachakr ke karan log ahiansak n rah sake aur kee sthanoan par hiansa bh dak uthi. hiansa ka is tarah bh dak uthana gaandhiji ko achchha nahian laga. unhoanne svikar kiya ki ahiansa ke anushasan mean baandhe bina logoan ko asahayog aandolan ke lie prerit kar unhoanne 'hilamay jaisi bhool ki hai' aur yah sochakar unhoanne asahayog aandolan vapas le liya. ahiansak asahayog aandolan ke phalasvaroop jis svarajy ko gaandhiji ne ek varsh ke aandar lane ka vada kiya tha vah nahian a saka. phir bhi log aandolan ki viphalata ki or dhyan nahian dena chahate the, kyoanki asaliyat mean dekha jae to is ahiansak asahayog aandolan ko jabaradast saphalata hasil huee. usane bharatiyoan ke man se british topoan, sanginoan aur jeloan ka khauf nikalakar unhean nidar bana diya. jisase bharat mean british samrajy ki nianv hil gayi. bharat mean british shasan ke din ab ine-gine rah gaye. phir bhi abhi sangharsh kathin aur lamba tha. sanh 1922 mean gaandhiji ko rajadroh ke abhiyog mean giraftar kar liya gaya. un par muqadama chalaya gaya aur ek madhurabhashi british jaj ne unhean chhah varsh ki qaid ki saza di. sanh 1924 mean ependesaitis ki bimari ki vajah se unhean riha kar diya gaya.

asahayog aandolan

1920 ke patajh d tak gaandhi rajanitik manch par chha ge the aur bharat ya shayad kisi bhi desh mean, kisi rajanitijn ka itana prabhav kabhi bhi nahian raha tha. unhoanne 35 varsh purani bharatiy rashtriy kaangres ko bharatiy rashtravad ke prabhavashali rajanitik hathiyar mean badal diya. gaandhi ka sandesh bahut saral tha. aangrezoan ki bandookoan ne nahian, balki bharatavasiyoan ki apani kamiyoan ne bharat ko gulam banaya hua hai. british sarakar ke sath unake ahiansak asahayog mean n sirf vastuoan, balki bharat mean aangrezoan dvara sanchalit ya unaki madad se chal rahe sansthanoan—jaise vidhayika, nyayalay, karyalay ya skool—ka bahishkar bhi shamil tha. is karyakram ne desh mean josh phooank diya, videshi shasan ke bhay ka phanda kat diya aur isake phalasvaroop qanoon to dakar khushi-khushi jel jane ko taiyar hazaroan satyagrahiyoan ko giraftar kar liya gaya.

faravari 1922 mean yah aandolan zor pak data pratit hua, lekin poorvi bharat ke dooradaraz ke ek gaanv chauri chaura mean hiansa bh dakane se chintit gaandhi ne savinay avajna aandolan vapas le liya. 10 march 1922 ko gaandhi ko giraftar kar liya gaya aur unhean chhah varshoan ke karavas ki saza huee. apeandisaitis ke apareshan ke bad faravari 1924 mean unhean riha kar diya gaya. unaki anupasthiti mean rajanitik paridrishy badal chuka tha. kaangres parti do bhagoan mean vibhakt ho chuki thi. ek chittaranjan das aur motilal neharoo (bharat ke pahale pradhanamantri javahar lal neharoo ke pita) ke netritv mean tha. jo vidhayikaoan mean parti ke pravesh ke samarthak the aur doosara si. rajagopalachari aur vallabhabhaee jhaverabhaee patel ka tha, jo isake virodhi the. sabase durbhagyapoorn bat yah huee ki 1920-22 ke dauran asahayog aandolan mean hinduoan aur musalamanoan ke bich maujood ekata khatm ho chuki thi. gaandhi ne donoan samudayoan ka samajha-bujhakar unhean shankaoan tatha kattaravad ke ghere se bahar nikalane ka prayas kiya. aantatah ek gambhir sampradayik hiansa ke bad 1924 ke patajh d mean unhoann tin saptah ka upavas kiya, taki logoan ko ahiansa ke marg par chalane ko prerit kiya ja sake.

rachanatmak karyakram

sanh 1925 mean jab adhikaansh kaangres janoan ne 1919 ke bharatiy shasan vidhan dvara sthapit kauansil mean pravesh karane ki ichda prakat ki to gaandhiji ne kuchh samay ke lie sakriy rajaniti se sanyas le liya aur unhoanne apane agami tin varsh gramoantthan karyoan mean lagay. unhoanne gaanvoan ki bhayankar nirdhanata ko door karane ke lie charakhe par soot katane ka prachar kiya aur hinduoan mean vyapt chhuachhoot ko mitane ki koshish ki. apane is karyakram ko gaandhiji 'rachanatmak karyakram' kahate the. is karyakram ke jariye ve any bharatiy netaoan ke mukabale, gaanvoan mean nivas karane vali desh ki 90 pratishat janata ke bahut adhik nikat a gaye. unhoanne sare desh mean gaanv-gaanv ki yatra ki, gaanv valoan ki poshak apana li aur unaki bhasha mean unase batachit ki. is prakar unhoanne gaanvoan mean rahane vali karo doan ki abadi mean rajanitik jagriti paida kar di aur svarajy ki maang ko madhyamavargiy aandolan ke star se uthakar deshavyapi adamy jan-aandolan ka roop de diya.

golamej sammelan

1920 ke dashak ke madhy mean sakriy rajaniti mean gaandhi ne adhik ruchi nahian dikhaee. lekin 1927 mean british sarakar ne sar jan saiman ke netritv mean ek sanvidhan sudhar ayog ka gathan kiya, jisamean kisi bhi bharatiy ko shamil nahian kiya gaya tha. kaangres aur any partiyoan ke dvara ayog ka bahishkar kie jane se rajanitik ghatanakram tez hua. disambar 1928 mean kalakatta kaangres ki baithak ke bad, jisamean gaandhi ne poorn svarajy ke lie deshavyapi ahiansak aandolan ki dhamaki dekar british sarakar se ek sal ke bhitar bharat ko adhirajy ka darja die jane ki mahatvapoorn prastav rakha. kaangres parti par phir se gaandhi ka niyantran ho gaya. samaj ke nirdhan varg ko prabhavit karane vale namak-kar ke khilaf unhoanne march 1930 mean satyagrah shuroo kiya. british rajy ke khilaf gaandhi ke ahiansak yuddh mean yah sabase vishal aur saphal aandolan tha aur isake phalasvaroop 60 hazar se adhik log giraftar kie ge. ek sal bad bharat ke british vaisaray lard iravin ke sath batachit ke bad gaandhi ne ek samajhauta svikar kar liya. savinay avajna aandolan vapas le liya aur landan mean golamej sammelan mean bharatiy rashtriy kaangres ke ekamatr pratinidhi ke roop mean shamil hone ke lie sahamat ho ge. gaandhiji vahaan par ek samany gramin bharatiy ki tarah dhoti pahane aur chadar odhe upasthit hue, jisaka vistan charchil ne khoob mazaq u daya aur unhean 'bharatiy faqir' ki sanjna di. aangrezoan se satta ke hastaantaran ke bajay bharatiy alpasankhyakoan ki samasya par kendrit yah sammelan bharatiy rashtravadiyoan ke lie ghor nirashajanak tha. isake alava, jab disambar 1931 mean gaandhi svadesh laute to unhoanne paya ki unaki parti ko lard viliangadan ka chautarafa akraman jhelana p d raha hai. gaandhi ko ek bar phir jel bhej diya gaya aur sarakar ne unhean bahari duniya se alag-thalag karane tatha unake prabhav ko samapt karane ka prayas kiya. yah asan kary nahian tha. sitambar 1932 mean bandi avastha mean hi gaandhi ne british sarakar ke dvara ne sanvidhan mean achhootoan (dalit hindoo) ko alag matadata soochi mean shamil karake unhean alag karane ke nirnay ke khilaf anashan shuroo kar diya. isake phalasvaroop desh bhar mean bhavanatmak aveg umar p da. hindoo samuday aur dalit netaoan ne mil-julakar tezi se ek vaikalpik matadata soochi ki vyavastha ki rooparekha banaee aur british sarakar ne ise manjoori de di. yah anashan achhootoan ke khilaf bhedabhav door karane ke zoradar aandolan ka arambh tha. gaandhi ne inhean harijan nam diya tha. jisaka arth hota hai, 'eeshvar ki santan'.

1934 mean gaandhi ne n sirf kaangres ke neta ke pad se, balki parti ki sadasyata se bhi istifa de diya. unaka manana tha ki parti ke agrani sadasyoan ne sirf rajanitik karanoan se ahiansa ko apanaya hai. rajanitik gatividhiyoan ke sthan par ab unhoanne 'rachanatmak karyakramoan' ke zariye 'sabase nichale star se' rashtr ke nirman par apana dhyan kendrit kiya. unhoanne gramin bharat ko, jo desh ki abadi ka 85 pratishat tha, shikshit karane, chhuachhoot ke khilaf l daee jari rakhane, hath se katane, bunane aur any kutir udyogoan ke arddh berozagar kisanoan ki ay mean izafa karane ke lie badhava dene aur logoan ki avashyakataoan ke anukool shiksha pranali banane ka kam shuroo kiya. svayan gaandhi madhy bharat ke ek gaanv sevagram mean rahane chale ge, jo samajik aur arthik vikas ke unake karyakramoan ka kendr bana.

antim charan

doosara vishv yuddh shuroo hone ke sath hi bharat ka rashtravadi sangharsh apane antim mahatvapoorn charan mean pravesh kar gaya. bharatiy svashasan ka ashvasan die jane ki shart par bharatiy rashtriy kaangres yuddh mean aangrezoan ka sath dene ko taiyar thi. ek bar phir gaandhi rajanitik roop se sakriy ho ge. 1942 ke grishm mean gaandhi ne aangrezoan se tatkal bharat chho dane ki maang ki. faansivadi shaktiyoan (eksis), visheshakar japan ke khilaf yuddh mahatvapoorn charan mean tha. aangrezoan ne turant hi pratikriya dikhaee aur kaangres ke samooche netritv ko giraftar kar liya aur parti ko hamesha ke lie kuchal dene ka prayas kiya. isake phalasvaroop hiansa bh dak uthi, jise sakhti se daba diya gaya. bharat aur briten ke bich ki doori pahale se bhi kahian adhik badh gee. 1945 mean lebar parti ki jit ke sath hi bharat-briten ke sambandhoan mean ek ne adhyay ki shurooat huee. agale do varsh ke dauran british sarakar muslim lig ke neta em. e. jinna aur kaangres parti ke netaoan ke bich lambi tripakshiy vartaean hueean, jisake phalasvaroop 3 joon, 1947 ko mauantabetan yojana taiyar huee aur 15 agast 1947 ko do ne rashtoan, bharat v pakistan ka nirman hua.

bharat ki akhandata ke bina desh ka svatantr hona gaandhi ke jivan ki sabase b di nirashaoan mean se ek tha. jab gaandhi tatha unake sahayogi jel mean the, to muslim alagavavad ko kafi badhava mila aur 1946-47 mean, jab sanvaidhanik vyavasthaoan par antim daur ki batachit chal rahi thi, hinduoan aur musalamanoan ke bich bh daki sampradayik hiansa ne aisa apriy mahaul bana diya ki jisamean gaandhi ki tark aur nyay, sahishnuta aur vishvas sambandhi apiloan ke lie koee sthan nahian tha. jab unaki ray ke khilaf up mahadvip ke vibhajan ke prastav ko svikar kar liya gaya, to vah sampradayik sangharsh se samaj par lage zakhmoan ko bharane mean tan man se jut ge. unhoanne bangal v bihar ke dangagrast kshetroan ka daura kiya. isake shikar hue logoan ko dilasa diya aur sharanarthiyoan ke punarvas ka prayas kiya. shanka aur ghrina se bhare mahaul mean yah ek mushkil aur hraday vidarak kary tha. gaandhi par donoan samudayoan ne arop lagae. jab unaki batoan ka koee asar nahian hua to vah anashan par baith ge. unhean kam se kam do mahatvapoorn saphalataean milian.

  • sitambar 1947 mean unake upavas ne kalakatta mean dange band karava die aur
  • janavari 1948 mean unhoanne dilli mean sampradayik shanti qayam kar di.

nidhan

30 janavari 1948 ki sham ko jab vah ek prarthana sabha mean bhag lene ja rahe the, tab ek yuva hindoo kattarapanthi nathooram godse ne goli marakar unaki hatya kar di.

shokakul soochana

apane mahan neta ki mrityu ka samachar sunakar sara desh shokakul ho utha. tatkalin pradhanamantri shri javahar lal neharoo ne rashtr ko mahatma ji ki hatya ki soochana in shabdoan mean di, 'hamare jivan se prakash chala gaya aur aj charoan taraf aandhakar chha gaya hai. maian nahian janata ki maian apako kya bataooan aur kais bataooan. hamare pyare neta, rashtrapita bapoo ab nahian rahe.' mahatma gaandhi vastav mean bharat ke rashtrapita the. 27 varshoan ke alpakal mean unhoanne bharat ko sadiyoan ki dasata ke aandhere se nikalakar ajadi ke uzale mean pahuancha diya. kintu gaandhiji ka yogadan sirf bharat ki simaoan tak simit nahian tha. unaka prabhav sampoorn manav jati par p da, jaisa ki arnald tayanabin ne likha hai--'hamane jis pidhi mean janm liya hai, vah n keval pashchim mean hitalar aur roos mean stalin ki pidhi hai, varanh vah bharat mean gaandhiji ki pidhi bhi hai aur yah bhavishyavani b de vishvas ke sath ki ja sakati hai ki manav itihas par gaandhiji ka prabhav stalin ya hitalar se kahian jyada aur sthayi hoga. [1]

itihas mean sthan

gaandhi ke prati aangrezo ka rukh prashansa, kautuk, hairani, shanka aur akrosh ka mila-jula roop tha. gaandhi ke apane hi desh mean, unaki apani hi parti mean, unake alochak the. naramapanthi neta yah kahate hue virodh karate the ki vah bahut tezi se badh rahe haian. yuva garamapanthiyoan ki shikayat yah thi ki ve tezi se nahian haian. vamapanthi neta arop lagate the ki vah aangrezoan ko bahar nikalane ya rajava doan aur samantoan ka samapt karane ke prati gambhir nahian haian. dalitoan ke neta samaj sudharak ke roop mean unake sadabhav par shanka karate the aur musalaman neta un par apane samuday ke sath bhedabhav ka arop lagate the.

hal mean hue shodh ne gaandhi ki bhoomika mahan madhyasth aur sandhi karane vale ke roop mean sthapit ki hai. yah to hona hi tha ki janamanas mean unaki rajaneta-chhavi adhik vishal ho, kintu unake jivan ka mool rajaniti nahian, dharm mean nihit tha aur unake lie dharm ka arth aupacharikata, roodhi, rasm-rivaz aur sampradayikata nahian tha. unhoanne apani atmakatha mean likha hai--'maian in tis varshoan mean eeshvar ko amane-samane dekhane ka prayatn aur prarthana karata hooan', unake mahanatam prayas adhyatmik the. lekin apane anek aise hi ichchhuk deshavasiyoan ke saman unhoanne dhyan lagane ke lie himalay ki gufaoan mean sharan nahian li. unaki ray mean vah apani gufa apane bhitar hi sath lie chalate the. unake lie sachchaee aisi vastu nahian thi, jise niji jivan ke ekaant mean dhooandha ja sake. vah samajik aur rajanitik jivan ke chunautipoorn kshanoan mean qayam rakhane ki chiz thi. apane lakhoan deshavasiyoan ki nazaroan mean vah mahatma the. unake ane-jane ke marg par unhean dekhane ke lie ekatr bhi d dvara aandhashraddha se unaki yatraean kathin ho jati thian. vah mushkil se din mean kam kar pate the ya rat ko vishram. unhoanne likha hai ki mahatmaoan ke kasht sirf mahatma hi janate haian.

gaandhi ke sabase b de prashasakoan mean albart aianstin bhi the, jinhoanne gaandhi ke ahiansa ke siddhaant ko anu ke vikhandan se paida hone vali danavakar hiansa ki pratikari aushadhi ke roop mean dekha. svidan ke arthashastri gunnar mirdal ne avikasit vishv khand ki samasyaoan ke samajik, arthik sarvekshan ke bad gaandhi ko lagabhag sabhi kshetroan mean ek jnanavar udar vyakti ki sanjna di.

tika-tippani

  1. mohanadas karamachand gaandhi—atmakatha, da0 ji0 tendulakar krit 'mahatma', luee phishar krit 'laiph aph gaandhi', ech0 mukharji krit gaandhiji, arnald tayanabi krit 'stadi aph histri' khand 12)