Difference between revisions of "पितृमेध या अन्त्यकर्म संस्कार"

भारत डिस्कवरी प्रस्तुति
Jump to navigation Jump to search
[unchecked revision][unchecked revision]
Line 61: Line 61:
 
संक्षेप में व्रतोद्यापन यों है-पुत्र या सम्बन्धी मरणासन्न व्यक्ति को स्नान द्वारा या पवित्र जल से मार्जन करके या गंगा जल पिलाकर पवित्र करता है, स्वयं स्नानसन्ध्या से पवित्र हो लेता है, दीप जलाता है, [[गणेश]] एवं [[विष्णु]] की पूजा-वन्दना करता है, पूजा की सामग्री रखकर संकल्प करता है<ref>संकल्प यह है-अत्र पृथिव्यां जम्बूद्वीपे भरतखण्डे आर्यावर्तेकदेशे विष्णोराज्ञया प्रवर्तमानस्य ब्रह्मणो द्वितीयपरार्वे.........अमुकतियौ अमुकगोत्र..........अमुकशमहिं ममात्मन: (मम पित्रादे:) व्रतग्रहणदिवसादारभ्य अद्य यावत्फलाभिलाषादिगृहीतानां निष्कामतया गृहीतानां च अमुकामुकव्रतानामकृतोद्यापनदोषपरिहारार्थ श्रुतिस्मृति-पुराणोक्ततत्तदव्रतजन्यसांगफलप्राप्त्यर्थ विष्ण्वादीनां तत्तद्देवानां प्रीपये इदं सुवर्णमग्निदैवतम् (तदभावे इदं रजतं चन्द्रदैवतम्) अमुकगोत्रायामुकशर्मण् ब्राह्मणाय दास्ये ओं तत्सत् न मम इति संकल्प........आदि-आदि (अन्त्यकर्मदीपक, पृष्ठ 4)’।</ref> निमन्त्रित ब्राह्मण को सम्मानित करता है और पहले से संकल्पित सोना उसे देता है और ब्राह्मण घोषित करता है-'सभी व्रत पूर्ण हों। उद्यापन (व्रत-पूर्ति) के फल की प्राप्ति हो।' सर्वप्रायश्चित में पुत्र चार या तीन विद्वान ब्राह्मणों या एक आत्मज्ञानी ब्राह्मण को 6, 3 या डेढ़ वर्ष वाले प्रायश्चित्तों के निष्क्रिय रूप में सोना आदि का दान देता है और इसकी घोषणा करता है और वह अशौच के उपरान्त प्रायश्चित करता है। मरणासन्न व्यक्ति को या पुत्र या सम्बन्धी को सर्वप्रायश्चित करना पड़ता है। वह क्षीरकर्म करके स्नान करता है, पंचगव्य पीता है, चन्दनलेप एवं अन्य पदार्थों से एक ब्राह्मण को सम्मानित करता है, गोपूजा करके या उसके स्थान पर धन का दान करता है।<ref>देशकालौ संकीर्त्य मम (मत्पत्रादेर्वां) ज्ञाताज्ञातकामाकामसकृदसकृत्कायिकवाचिकमानसिकतांसर्गिक-स्पृष्टास्पृष्ट-भुक्ताभुक्त-पीतापीतसकलपातकानुपातकोपपातकलघुपातकसंकरीकरणमलिनीकरणपात्री- करणजातिभ्रंशकरप्रकीर्णकादिनानाविधपातकानां निरासेन देहावसानकाले देहशुद्धिद्वारा श्रीपरमेश्वरप्रीत्यर्थमिमां सर्वप्रायश्चित्तप्रत्याम्नायभूतां यथाशक्त्यलंकृतां सवत्सां गां रुद्रदेवताममुकगोत्रायामुकशर्मणे ब्राह्मणाय तुभ्यमहं संप्रददे ओं तत्सत् न मम। अन्त्यकर्मदीपक (पृष्ठ 5)।</ref> सर्वप्रायश्चित के उपरान्त दश-दान होते हैं। गरुड़पुराण<ref>गरुड़पुराण  2|4|7-9</ref> ने महादान संज्ञक अन्य दानों की व्यवस्था दी है, यथा-[[तिल]], [[लोहा]], सोना, रूई, नमक, सात प्रकार के अन्न, भूमि, गौ; कुछ अन्य दान भी हैं, यथा-छाता, [[चन्दन]], अँगूठी, जलपात्र, आसन, भोजन, जिन्हें पददान कहा जाता है। गरुड़पुराण<ref>गरुड़पुराण 2|4|47</ref> के मत से यदि मरणासन्न व्यक्ति आतुर-संन्यास नियमों के अनुसार संन्यास ग्रहण कर लेता है, तो वह आवागमन (जन्म-मरण) से छुटकारा पा जाता है।
 
संक्षेप में व्रतोद्यापन यों है-पुत्र या सम्बन्धी मरणासन्न व्यक्ति को स्नान द्वारा या पवित्र जल से मार्जन करके या गंगा जल पिलाकर पवित्र करता है, स्वयं स्नानसन्ध्या से पवित्र हो लेता है, दीप जलाता है, [[गणेश]] एवं [[विष्णु]] की पूजा-वन्दना करता है, पूजा की सामग्री रखकर संकल्प करता है<ref>संकल्प यह है-अत्र पृथिव्यां जम्बूद्वीपे भरतखण्डे आर्यावर्तेकदेशे विष्णोराज्ञया प्रवर्तमानस्य ब्रह्मणो द्वितीयपरार्वे.........अमुकतियौ अमुकगोत्र..........अमुकशमहिं ममात्मन: (मम पित्रादे:) व्रतग्रहणदिवसादारभ्य अद्य यावत्फलाभिलाषादिगृहीतानां निष्कामतया गृहीतानां च अमुकामुकव्रतानामकृतोद्यापनदोषपरिहारार्थ श्रुतिस्मृति-पुराणोक्ततत्तदव्रतजन्यसांगफलप्राप्त्यर्थ विष्ण्वादीनां तत्तद्देवानां प्रीपये इदं सुवर्णमग्निदैवतम् (तदभावे इदं रजतं चन्द्रदैवतम्) अमुकगोत्रायामुकशर्मण् ब्राह्मणाय दास्ये ओं तत्सत् न मम इति संकल्प........आदि-आदि (अन्त्यकर्मदीपक, पृष्ठ 4)’।</ref> निमन्त्रित ब्राह्मण को सम्मानित करता है और पहले से संकल्पित सोना उसे देता है और ब्राह्मण घोषित करता है-'सभी व्रत पूर्ण हों। उद्यापन (व्रत-पूर्ति) के फल की प्राप्ति हो।' सर्वप्रायश्चित में पुत्र चार या तीन विद्वान ब्राह्मणों या एक आत्मज्ञानी ब्राह्मण को 6, 3 या डेढ़ वर्ष वाले प्रायश्चित्तों के निष्क्रिय रूप में सोना आदि का दान देता है और इसकी घोषणा करता है और वह अशौच के उपरान्त प्रायश्चित करता है। मरणासन्न व्यक्ति को या पुत्र या सम्बन्धी को सर्वप्रायश्चित करना पड़ता है। वह क्षीरकर्म करके स्नान करता है, पंचगव्य पीता है, चन्दनलेप एवं अन्य पदार्थों से एक ब्राह्मण को सम्मानित करता है, गोपूजा करके या उसके स्थान पर धन का दान करता है।<ref>देशकालौ संकीर्त्य मम (मत्पत्रादेर्वां) ज्ञाताज्ञातकामाकामसकृदसकृत्कायिकवाचिकमानसिकतांसर्गिक-स्पृष्टास्पृष्ट-भुक्ताभुक्त-पीतापीतसकलपातकानुपातकोपपातकलघुपातकसंकरीकरणमलिनीकरणपात्री- करणजातिभ्रंशकरप्रकीर्णकादिनानाविधपातकानां निरासेन देहावसानकाले देहशुद्धिद्वारा श्रीपरमेश्वरप्रीत्यर्थमिमां सर्वप्रायश्चित्तप्रत्याम्नायभूतां यथाशक्त्यलंकृतां सवत्सां गां रुद्रदेवताममुकगोत्रायामुकशर्मणे ब्राह्मणाय तुभ्यमहं संप्रददे ओं तत्सत् न मम। अन्त्यकर्मदीपक (पृष्ठ 5)।</ref> सर्वप्रायश्चित के उपरान्त दश-दान होते हैं। गरुड़पुराण<ref>गरुड़पुराण  2|4|7-9</ref> ने महादान संज्ञक अन्य दानों की व्यवस्था दी है, यथा-[[तिल]], [[लोहा]], सोना, रूई, नमक, सात प्रकार के अन्न, भूमि, गौ; कुछ अन्य दान भी हैं, यथा-छाता, [[चन्दन]], अँगूठी, जलपात्र, आसन, भोजन, जिन्हें पददान कहा जाता है। गरुड़पुराण<ref>गरुड़पुराण 2|4|47</ref> के मत से यदि मरणासन्न व्यक्ति आतुर-संन्यास नियमों के अनुसार संन्यास ग्रहण कर लेता है, तो वह आवागमन (जन्म-मरण) से छुटकारा पा जाता है।
  
आदिकाल से ही ऐसा विश्वास रहा है कि मरते समय व्यक्ति जो विचार रखता है, उसी के अनुसार दैहिक जीवन के उपरान्त उसका जीवात्मा आक्रान्त होता है (अन्ते या मति: सा गति:), अत: मृत्यु के समय व्यक्ति को सांसारिक मोह-माया छोड़कर हरि या [[शिव]] का स्मरण करना चाहिए और मन ही मन 'ऊँ नमो वासुदेवाय' का जप करना चाहिए।<ref>भगवद्गीता (8।5-6) एवं [[पद्म पुराण]] (5।47।262)-'मरणे या मति: पुंसां गतिर्भवति तादृशी।'</ref> बहुत से वचनों के अनुसार उसे वैदिक पाठ सुनाना चाहिए।<ref>गौतम-पितृमेधसूत्र 1|1-8</ref>
+
आदिकाल से ही ऐसा विश्वास रहा है कि मरते समय व्यक्ति जो विचार रखता है, उसी के अनुसार दैहिक जीवन के उपरान्त उसका जीवात्मा आक्रान्त होता है (अन्ते या मति: सा गति:), अत: मृत्यु के समय व्यक्ति को सांसारिक मोह-माया छोड़कर हरि या [[शिव]] का स्मरण करना चाहिए और मन ही मन 'ऊँ नमो वासुदेवाय' का जप करना चाहिए।<ref>भगवद्गीता (8|5-6) एवं [[पद्म पुराण]] (5|47|262)-'मरणे या मति: पुंसां गतिर्भवति तादृशी।'</ref> बहुत से वचनों के अनुसार उसे वैदिक पाठ सुनाना चाहिए।<ref>गौतम-पितृमेधसूत्र 1|1-8</ref>
 +
 
 
====मरणासन्न व्यक्ति द्वारा स्मरण====
 
====मरणासन्न व्यक्ति द्वारा स्मरण====
 
हिरण्यकेशिपितृमेधसूत्र<ref>हिरण्यकेशिपितृमेधसूत्र 1|1</ref> के मत से आहिताग्नि के मरते समय पुत्र या सम्बन्धी को उसके कान में (जब वह ब्रह्मज्ञानी हो) [[तैत्तिरीयोपनिषद]] के दो अनुवाक (2|1 एवं 3|1) कहने चाहिए। अन्त्यकर्मदीपक<ref>अन्त्यकर्मदीपक  पृष्ठ 18</ref> का कथन है कि जब मरणासन्न व्यक्ति जप न कर सके तो उसे [[विष्णु]] या शिव का रमणीय रूप मन में धारण कर विष्णु या शिव के सहस्र नाम सुनने चाहिए और भगवद्गीता, भागवत, [[रामायण]], ईशावास्य आदि [[उपनिषद|उपनिषदों]] एवं सामवेदीय मन्त्रों का पाठ सुनना चाहिए।<ref>जपेऽसमर्थश्चेद हृदये चतुर्भुजं शंखचक्रगदापद्मधरं पीताम्बरकिरीटकेयूरकौस्तुभवनमालाधरं रमणीयरूपं विष्णुं त्रिशूलडमरुधरं त्रिनेत्रं गंगाधरं शिवं वा भावयन् सहस्रनामगीताभागवतभारतरामायणेशावास्याद्युपनिषद: पावमानादीनि सूक्तानि च यथासम्भवं शृणुयात्। अन्त्यकर्मदीपक (पृष्ठ 18)। विष्णुसहस्रनाम के लिए देखिए [[अनुशासन पर्व महाभारत|अनुशासनपर्व]] (149|14-120); शिव के 1008 नामों के लिए देखिए वही (17|31-153); और शिव सहस्रनाम के लिए देखिए शान्तिपर्व भी (285|74)।</ref>
 
हिरण्यकेशिपितृमेधसूत्र<ref>हिरण्यकेशिपितृमेधसूत्र 1|1</ref> के मत से आहिताग्नि के मरते समय पुत्र या सम्बन्धी को उसके कान में (जब वह ब्रह्मज्ञानी हो) [[तैत्तिरीयोपनिषद]] के दो अनुवाक (2|1 एवं 3|1) कहने चाहिए। अन्त्यकर्मदीपक<ref>अन्त्यकर्मदीपक  पृष्ठ 18</ref> का कथन है कि जब मरणासन्न व्यक्ति जप न कर सके तो उसे [[विष्णु]] या शिव का रमणीय रूप मन में धारण कर विष्णु या शिव के सहस्र नाम सुनने चाहिए और भगवद्गीता, भागवत, [[रामायण]], ईशावास्य आदि [[उपनिषद|उपनिषदों]] एवं सामवेदीय मन्त्रों का पाठ सुनना चाहिए।<ref>जपेऽसमर्थश्चेद हृदये चतुर्भुजं शंखचक्रगदापद्मधरं पीताम्बरकिरीटकेयूरकौस्तुभवनमालाधरं रमणीयरूपं विष्णुं त्रिशूलडमरुधरं त्रिनेत्रं गंगाधरं शिवं वा भावयन् सहस्रनामगीताभागवतभारतरामायणेशावास्याद्युपनिषद: पावमानादीनि सूक्तानि च यथासम्भवं शृणुयात्। अन्त्यकर्मदीपक (पृष्ठ 18)। विष्णुसहस्रनाम के लिए देखिए [[अनुशासन पर्व महाभारत|अनुशासनपर्व]] (149|14-120); शिव के 1008 नामों के लिए देखिए वही (17|31-153); और शिव सहस्रनाम के लिए देखिए शान्तिपर्व भी (285|74)।</ref>

Revision as of 07:05, 2 November 2011

left chitr:Arrow-rightside.pngis lekh ka punarikshan aur sudhar shighr kiya jana chahie. "sujhav"chitr:Arrow-leftside.png

pitrimedh ya antyakarm ya aantyeshti sanskar hindoo dharm sanskaroan mean shodash sanskar hai. yah antim sanskar hai. mrityu ke pashchat yah sanskar kiya jata hai. is sanskar ko pitrimedh, antkarm, dah-sanskar, shmashanakarm tatha antyeshti-kriya adi bhi kahate haian. yah sanskar bhi vedamantroan ke uchcharan ke dvara hota hai. hindoo dharm mean mrityu ke bad dah-sanskar karane ka vidhan hai. keval sannyasi-mahatmaoan ke lie—niragri hone ke karan sharir chhoot jane par bhoomisamadhi ya jalasamadhi adi dene ka vidhan hai. kahian-kahian sannyasi ka bhi dah-sanskar kiya jata hai aur usamean koee dosh nahian mana jata hai. ye ve solah sanskar haian, jo hindoo dharm ke merudand ke saman haian.[1]

sanskar

manushy ke pran nikal jane par mrit sharir ko agni mean samarpit kar aantyeshti-sanskar karane ka vidhan hamare rrishiyoan ne isalie banaya, taki sabhi svajan, sanbadhi, mitr, parichit apani vidaee dene aean aur isase unhean jivan ka uddeshy samajhane ka mauqa mile, sath hi yah bhi anubhav ho ki bhavishy mean unhean bhi sharir chho dana hai.[2] hindoo dharm mean mritak ko jalane ki paranpara hai, jabaki any dharmoan mean prayah zamin mean gad‌ne ki. jalane ki paranpara vaijnanik hai. shav ko jala dene par matr rakh bachati hai, shesh aansh jalakar samapt ho jate haian. rakh ko nadi adi mean pravahit kar diya jata hai. isase pradooshan nahian phailata, jabaki shav ko zamin mean ga dane se prithvi mean pradooshan phailata hai, durgandh phailati hai tatha bhoomi anavashyak rup se phansi rahati hai. chooda‌manyupanishadh mean kaha gaya hai ki brahm se svayan prakasharup atma ki utpatti huee. atma se akash, akash se vayu, vayu se agni, agni se jal, jal se prithvi ki utpatti huee. in paanch tattvoan se milakar hi manushy sharir ki rachana huee hai. hindoo aantyeshti-sanskar mean mrit sharir ko agni mean samarpit karake akash, vayu, jal, agni aur mitti inhian panchatattvoan mean punah mila diya jata hai.

mritak deh ko jalane yani shavaday karane ke sabandh mean atharvaved mean likha hai -

imau yunijmi te vahani asunitay vodhave.
tabhyaan yamasy sadanan samitishchav gachchhtath..[2]

arthat hai jiv! tere pranavihin mritadeh ko sadagati ke lie maian in do agniyoan ko sanyukt karata hooan. arthat teri mritak deh mean lagata hooan. in donoan agniyoan ke ddhara too sarvaniyanta yam paramatma ke samip paralok ko shreshth gatiyoan ke sath prapt ho.

a rabhasv jatavedastejasvadadharo astu te.
shariramasy san dahathainan dhehi sukritamu loke..[2]

arthat he agni! is shav ko too prapt ho. ise apani sharan mean le. tera samarthy tejayukt hove. is shav ko too jala de aur hai agnirup prabho, is jivatma ko too sukritalok mean dharan kara.

vayuranilamamritamathedan bhasmaantan shariramh .
oddamh krato smar. klive smar. kritan smar..[2]

arthat he karmashil jiv, too sharir chhootate samay paramatma ke shreshth aur mukhy nam omh ka smaran kar. prabhu ko yad kar. kie hue apane karmoan ko yad kar. sharir mean ane jane vali vayu amrit hai, parantu yah bhautik sharir bhasmaparyant hai. bhasmaant hone vala hai. yah shav bhasm karane yogy hai.

janm sanskar evan mritak sanskar

ye sanskar pahale striyoan ke lie bhi[3] hote the, kintu bina vaidik mantroan ke (kintu vivah sanskar mean vaidik mantroanchcharan hota hai) aur shoodroan ke lie[4] bhi bina vaidik mantroan ke. baudhayan pitrimedhasootr[5] ka kathan hai ki pratyek manav ke lie do sanskar rrin-svaroop haian (arthath unaka sampadan anivary hai) aur ve haian, janm sanskar evan mritak sanskar. dah sanskar tatha shraddh adi ahitagni[6] evan smartagni[7] ke lie bhinn-bhinn ritiyoan se hote haian, tatha un logoan ke lie bhi jo shraut ya smart koee agni nahian rakhate. jo stri hai, bachcha hai, parivrajak hai, jo door desh mean marata hai, jo akal mrityu pata hai ya atmahatya karata hai ya durghatanavash mar jata hai; unake lie antyeshti-krity bhinn-bhinn prakar ke hote haian. ek hi vishay ki krity-vidhiyoan mean shrautasootr evan grihyasootr vibhinn batean kahate haian aur age chalakar madhy evan pashchatyakalin yugoan yugoan mean vidhiyaan aur bhi vistrit hoti chali gayi haian. nirnayasindhu[8] ne spasht kaha hai ki, antyeshti pratyek shakha mean bhinn roop se ullikhit hai, kintu kuchh batean sabhi shakhaoan mean ek-si haian.[9] anty-karmoan ke vistar, abhav evan upasthiti ke adhar par sootroan, smritiyoan, puranoan evan nibandhoan ke kal-kram-sambandhi nishkarsh nikale gaye haian,[10] kintu ye nishkarsh bahudha anumanoan evan vaiyaktik bhavanaoan par hi adharit haian.

kapal-kriya

hianduoan mean yah manyata bhi hai ki mrityu ke bad bhi atma sharir ke prati vasana bane rahane ke karan apane sthoolasharir ke as-pas mandarati rahati hai, isalie use agni ko samarpit kar diya jata hai, taki unake bich koee sanbadh n rahe.[2] aantyeshti-sanskar mean kapal-kriya kyoan ki jati hai, usaka ullekh garu dapuran mean milata hai. jab shavadah ke samay mritak ki khopadi ko ghi ki ahuti sat bar dekar dande se tin bar prahar karake pho da jata hai, to us samay prakriya ko kapalakriya ke nam se jana jata hai. chooanki khopadi ki haddi itani mazaboot hoti hai ki use ag se bhasm hone mean bhi samay lagata hai. vah tootakar mastishk mean sthit brahmarandhr panchatattv mean poorn rup se vilin ho jaean, isalie use to dana jaruri hota hai. isake alava alag-alag manyataean bhi prachalit hai. masalan kapal ka bhedan hone par pran poori tarah svatantr hote hai aur ne janm ki prakriya mean age badhate haian. doosari manyata yah hai ki khop di ko pho dakar mastishk ko isalie jalaya jata hai. taki vah adhajala n rah jae anyatha agale janm mean vah avikasit rah jata hai. hamare sharir ke pratyek aang mean vibhinn devataoan ka vas hone ki manyata ka vivaran shraddhachandrika mean milata hai. chooanki sir mean brahma ka vas mana jata hai isalie sharir ko poornarup se mukti pradan karane ke lie kapalakriya ddhara khop di ko pho da jata hai. putr ke dvara pita ko agni dena v kapalakriya isalie karavaee jati hai taki use is bat ka ehasas ho jae ki usake pita ab is duniya mean nahian rahe aur ghar-parivar ka sanpoorn bhar use hi vahan karana hai.[2]

mrityu ke uparant manav ka kya hota hai?

yah ek aisa prashn hai jo adikal se jyoan-ka-tyoan chala aya hai; yah ek aisa rahasy hai, jisaka bhedan aj tak sambhav nahian ho saka hai. adikalin bharatiyoan, misriyoan, chaldiyanoan, yoonaniyoan evan parasiyoan ke samaksh yah prashn ek mahattvapoorn jijnasa evan samasya ke roop mean vidyaman raha hai. manav ke bhavishy, is prithivi ke uparant usake svaroop evan is vishv ke ant ke vishay mean bhaanti-bhaanti ke mat prakashit kiye jate rahe haian, jo mahattvapoorn evan manoram haian. pratyek dharm mean isake vishay mean prithak drishtikon raha hai. is prashn evan rahasy ko lekar ek nayi vidya ka nirman bhi ho chuka hai, jise aangrezi mean ishchait aaul aauji (Eschatology) kahate haian. yah shabd yoonani shabdoan-ishchait aaus (Eschatos=Last) evan logiya (Logia=Discourse) se bana hai, jisaka tatpary hai, antim batoan, yatha-mrityu, nyay evan mrityu ke uparant ki avastha se sambandh rakhane vala vijnan. isake do svaroop haian, jinamean ek ka sambandh hai mrityu ke uparant vyakti ki niyati, atma ki amarata, pap evan dand tatha svarg evan narak ke vishay ki charcha se, aur doosare ka sambandh hai akhil brahmand, usaki srishti, parinati evan uddhar tatha sabhi vastuoan ke param ant ke vishay ki charcha se. prachin granthoan mean pratham svaroop par hi adhik bal diya gaya hai, kintu ajakal vaijnanik drishtikon rakhane vale log bahudha doosare svaroop par hi adhik sochate haian.

mrityu vilakshan evan bhayavah

samanyat: mrityu vilakshan evan bhayavah samajhi jati hai, yadyapi kuchh darshanik manovritti vale vyakti ise mangalaprad evan shariraroopi bandigrih mean bandi atma ki mukti ke roop mean grahan karate rahe haian. mrityu ka bhay bahutoan ko hota hai; kintu vah bhay aisa nahian hai ki us samay ki arthath maran-kal ki samay ki sambhavit pi da se ve akrant hote haian, pratyut unaka bhay us rahasy se hai, jo mrityu ke uparant ki ghatanaoan se sambandhit hai tatha unaka bhay un bhavanaoan se hai, jinaka gambhir nirdesh jivanoparant sambhavit evan achinty parinamoan ke upabhog ki or hai. si.ee. vulliyami ne apane granth 'immartal main'[11] mean kaha hai-yadyapi (mrityuparant ya pret) jivan ke sambandh mean atyant kathor evan bhayanak kalpanaoan se lekar uchch evan sundaratam kalpanaean prakashit ki gayi haian, tathapi tattvik bat yahi rahi hai ki sharir marata hai n ki atma.[12]

mrityu ke sambandh mean dharanaean

mrityu ke vishay mean adim kal se lekar sabhy avastha tak ke logoan mean bhaanti-bhaanti ki dharanaean rahi haian. kathopanishad[13] mean aya hai-'jab manushy marata hai to ek sandeh utpann hota hai, kuchh logoan ke mat se mrityooparant jivatma ki satta rahati hai, kintu kuchh log aisa nahian manate haian.' nachiketa ne is sandeh ko door karane ke lie yam se prarthana ki hai. mrityooparant jivatma ka astitv manane valoan mean kee prakar ki dharanaean payi jati haian.[14] kuchh logoan ka vishvas hai ki mritoan ka ek lok hai, jahaan mrityooparant jo kuchh bach rahata hai, vah jata hai. kuchh logoan ki dharana hai ki sukrityoan evan dushkrityoan ke phalasvaroop sharir ke atirikt prani ka vidyamanaansh kram se svarg evan narak mean jata hai. kuchh log avagaman evan punarjanm mean vishvas rakhate haian.[15]

granthoan ke anusar

brahmapuran[16] ne aise vyaktiyoan ka ullekh kiya hai, jinhean mrityu sukhad evan saral pratit hoti hai; n ki pi dajanak evan chintayukt. vah kuchh yoan hai-'jo jhooth nahian bolata, jo mitr ya snehi ke prati kritaghn nahian hai, jo astik hai, jo devapooja parayan hai aur brahmanoan ka samman karata hai tatha jo kisi se eershya nahian karata-vah sukhad mrityu pata hai.' isi prakar anushasanaparv[17] ne vistar ke sath akalamrityu evan dirgh jivan ke karanoan ka varnan kiya hai, vah kuchh yoan hai-nastik, yajn n karane vale, guruoan evan shastroan ki ajna ke ullanghanakarta, dharm n janane vale evan dushkarmi log alpayu hote haian. jo charitravanh nahian haian, jo sadachar ke niyam to da karate haian aur jo kee prakar se sambhog kriya karate rahate haian, ve alpayu hote haian aur narak mean jate haian. jo krodh nahian karate, jo satyavadi hote haian, jo kisi ki hiansa nahian karate, jo kisi ki eershya nahian karate aur jo kapati nahian hote, ve shatayu hote haian.[18]

mrityu ke agaman ke sanket

bahut se granth mrityu ke agaman ke sanketoan ka varnan karate haian, yatha-shantiparv[19]), deval[20], vayu puran[21], markandey puran[22], liang puran[23] adi puranoan mean mrityu ke agaman ke sanketoan ya chihnoan ki lambi-lambi soochiyaan milati haian. sthanabhav se adhik nahian likha ja sakata, kintu udaharanarth kuchh batean di ja rahi haian.

shantiparv ke anusar

shantiparv[24] ke anusar jo arundhati, dhruv tara evan poorn chandr tatha doosare ki aankhoan mean apani chhaya nahian dekh sakate, unaka jivan bas ek varsh ka hota hai; jo chandramandal mean chhidr dekhate haian, ve keval chh: mas ke shesh jivan vale hote haian; jo sooryamandal mean chhidr dekhate haian ya pas ki sugandhit vastuoan mean shav ki gandh pate haian, unake jivan ke keval sat din bache rahate haian. asann mrityu ke lakshan ye haian-kanoan evan nak ka jhuk jana, aankhoan evan daantoan ka rang parivartan ho jana, sanjnashoonyata, shariroshnata ka abhav, kapal se dhoom nikalana evan achanak bayian aankh se pani girana.

deval ke anusar

deval ne 12, 11 ya 10 mas se lekar ek mas, 15 din ya 2 dinoan tak ki mrityu ke lakshanoan ka varnan kiya hai aur kaha hai ki jab aanguliyoan se band karane par kanoan mean svar ki dhamak nahian jnat hoti ya aankh mean prakash nahian dikhata to samajhana chahie ki mrityu ane hi vali hai.

vayupuran evan liangapuran ke anusar

antim do lakshanoan ko vayupuran[25] evan liangapuran[26] ne sabase bura mana hai.[27] muanshi hirak jayanti granth[28] mean d aau. ar. ji. harshe ne kee granthoan ke adhar par likha hai ki jab vyakti svapn mean gadha dekhata hai to usaka maran nishchit-sa hai, jab vah svapn mean boodhi kumari stri dekhata hai to bhay, rog evan mrityu ka lakshan samajhana chahie[29] ya jab trishool dekhata hai to mrityu parilakshit hoti hai.

maranasann pratha

bharat ke adhikaansh bhagoan mean aisi pratha hai ki jab vyakti maranasann rahata hai ya jab vah ab-tab rahata hai, to log use khat se utarakar prithivi par lita dete haian. yah pratha yoorop mean bhi hai.[30]

  • kaushikasootr[31] mean aya hai; jab vyakti shaktihin hota hai, arthath marane lagata hai to (putr ya seva karane vala koee sambandhi) shala mean lagi huee ghas par kush bichha deta hai aur use 'syonasmai bhav' mantr ke sath (bistar ya khat se) uthakar us par rakh deta hai.
  • baudhayanapitrimedhasootr[32] ke mat se jab yajaman ke marane ka bhay ho jae to yajnashala mean prithivi par baloo bichha deni chahie aur us par darbh phaila dene chahie, jinaki noank dakshin ki or hoti hai, maranasann ke dayean kan mean 'ayush: pranan santanu' se arambh hone vale anuvak ka path (putr ya kisi any sambandhi dvara) hona chahie.[33]
  • shuddhiprakash[34] mean aya hai ki jab koee vyakti mritapray ho, usaki aankhean adhi band ho gee hoan aur vah khat se niche utar diya gaya ho, to usake putr ya kisi sambandhi ko chahie ki vah usase nimn prakar ka koee ek ya sabhi prakar ke das dan karaye-gau, bhoomi, til, sona, ghrit, vastr, dhany, gu d, rajat (chaandi) evan namak.[35] ye dan gayashraddh ya saik doan ashvamedhoan se badhakar haian. sankalp is prakar ka hota hai-'abhyuday (svarg) ki prapti ya papamochan ke lie maian das dan karooanga.' das danoan ke uparant utkranti-dhenu (mrityu ko dhyan mean rakhakar bachh de ke sath gau) di jati hai, aur isake uparant vaitarani gau ka dan kiya jata hai.[36]
  • antyeshtipaddhati evan shuddhiprakash[37] mean un mantroan ka (jo vaidik nahian hai) ullekh hai jo danoan ke samay kahe jate haian. antyeshtipaddhati antyakarmadipak adi ne vyavastha di hai ki jab vyakti asannamrityu ho, to usake putr ya sambandhiyoan ko chahie ki ve usase vratodyapan, sarvaprayashchitt evan das danoan ke krity karayean, kintu yadi maranasann in krityoan ko svayan karane mean ashakt ho to putr ya sambandhi ko usake lie aisa kar dena chahie. jab vyakti sankalpit vrat nahian kar pata to marate samay vah vratodyapan krity karata hai.[38]

vratodyapan

sankshep mean vratodyapan yoan hai-putr ya sambandhi maranasann vyakti ko snan dvara ya pavitr jal se marjan karake ya ganga jal pilakar pavitr karata hai, svayan snanasandhya se pavitr ho leta hai, dip jalata hai, ganesh evan vishnu ki pooja-vandana karata hai, pooja ki samagri rakhakar sankalp karata hai[39] nimantrit brahman ko sammanit karata hai aur pahale se sankalpit sona use deta hai aur brahman ghoshit karata hai-'sabhi vrat poorn hoan. udyapan (vrat-poorti) ke phal ki prapti ho.' sarvaprayashchit mean putr char ya tin vidvan brahmanoan ya ek atmajnani brahman ko 6, 3 ya dedh varsh vale prayashchittoan ke nishkriy roop mean sona adi ka dan deta hai aur isaki ghoshana karata hai aur vah ashauch ke uparant prayashchit karata hai. maranasann vyakti ko ya putr ya sambandhi ko sarvaprayashchit karana p data hai. vah kshirakarm karake snan karata hai, panchagavy pita hai, chandanalep evan any padarthoan se ek brahman ko sammanit karata hai, gopooja karake ya usake sthan par dhan ka dan karata hai.[40] sarvaprayashchit ke uparant dash-dan hote haian. garu dapuran[41] ne mahadan sanjnak any danoan ki vyavastha di hai, yatha-til, loha, sona, rooee, namak, sat prakar ke ann, bhoomi, gau; kuchh any dan bhi haian, yatha-chhata, chandan, aangoothi, jalapatr, asan, bhojan, jinhean padadan kaha jata hai. garu dapuran[42] ke mat se yadi maranasann vyakti atur-sannyas niyamoan ke anusar sannyas grahan kar leta hai, to vah avagaman (janm-maran) se chhutakara pa jata hai.

adikal se hi aisa vishvas raha hai ki marate samay vyakti jo vichar rakhata hai, usi ke anusar daihik jivan ke uparant usaka jivatma akrant hota hai (ante ya mati: sa gati:), at: mrityu ke samay vyakti ko saansarik moh-maya chho dakar hari ya shiv ka smaran karana chahie aur man hi man 'ooan namo vasudevay' ka jap karana chahie.[43] bahut se vachanoan ke anusar use vaidik path sunana chahie.[44]

maranasann vyakti dvara smaran

hiranyakeshipitrimedhasootr[45] ke mat se ahitagni ke marate samay putr ya sambandhi ko usake kan mean (jab vah brahmajnani ho) taittiriyopanishad ke do anuvak (2|1 evan 3|1) kahane chahie. antyakarmadipak[46] ka kathan hai ki jab maranasann vyakti jap n kar sake to use vishnu ya shiv ka ramaniy roop man mean dharan kar vishnu ya shiv ke sahasr nam sunane chahie aur bhagavadgita, bhagavat, ramayan, eeshavasy adi upanishadoan evan samavediy mantroan ka path sunana chahie.[47]

upanishadoan mean bhi maranasann vyakti ki bhavanaoan ke vishay mean sanket milate haian. chhandogyopanishad[48] mean aya hai-'sabhi brahm hai. vyakti ko adi, ant evan isi sthiti ke roop mean isaka (brahm ka) dhyan karana chahie. isi ki ichchha ki srishti manushy hai. is vishv mean usaki jo ichchha (ya bhavana) hogi, usi ke anusar vah ihalok se jane ke uparant hoga.'[49] isi prakar ki bhavana prashnopanishad[50] mean bhi payi jati hai. vahaan aisa aya hai ki vichar-shakti atma ko uchchatar uthati jati hai, jisase manushy-man ko aisa parijnan hona chahie ki akhil brahmand mean jitane bhautik padarth ya abhivyaktiyaan haian, ve sab ek haian aur unamean ek hi vibhu roop samaya hua hai. bhagavadgita ne yahi bhavana aur adhik spasht roop se vyakt ki hai-'vah vyakti, jo antakal mean mujhe smaran karata hua is jivan se vida hota hai, vah mere pas ata hai, isamean sanshay nahian hai'.[51] kintu ek bat smaraniy yah hai ki antakal mean hi keval bhagavan ka smaran karane se kuchh n hoga, jab jivan bhar atma aisi bhavana se abhibhoot rahata hai, tabhi bhagavatprapti hoti hai. aisa kaha gaya hai-'vyakti mrityu ke samay jo bhi roop (ya vastu) sochata hai, usi ko vah prapt hota hai, aur yah tabhi sambhav hai, jabaki vah jivan bhar aisa karata aya ho.'[52]

tirthasthan gaman

puranoan ke adhar par kuchh nibandhoan ka aisa kathan hai ki antakal upasthit hone par vyakti ko, yadi sambhav ho to, kisi tirth-sthan (yatha ganga) mean le jana chahie. shuddhitattv[53] ne koormapuran ko uddhrit kiya hai-'ganga ke jal mean, varanasi ke sthal ya jal mean, gangasagar mean ya usaki bhoomi, jal ya antariksh mean marane se vyakti moksh (sansar se antim chhutakara) pata hai.' isi arth mean skandapuran mean aya hai-'ganga ke tatoan se ek gavyooti (do kos) tak kshetr (pavitr sthan) hota hai, itani door tak dan, jap evan hom karane se ganga ka hi phal prapt hota hai; jo is kshetr mean marata hai, vah svarg jata hai aur pun: janm nahian pata'.[54] poojaratnakar mean aya hai-'jahaan jahaan shalagramashila hoti hai, vahaan hari ka nivas rahata hai; jo shalagramashila ke pas marata hai, vah hari ka paramapad prapt karata hai.' aisa bhi kaha gaya hai ki yadi koee anary desh (kikat) mean bhi shalagram se ek kos ki doori par marata hai, vah vaikunth (vishnulok) pata hai. isi prakar jo vyakti tulasi ke van mean marata hai ya marate samay jisake mukh mean tulasidal rahata hai, vah karo doan pap karane par bhi mokshapad prapt karata hai. is prakar ki bhavanaean aj bhi lokaprasiddh haian.[55]

mrityu ka uttam kal

mrityu ke uttam kal ke vishay mean bhi kuchh dharanaean haian. shantiparv[56] mean aya hai-'jo vyakti soory ke uttar disha mean jane par (uttarayan hone par) marata hai ya kisi any shubh nakshatr evan muhoort mean marata hai, vah sachamuch punyavan hai.' yah bhavana upanishadoan mean vyakt uttarayan evan dakshinayan mean marane ki dharana par adharit hai. chhandogyopanishad[57] mean aya hai-'ab (yadi yah atmajnani vyakti marata hai) chahe log usaki antyeshti kriya (shraddh adi) karean ya n karean, vah archi: arthath prakash ko prapt hota hai, prakash se din, din se chandr ke ardh prakash (shukl paksh), usase uttarayan ke chh: mas, usase varsh, varsh se soory, soory se chandr, chandr se vidyut ko prapt hota hai. amanav use brahm ki or le jata hai. yah devoan ka marg hai; vah marg, jisase brahm ki prapti hoti hai. jo log is marg se jate haian, ve manav jivan mean pun: nahian lautate. haan, ve nahian lautate.' aisi hi bat chhandogyopanishad[58] mean ayi hai, jahaan kaha gaya hai ki panchagni-vidya janane vale grihasth tatha vishvas (shraddha) evan tap karane vale vanaprasth evan parivrajak (jo abhi brahm ko nahian janate) bhi devayan (devamarg) se jate haian. aur jo log gramavasi haian,[59] yajnaparayan haian, dan-dakshinayukt haian, dhoom ko jate haian, ve dhoom se ratri, ratri se chandr ke ardh aandhakar (krishna paksh) mean, usase dakshinayan ke chh: mas, usase pitrilok, usase akash evan chandr ko jate haian, jahaan ve karmaphal pate haian aur pun: usi marg se laut ate haian. chhandogyopanishad[60] ne ek tisare sthan ki or sanket kiya hai, jahaan kit-patang adi lagatar ate-jate rahate haian.

brihadaranyakopanishad[61] ne bhi devalog, pitrilok evan us lok ka ullekh kiya hai, jahaan kit, patang adi jate haian. bhagavadgita[62] ne bhi upanishadoan ke in vachanoan ko sookshm roop mean kaha hai-maian un kaloan ka varnan karooanga, jab ki bhaktagan kabhi n lautane ke lie is vishv se vida hote haian. agni, jyoti, din, shukl paksh, uttarayan soory ke chh:; jab brahmajnani in kaloan mean marate haian, to brahmalok jate haian. dhoom, ratri, krishna paksh, dakshinayan soory ke chh: masoan mean marane vale bhaktagan chandralok mean jate haian aur pun: laut ate haian. is vishay mean ye do marg, jo prakashaman evan aandhakaramay haian, sanatan haian. ek se jane vala kabhi nahian lautata, kintu doosare se ane vala laut ata hai. vedantasootr[63] ne 'prakash', 'din' adi shabdoan ko yathashrut shabdik arth mean lene ko nahian kaha hai; arthath usake mat se ye margoan ke lakshan ya star nahian haian, pratyut ye un devataoan ke pratik haian, jo mritatmaoan ko sahayata dete haian aur devalok evan pitrilok ke margoan mean unhean le jate haian, arthath ve ativahik evan abhimani devata haian. shankar ne vedantasootr[64] ki vyakhya mean bataya hai ki jab bhishm ne uttarayan ki bat johi to isase yahi samajhana chahie ki vahaan archiradi ki prashasti matr hai-jo brahmajnani hai, vah yadi dakshinayan mean mar jata hai to bhi vah apane jnan ka phal pata hai, arthath brahm ko prapt karata hai. jab bhishm ne uttarayan ki bat johi to aisa karake unhoanne keval lokaprasiddh prayog ya acharan ko manyata di aur unhoanne yah bhi prakat kiya ki unamean yah shakti bhi thi ki ve apani ichchhashakti se hi mar sakate haian, kyoanki unake pita ne unhean aisa var de rakha tha.[65] shankar evan vedantasootr ke vachanoan ke rahate hue bhi lokaprasiddh bat yahi rahi hai ki uttarayan mean marana uttam hai.[66]




panne ki pragati avastha
adhar
prarambhik
madhyamik
poornata
shodh

tika tippani aur sandarbh

  1. pustak-kalyan sanskar-aank (janavari san 2006 ee. se
  2. 2.0 2.1 2.2 2.3 2.4 2.5 aantyeshti-sanskar (hindi) (e.es.pi) pooja vidhi. abhigaman tithi: 17 faravari, 2011.
  3. ashvalayanagrihyasootr 1|15|12, 1|16|6, 1|17|11 evan manu 2|66
  4. manu 10.127 evan yajnavalkyasmriti 1.10
  5. baudhayan pitrimedhasootr 3|1|4
  6. jo shraut agnihotr arthath vaidik yajn karata hai
  7. jo keval smart agni ko poojata hai, arthath smritiyoan mean vyavasthit dharmik krity karata hai
  8. nirnayasindhu prishth 569
  9. pratishakhan bhinnepyantyakarmani sadharanan kianchiduchyate. nirnayasindhu (prishth 569).
  10. jaisa ki d aauktar kailaind ne kiya hai
  11. immartal main (prishth 2)
  12. aangrezi shabd ‘spirit’ evan bharatiy shabd atma mean dharmik evan darshanik drishti se arth-samy nahian hai. pratham shabd jivanochchhvas ka dyotak hai aur doosare ko bharatiy darshan mean paramatma ki abhivyakti ka roop diya gaya hai. atma amar hai, sharir nashavanh. gita mean aya bhi hai-

    'nainan chhindanti shastrani nainan dahati pavak:.
    n chainan kledayantyapo n shoshayati marut:..’ aur bhi-‘ajo nity: shashvatoayan puran:.........’

  13. kathopanishad (1.1.20)
  14. dekhie si.ee. vulliyami ka immartal main prishth 11.
  15. yoonani lekhak pindar (dvitiy alichien od), pleto (pidras evan timies) evan herodotas (2.123).
  16. brahmapuran 214.34-39
  17. anushasanaparv 104.11-12; 144.49-60
  18. anushasanaparv 104.11-12 evan 14
  19. shantiparv 318.9-17
  20. kalpataru, mokshakand, prishth 248-250
  21. vayu puran 19|1-32
  22. markandey puran 43.1-33 ya 40.1-33
  23. liang puran poorvardh, adhyay 91
  24. shantiparv adhyay 318
  25. vayupuran 19|28
  26. liangapuran poorvardh, 91.24
  27. dve chatr paramearishte etadroopan paran bhaveth. ghoshan n shrrinuyatkarne jyotirnetre n pashyati.. vayupuran (19.27); nagnan va shramanan drishtva vidyanmrityumupasthitamh. liangapuran (poorvabhag 91.19).
  28. muanshi hirak jayanti granth prishth 246-268
  29. prishth 251
  30. pro. edagartan ka lekh; ‘di avar av deth’, enals av di bhandarakar o. ar. ianstityoot, jild 8, prishth 219-249
  31. kaushikasootr 80|3
  32. baudhayanapitrimedhasootr 3|1|18
  33. gobhilasmriti (3.22), pitridayita adi.

    durbalibhavantan shalatrineshu darbhanastiry syonasmai bhavetyavarohayati.
    mantroktavanumantrayate. yatte krishnaetyavadipayati. kaushik. (80|3-5). 'syonasmai' mantr ke lie dekhie atharvaved (18-2-19), rrigved (1|22|15) evan vajasaneyisanhita (36|13), dekhie nirukt (9|32).

    pitridayita (prishth 74) mean aya hai-'yada kanthasthanagatajivi vihvalo dehi bhavati tada bahirgomayenopaliptayaan bhoomau kushandakshinagranastiry tadupari dakshinashirasan sthapayitva suvarnarajatagobhoomidipatilapatrani dapayeth.
    gobhilasmriti (3.22)-‘durbalan snapayitva tu shuddhachailabhisanvritamh. dakshinashirasan bhoomau bahishmatyaan niveshayeth..'

  34. shuddhiprakash prishth 151-152
  35. danani ch jatookarny ah. utkrantivaitaranyau ch dash danani chaiv hi. preteapi kritva tan pretan shavadharmen dahayeth......dash danani ch tenaivoktani. gobhootilahiranyajyavasodhanyagudani ch. roopyan lavanamityahurdash dananyanukramath.. shuddhiprakash (prishth 152). aur dekhie garu d puran (pretakhand, 4.4); epigraifiya indika (jild 19, prishth 230).
  36. asannamrityuna deya gau: savatsa tu poorvavath. tadabhave tu gaurev narakottaranay ch.. tada yadi n shaknoti datuan vaitaranian tu gam. shaktoanyoarukh tada dattva dadyachchhreyo mritasy ch.. vyas (shuddhitattv, prishth 300; shuddhiprakash prishth 153; antyakarmadipak prishth 7). garu dapuran (pretakhand, 4.6) mean aya hai-'nadian vaitaranian tartu dadyadvaitaranian ch gamh. krishnastani skrishnaaangi sa vai vaitarani smrita..' aisa aya hai ki yam ke dvar par vaitarani nam ki nadi hai, jo rakt evan paine astroan se paripoorn hai; jo log marate samay gaudan karate haian, ve us nadi ko gay ki pooanchh pak dakar par kar jate haian. skandapuran 6|226|32-33 jahaan vaitarani ki charcha hai; ‘mrityukale prachachchhanti ye dhenuan brahmanay vai. tasya: puchchhan samashrity te taranti ch taan nrip..’
  37. antyeshtipaddhati evan shuddhiprakash prishth 152-153
  38. antyakarmadipak prishth 3-4
  39. sankalp yah hai-atr prithivyaan jamboodvipe bharatakhande aryavartekadeshe vishnorajnaya pravartamanasy brahmano dvitiyapararve.........amukatiyau amukagotr..........amukashamahian mamatman: (mam pitrade:) vratagrahanadivasadarabhy ady yavatphalabhilashadigrihitanaan nishkamataya grihitanaan ch amukamukavratanamakritodyapanadoshaparihararth shrutismriti-puranoktatattadavratajanyasaangaphalapraptyarth vishnvadinaan tattaddevanaan pripaye idan suvarnamagnidaivatamh (tadabhave idan rajatan chandradaivatamh) amukagotrayamukasharmanh brahmanay dasye oan tatsath n mam iti sankalp........adi-adi (antyakarmadipak, prishth 4)’.
  40. deshakalau sankirty mam (matpatradervaan) jnatajnatakamakamasakridasakritkayikavachikamanasikataansargik-sprishtasprisht-bhuktabhukt-pitapitasakalapatakanupatakopapatakalaghupatakasankarikaranamalinikaranapatri- karanajatibhranshakaraprakirnakadinanavidhapatakanaan nirasen dehavasanakale dehashuddhidvara shriparameshvaraprityarthamimaan sarvaprayashchittapratyamnayabhootaan yathashaktyalankritaan savatsaan gaan rudradevatamamukagotrayamukasharmane brahmanay tubhyamahan sanpradade oan tatsath n mam. antyakarmadipak (prishth 5).
  41. garu dapuran 2|4|7-9
  42. garu dapuran 2|4|47
  43. bhagavadgita (8|5-6) evan padm puran (5|47|262)-'marane ya mati: puansaan gatirbhavati tadrishi.'
  44. gautam-pitrimedhasootr 1|1-8
  45. hiranyakeshipitrimedhasootr 1|1
  46. antyakarmadipak prishth 18
  47. japeasamarthashched hridaye chaturbhujan shankhachakragadapadmadharan pitambarakiritakeyoorakaustubhavanamaladharan ramaniyaroopan vishnuan trishooladamarudharan trinetran gangadharan shivan va bhavayanh sahasranamagitabhagavatabharataramayaneshavasyadyupanishad: pavamanadini sooktani ch yathasambhavan shrinuyath. antyakarmadipak (prishth 18). vishnusahasranam ke lie dekhie anushasanaparv (149|14-120); shiv ke 1008 namoan ke lie dekhie vahi (17|31-153); aur shiv sahasranam ke lie dekhie shantiparv bhi (285|74).
  48. chhandogyopanishad (shandily-vidya, 314|1)
  49. sarvakhalvidan brahm tajjalaniti shant upasitath khalu kratumay: purusho yathakraturasmianlloke purusho bhavati tathet: prety bhavati s kratuan kurvit. chhandogyopanishadh (3|14|1). antakale ch mamev smaranmuktva kalevaramh. y: prayati s madbhavan yati nastyatr sanshay:.. yan yan vapi smaranbhavan tyajatyante kalevaramh. tan tamevaiti kauntey sada tadbhav bhavit:.. bhagavadgita (8|5-6) dekhie aur shankarabhashy, vedantasootr (1|2|1 evan 4|1|12).
  50. prashnopanishad 3|10
  51. prashnopanishad 8|5
  52. bhagavadgita 8|6
  53. shuddhitattv prishth 299
  54. shuddhitattv, prishth 299-300; shuddhiprakash, prishth 155
  55. koormapuranamh. gangayaan ch jale moksho varanasyaan jale sthale. jale sthale chantarikshe gangasagarasangame.. tatha skande-tiradh gavyootimatran tu parit: kshetramuchyate. atr danan japo homo gangayaan natr sanshay:.. atrasthastridivan yanti ye mrita n punarbhava:. shuddhitattv (prishth 299-300); shuddhiprakash (prishth 155). poojaratnakare-shalagramashila yatr tatr sannihito hari:. tatsannighau tyajeth prananh yati vishno: paran padamh.. liangapurane-shalagramasamipe tu kroshamatran samantat:.. kikatepi mrito yati vaikunthabhavanan nar:. vaishnavamrite vyas:-tulasikanane jantoryadi mrityurbhaveth kvachith. s nirbhartsy naran papi lilayaiv harian visheth.. prayanakale yasyasye diyate tulasidalamh. nirvanan yati pakshindr papakotiyritopi s:.. shuddhitattv (prishth 299); shuddhiprakash (prishth 155). kikat magadh desh ka nam hai, jise rrigved (3.53.14) mean aryadharm se bahar ki bhoomi kaha gaya hai. aur dekhie nirukt (6.32) jahaan kikat desh ko anary nivas kaha gaya hai. shuddhiprakash ‘kikatepi’ ke sthan par ‘kitakoapi’ likhata hai jo adhik samichin hai, kintu yah sanshodhan bhi ho sakata hai.
  56. shantiparv (298.23, kalpataru, mokshakand, prishth 254)
  57. chhandogyopanishad 4|15|5-6
  58. chhandogyopanishad 5.10.1-2
  59. chhandogyopanishad 5|10|3-7
  60. chhandogyopanishad 5|10|8
  61. brihadaranyakopanishad 6|2|115-16
  62. bhagavadgita 8|23-25
  63. vedantasootr 4|3|4-6
  64. vedantasootr (4|2|20 atashchayanepi dakshine)
  65. yajnavalkyasmriti (3|9193-196) 'devayan' evan 'pitriyan' ke vishay mean dekhie rrigved mean bhi, yatha-3|58|5; 7|38|8; 7|76|2; 10|51|5; 10|98|11; 10|18|1; 10|2|7 aur taittiriy brahman (2|6|3|5); shatapath brahman (1.9.3.2); brihadaranyakopanishadh (1.5.16).
  66. baudhayanapitrimedhasootr 2.|7|21 evan gautamapitrimedhasootr 2|7|1-2

sanbandhit lekh