Difference between revisions of "कबीर"

भारत डिस्कवरी प्रस्तुति
Jump to navigation Jump to search
[unchecked revision][unchecked revision]
Line 123: Line 123:
 
कबीरदास का यह भक्त रूप ही उनका वास्तविक रूप है। इसी केन्द्र के इर्द–गिर्द उनके अन्य रूप स्वयमेव प्रकाशित हो उठे हैं। मुश्किल यह है कि इस केन्द्रीय वस्तु का प्रकाश भाषा की पहुँच से बाहर है। भक्ति कहकर नहीं समझाई जा सकती, वह अनुभव करके आस्वादन की जा सकती है। कबीरदासे ने इस बात को हज़ार तरीक़े से कहा है। इस भक्ति या भगवान के प्रति अहैतुक अनुराग की बात कहते समय उन्हें ऐसी बहुत सी बातें कहनी पड़ीं हैं जो भक्ति नहीं हैं। पर भक्ति के अनुभव करने में सहायक हैं। मूल वस्तु चूँकि वाणी के अगोचर है, इसलिए केवल वाणी का अध्ययन करने वाले विद्यार्थी को अगर भ्रम में पड़ जाना पड़ा हो तो आश्चर्य की कोई बात नहीं है। वाणी द्वारा उन्होंने उस निगूढ़ अनुभवैकगम्य तत्त्व की और इशारा किया है, उसे ध्वनित किया गया है। ऐसा करने के लिए उन्हें भाषा के द्वारा रूप खड़ा करना पड़ा है और अरूप को रूप के द्वारा अभिव्यक्त करने की साधना करनी पड़ी है। काव्यशास्त्र के आचार्य इसे ही कवि की सबसे बड़ी शक्ति बताते हैं। रूप के द्वारा अरूप की व्यजंना, कथन के जरिए अकथ्य का ध्वनन, काव्य–शक्ति का चरम निर्देशन नहीं तो क्या है? फिर भी ध्वनित वस्तु ही प्रधान है; ध्वनित करने की शैली और सामग्री नहीं। इस प्रकार काव्यत्व उनके पदों में फोकट का माल है—बाइप्रोडक्ट है; वह कोलतार और सीरे की भाँति और चीजों को बनाते–बनाते अपने–आप बन गया है।  
 
कबीरदास का यह भक्त रूप ही उनका वास्तविक रूप है। इसी केन्द्र के इर्द–गिर्द उनके अन्य रूप स्वयमेव प्रकाशित हो उठे हैं। मुश्किल यह है कि इस केन्द्रीय वस्तु का प्रकाश भाषा की पहुँच से बाहर है। भक्ति कहकर नहीं समझाई जा सकती, वह अनुभव करके आस्वादन की जा सकती है। कबीरदासे ने इस बात को हज़ार तरीक़े से कहा है। इस भक्ति या भगवान के प्रति अहैतुक अनुराग की बात कहते समय उन्हें ऐसी बहुत सी बातें कहनी पड़ीं हैं जो भक्ति नहीं हैं। पर भक्ति के अनुभव करने में सहायक हैं। मूल वस्तु चूँकि वाणी के अगोचर है, इसलिए केवल वाणी का अध्ययन करने वाले विद्यार्थी को अगर भ्रम में पड़ जाना पड़ा हो तो आश्चर्य की कोई बात नहीं है। वाणी द्वारा उन्होंने उस निगूढ़ अनुभवैकगम्य तत्त्व की और इशारा किया है, उसे ध्वनित किया गया है। ऐसा करने के लिए उन्हें भाषा के द्वारा रूप खड़ा करना पड़ा है और अरूप को रूप के द्वारा अभिव्यक्त करने की साधना करनी पड़ी है। काव्यशास्त्र के आचार्य इसे ही कवि की सबसे बड़ी शक्ति बताते हैं। रूप के द्वारा अरूप की व्यजंना, कथन के जरिए अकथ्य का ध्वनन, काव्य–शक्ति का चरम निर्देशन नहीं तो क्या है? फिर भी ध्वनित वस्तु ही प्रधान है; ध्वनित करने की शैली और सामग्री नहीं। इस प्रकार काव्यत्व उनके पदों में फोकट का माल है—बाइप्रोडक्ट है; वह कोलतार और सीरे की भाँति और चीजों को बनाते–बनाते अपने–आप बन गया है।  
 
==रूपातीत व्यंजना और खंडन मंडन==
 
==रूपातीत व्यंजना और खंडन मंडन==
 +
[[चित्र:Kabir.jpg|thumb|250px|कबीरदास]]
 
प्रेम भक्ति को कबीरदास की वाणियों की केन्द्रीय वस्तु न मानने का ही यह परिणाम हुआ है कि अच्छे–अच्छे विद्वान उन्हें घमंडी, अटपटी वाणी का बोलनहारा, [[एकेश्वरवाद]] और अद्वैतवाद के बारीक भेद को न जानने वाला, अहंकारी, अगुण–सगुण–विवेक–अनभिज्ञ आदि कहकर अपने को उनसे अधिक योग्य मानकर संतोष पाते रहे हैं। यह मानी हुई बात है कि जो बात लोक में अहंकार कहलाती है वह भगवत्प्रेम के क्षेत्र में, स्वाधीनभर्तृका नायिका के गर्व की भाँति अपने और प्रिय के प्रति अखंड विश्वास की परिचायक है; जो बात लोक में दब्बूपन और क़ायरता कहलाती है, वही भगवत्प्रेम के क्षेत्र में भगवान के प्रति भक्त का अनन्य परायण आम्तार्पण होती है और जो बातें लोक में परस्पर विरुद्ध जँचती हैं भगवान के विषय में उनका विरोध दूर हो जाता है। लोक में ऐसे जीव की कल्पना नहीं की जा सकती जो कर्णहीन होकर भी सब कुछ सुनता हो, चक्षुरहित बना रहकर भी सब कुछ देख सकता हो, वाणीहीन होकर भी वक्ता हो सकता हो, जो छोटे-से-छोटा भी हो और बड़े-से-बड़ा भी, जो एक भी हो और अनेक भी, जो बाहर भी हो भीतर भी, जिसे सबका मालिक भी कहा जा सके और सबका सेवक भी, जिसे सबके ऊपर भी कहा जा सके और सर्वमय सेवक भी; जिसमें समस्त गुणों का आरोप भी किया जा सके और गुणहीनता का भी, और फिर भी जो न इन्द्रिय का विषय हो, न मन का, न बुद्धि का। परन्तु भगवान के लिए सब विशेषण सब देशों के साधक सर्व–भाव से देते रहे हैं। जो भक्त नहीं हैं, जो अनुभव के द्वारा साक्षात्कार किए हुए सत्य में विश्वास नहीं रखते, वे केवल तर्क में उलझकर रह जाते हैं; पर जो भक्त हैं, वे भुजा उठाकर घोषणा करते हैं, 'अगुणहिं–सगुणहिं नहिं कछु भेदा' (तुलसीदास)। परन्तु तर्क परायण व्यक्ति इस कथन के अटपटेपन को वदतो–व्याघात कहकर संतोष कर लेता है। यदि भक्ति को कबीरदास की वाणियों की केन्द्रीय वस्तु मान लिया जाता तो निस्सन्देह स्वीकार कर लिया जाता कि भक्त के लिए वे सारी बातें बेमतलब हैं,जिन्हें कि विद्वान लोग बारीक भेद कहकर आनन्द पाया करते हैं। भगवान के अनिवर्चनीय स्वरूप को भक्त ने जैसा कुछ देखा है वह वाणी के प्रकाशन क्षेत्र के बाहर हैं, इसीलिए वाणी नाना प्रकार से परस्पर विरोधी और अविरोधी शब्दों के द्वारा उस परम प्रेममय का रूप निर्देश करने की चेष्टा करती है। भक्त उसकी असमर्थता पर नहीं जाता, वह उसकी रूपातीत व्यंजना को ही देखता है।  
 
प्रेम भक्ति को कबीरदास की वाणियों की केन्द्रीय वस्तु न मानने का ही यह परिणाम हुआ है कि अच्छे–अच्छे विद्वान उन्हें घमंडी, अटपटी वाणी का बोलनहारा, [[एकेश्वरवाद]] और अद्वैतवाद के बारीक भेद को न जानने वाला, अहंकारी, अगुण–सगुण–विवेक–अनभिज्ञ आदि कहकर अपने को उनसे अधिक योग्य मानकर संतोष पाते रहे हैं। यह मानी हुई बात है कि जो बात लोक में अहंकार कहलाती है वह भगवत्प्रेम के क्षेत्र में, स्वाधीनभर्तृका नायिका के गर्व की भाँति अपने और प्रिय के प्रति अखंड विश्वास की परिचायक है; जो बात लोक में दब्बूपन और क़ायरता कहलाती है, वही भगवत्प्रेम के क्षेत्र में भगवान के प्रति भक्त का अनन्य परायण आम्तार्पण होती है और जो बातें लोक में परस्पर विरुद्ध जँचती हैं भगवान के विषय में उनका विरोध दूर हो जाता है। लोक में ऐसे जीव की कल्पना नहीं की जा सकती जो कर्णहीन होकर भी सब कुछ सुनता हो, चक्षुरहित बना रहकर भी सब कुछ देख सकता हो, वाणीहीन होकर भी वक्ता हो सकता हो, जो छोटे-से-छोटा भी हो और बड़े-से-बड़ा भी, जो एक भी हो और अनेक भी, जो बाहर भी हो भीतर भी, जिसे सबका मालिक भी कहा जा सके और सबका सेवक भी, जिसे सबके ऊपर भी कहा जा सके और सर्वमय सेवक भी; जिसमें समस्त गुणों का आरोप भी किया जा सके और गुणहीनता का भी, और फिर भी जो न इन्द्रिय का विषय हो, न मन का, न बुद्धि का। परन्तु भगवान के लिए सब विशेषण सब देशों के साधक सर्व–भाव से देते रहे हैं। जो भक्त नहीं हैं, जो अनुभव के द्वारा साक्षात्कार किए हुए सत्य में विश्वास नहीं रखते, वे केवल तर्क में उलझकर रह जाते हैं; पर जो भक्त हैं, वे भुजा उठाकर घोषणा करते हैं, 'अगुणहिं–सगुणहिं नहिं कछु भेदा' (तुलसीदास)। परन्तु तर्क परायण व्यक्ति इस कथन के अटपटेपन को वदतो–व्याघात कहकर संतोष कर लेता है। यदि भक्ति को कबीरदास की वाणियों की केन्द्रीय वस्तु मान लिया जाता तो निस्सन्देह स्वीकार कर लिया जाता कि भक्त के लिए वे सारी बातें बेमतलब हैं,जिन्हें कि विद्वान लोग बारीक भेद कहकर आनन्द पाया करते हैं। भगवान के अनिवर्चनीय स्वरूप को भक्त ने जैसा कुछ देखा है वह वाणी के प्रकाशन क्षेत्र के बाहर हैं, इसीलिए वाणी नाना प्रकार से परस्पर विरोधी और अविरोधी शब्दों के द्वारा उस परम प्रेममय का रूप निर्देश करने की चेष्टा करती है। भक्त उसकी असमर्थता पर नहीं जाता, वह उसकी रूपातीत व्यंजना को ही देखता है।  
  

Revision as of 07:30, 15 May 2011

kabir
janm bhoomi laharatara tal, kashi
mrityu magahar mean 120 varsh ki ayu mean
pati/patni loee
santan kamal, kamali
karm bhoomi kashi, banaras
karm-kshetr samaj sudharak kavi
mukhy rachanaean sakhi, sabad aur ramaini
bhasha avadhi, sadhukk di, panchamel khich di
inhean bhi dekhean kavi soochi, sahityakar soochi

mahatma kabiradas ke janm ke samay mean bharat ki rajanitik, samajik, arthik evan dharmik dasha shochaniy thi. ek taraph musalaman shasakoan ki dharmaanndhata se janata pareshan thi aur doosari taraph hindoo dharm ke karmakaand, vidhan aur pakhand se dharm ka hras ho raha tha. janata mean bhakti- bhavanaoan ka sarvatha abhav tha. panditoan ke pakhandapoorn vachan samaj mean phaile the. aise sangharsh ke samay mean, kabiradas ka prardubhav hua. jis yug mean kabir avirbhoot hue the, usake kuchh hi poorv bharatavarsh ke itihas mean ek abhootapoorv ghatana ghat chuki thi. yah ghatana islam jaise ek susangathit sampraday ka agaman tha. is ghatana ne bharatiy dharm–mat aur samaj vyavastha ko buri tarah se jhakajhor diya tha. usaki aparivartaniy samajhi jane vali jati–vyavastha ko pahali bar zabardast thokar lagi thi. sara bharatiy vatavaran sankshubdh tha. bahut–se panditajan is sankshobh ka karan khojane mean vyast the aur apane–apane dhang par bharatiy samaj aur dharm–mat ko sambhalane ka prayatn kar rahe the.

samakalin samajik paristhiti

bharatavarsh koee naya desh nahian hai. b de–b de samrajy usaki dhool mean dabe hue haian, b di–b di dharmik ghoshanaean usake vayumandal mean ninadit ho chuki haian. b di–b di sabhyataean usake pratyek kone mean utpann aur vilin ho chuki haian. unake smriti chihn ab bhi is prakar nirjiv hokar kh de haian manoan attahas karati huee vijayalakshmi ko bijali mar gee ho. anadikal mean usamean anek jatiyoan, kabiloan, nasloan aur ghumakk d khanabadoshoan ke jhund is desh mean ate rahe haian. kuchh der ke lie inhoanne desh ke vatavaran ko vikshubdh bhi banaya hai, par ant tak ve dakhal karake baith jate rahe haian aur purane devataoan ke saman hi shraddhabhajan ban jate rahe haian—kabhi–kabhi adhik samman bhi pa sake haian. bharatiy sanskriti ki kuchh aisi visheshata rahi hai ki un kabiloan, nasloan aur jatiyoan ki bhitari samaj–vyavastha aur dharm–mat mean kisi prakar ka hastakshep nahian kiya gaya hai aur phir bhi unako sampoorn bharatiy man liya gaya hai. bhagavat mean aisi jatiyoan ki ek soochi dekar bataya gaya hai ki ek bar bhagavan ka ashray pate hi ye shuddh ho gee haian. inamean kirat haian, hoon haian, aandhr haian, puliand haian, pukkas haian, abhir haian, shuang haian, yavan haian, khas haian, shak haian aur bhi nishchay hi aisi bahut si jatiyaan haian, jinaka nam bhagavatakar nahian gina ge. [1]

samakalin bharatiy sanskriti

bharatiy sanskriti itane atithiyoan ka apana saki thi, isaka karan yah hai ki bahut se shuroo se hi usaki dharm–sadhana vaiyaktik rahi hai. pratyek vyakti ko alag se dharmopasana ka adhikar hai. jhuand baandhakar utsav ho sakate haian, bhajan nahian. pratyek vyakti apane kie ka zimmedar ap hi hai. shreshthata ki nishani kisi dharm–mat ko manana ya dev vishesh ki pooja karana nahian balki achar–shuddhi aur charitry hai. yadi ek adami apane poorvajoan ke batae dharm par dridh hai, charitr se shuddh hai, doosari jati ya vyakti ke acharan ki nakal nahian karata balki svadharm mean mar jane ko hi shreyaskar samajhata hai, eemanadar hai, satyavadi hai, to vah nishchay hi shreshth hai, phir vah chahe abhir vansh ka ho ya pukks shreni ka. kulinata poorvajanm ke karm ka phal hai. charitry is janm ke karm ka pratik hai. devata kisi ek jati ki sampatti nahian haian, ve sabake haian, aur sabaki pooja ke adhikari haian. par yadi svayan devata hi chahate hoan ki unaki pooja ka madhyam koee vishesh jati ya vyakti ho sakata hai to bharatiy samaj ko isamean bhi koee apatti nahian hai. brahman matangi devi ki pooja karega par matang ke jarie. kya hua jo ki matang chaandal hai. rahoo yadi prasann hone ke lie domoan ko hi dan dena apani shart rakhate haian to dom sahi haian. samast bharatiy samaj dom ko hi dan dekar grahan ke anarth se chandrama ki raksha karega. is prakar bharatiy sanskriti ne samast jatiyoan ko unaki sari visheshataoan samet svikar kar liya. par ab tak koee aisa 'mazahab' usake dvar par nahian aya tha. vah usako hajam kar sakane ki shakti nahian rakhata tha.

'mazahab' kya hai? mazahab ek sangathit dharm–mat hai. bahut–se log ek hi devata ko manate haian, ek hi achar ka palan karate haian, aur kisi nasl, kabile ya jati ke vishesh vyakti ko jab ek bar apane sanghatit samooh mean mila lete haian to usaki sari visheshataean door kar usi vishesh matavad ko svikar karate haian. yahaan dharm–sadhana vyaktigat nahian, samoohagat hoti hai. yahaan dharmik aur samajik vidhinishedh ek –doosare mean guanthe hote haian. bharatiy samaj nana jatiyoan ka sammishran tha. ek jati ka ek vyakti doosari jati mean badal nahian sakata, parantu mazahab thik isase ulta hai. vah vyakti ko samooh ka aang bana deta hai. bharatiy samaj ki jatiyaan kee vyaktiyoan ka samooh hai, parantu kisi mazahab ke vyakti brihat samooh ke aang haian. ek ka vyakti alag hasti rakhata hai par alag nahian ho sakata, doosare ka alag ho sakata hai, par alag satta nahian rakhata.

musalamani dharm ek 'mazahab' hai. bharatiy samaj sangathan se bilkul ulte taur par usaka sangathan hua tha. bharatiy samaj jatigat visheshata rakhakar vyaktigat dharm–sadhana ka pakshapati tha, islam jatigat visheshata ko lop karake samoohagat dharm–sadhana ka pracharak tha. ek ka kendr bindu charitry tha, doosare ka dharm–mat. bharatiy samaj mean yah svikrit tathy tha ki vishvas chahe jo bhi ho, charitry shuddh hai to vyakti shreshth ho jata hai. phir chahe vah kisi jati ka bhi kyoan n ho. musalamani samaj ka vishvar tha ki islam ne jo dharm–mat prachar kiya hai usako svikar kar lene vala hi anant svarg ka adhikari hai. jo is dharm–mat ko nahian manata vah anant narak mean jane ko badhy hai. bharatavarsh ko aise mat se ekadam pala nahian p da tha. usane kabhi yah vishvas hi nahian kiya ki usake achar aur mat ko n manane vali jati ka kuph to dana usaka param kartavy hai. kisi aur ka param kartavy yah bat ho sakati hai, yah bhi use nahian maloom tha. isilie jab navin dharm–mat ne sare sansar ke kuph ko mita dene ki pratijna ki aur sabhi pae jane vale sadhanoan ka upayog arambh kiya to bharatavarsh ise thik–thik samajh hi nahian saka. isilie kuchh dinoan tak usaki samanvayatmika buddhi kuanthit ho gee. vah vikshubdh sa ho utha. parantu vidhata ko yah kuantha aur vikshobh pasand nahian tha.

aisa jan p data hai pahali bar bharatiy manishiyoan ko ek sanghabaddh dharmachar ke palan ki zaroorat mahasoos huee. islam ke ane se pahale is vishal janasamooh ka koee ek nam tak nahian tha. ab isaka nam 'hindoo' p da. hindoo arthath bharatiy, arthat gair–islami mat. spasht hi gair–islami mat mean kee tarah ke mat the. kuchh brahmavadi the, kuchh karmakandi the, kuchh shaiv the, kuchh vaishnav the, kuchh shakt the, kuchh smartt the tatha aur bhi n jane kya–kya the. hazaroan yojanoan tak vistrit aur hazaroan varshoan mean parivyapt is janasamooh ke vicharoan aur parampara prapt matoan ka ek vishal jangal kh da tha. smriti, puran, lokachar aur kulachar ki vishal vanasthali mean se rasta nikal lena b da hi dushkar kary tha. smartt panditoan ne isi dushkar vyapar ko shirodhary kiya. sare desh mean shastriy vachanoan ki chhanabin hone lagi. uddeshy tha ki is prakar ka sarvasammat mat nikal liya ja sake, shraddh–vivah ki ek hi riti–niti prachalit ho sake, utsan–samaroh ka ek hi vidhan taiyar ho sake. bharatiy manisha ka shastroan ko adhar manakar apani sabase b di samasya ke samadhan ka yah sabase b da prayatn tha. hemadri se lekar kamalakar aur raghunandan tak bahutere panditoan ne bahut parishram ke bad jo kuchh nirnay kiya vah yadyapi sarvavadisammat nahian hua, parantu nissandeh stoopibhoot shastr vakyoan ki chhanabin se ek bahut kuchh milata–julata achar–pravan dharm–mat sthir kiya ja saka. nibandh granthoan ki yah ek bahut b di den hai. jis bat ko ajakal 'hindoo–solidairiti' kahate haian, usaka pratham bhitti–sthapan in nibandh granthoan ke dvara hi hua tha. par samasya ka samadhan isase nahian hua.

is prayatn ki sabase b di kamazori isaki achar–pravanata hi thi. jo naya dharm–mat bharatiy jan samaj ko sankshubdh kar raha tha vah is achar ko koee mahattv hi nahian deta tha. usaka sangathan bilkul ulte kinar se hua tha. usake mool mean hi sabako svikar karane ka siddhaant kam kar raha tha. samast shastriy vakyoan ko natashir se svikar karake hi yah asadhy sadhan kiya gaya tha. par jis pratidvandvi se kam p da tha vah bahut varjanagrahi tha, arthath vah nirdayatapoorv anyany matoan ko tahas–nahas karane ki diksha le chuka tha aur dharmik varjanashilata hi usaka mukhy astr tha. yadyapi vah samaj dharmik roop mean varjanashil tha, par samajik roop mean grahanashil tha. jabaki hindoo samaj dharmik sadhanoan ko svikar kar sakata tha. par kisi vyakti vishesh ko dharm–mat mean grahan karane ka pakshapati nahian tha. udhar musalamani samaj vyakti ko apane dharm–mat shamil kar lene ko param kartavy samajhata tha. parantu kisi vishesh dharm sadhana ko apane kisi vyakti ke lie ekadam varjaniy manata tha. nibandh granthoan ne hindoo ko aur bhi adhik hindoo bana diya, par musalamanoan ko atmasat karane ka koee rasta nahian bataya. thumb|kabiradas is prakar musalamanoan ke agaman ke sath hi sath hindoo dharm pradhanatah achar–pravan ho gaya. tirth, vrat, upavas aur homachar ki parampara hi usaka kendr bindu ho gee. is samay poorv aur uttar mean sabase prabal sampraday nathapanthi yogiyoan ka tha. hamane pahale hi dekha hai ki log shastriy smartt mat ko bhi nahian manate the aur prasthanatrayi (arthath 'upanishad', 'brahmasootr', aur 'gita') par adharit kisi darshanik matavad ke bhi qayal nahian the. par janata ka dhyan ye akrisht kar sake the. vividh siddhiyoan ke dvara ve kafi samman aur sanbhram ke patr ban ge the. ye gunatit shiv ya nirgun tattv ke upasak the. sadhanaoan ke dvara, jinhean kaya–sadhan kahate the, log param–tattv ko pane ke prayasi the. inamean jo siddh, sadhak aur avadhoot the ve gharabari anahian hote the par unake shishyoan mean bahut–se ashramabhrasht grihasth the, jo ki yogi jati ka roop dharan kar chuke the. hindoo dharm in ashramabhrasht grihasthoan ka samman to karata hi n tha, ulte unhean tiraskar ki drishti se hi dekhata tha. ye ashramabhrasht grihasth n to hindoo the - kyoanki vah hinduoan ke kisi mat ya achar ke qayal n the - aur n hi musalaman - kyoanki inhoanne islam dharm–mat ko svikar nahian kiya tha. kuchh kal ke islami sansarg ke bad ye log dhire–dhire musalamani dharm - mat ki or jhukane lage, par inake sanskar bahut dinoan tak bane rahe. jab ve isi prakriya mean se guzar rahe the usi samay kabir ka avirbhav hua tha.

samakalin dharmik andolan

yahaan do aur pradhan dharmik aandolanoan ki charcha kar leni chahie. pahali dhara pashchim se aee. yah soofi logoan ki sadhana thi. mazahabi musalaman hindoo dharm ke marmasthan par chot nahian kar pae the. ve keval usake bahari sharir ko vikshubdh kar sakate the. par soofi log bharatiy sadhana ke avirodhi the. unake udaratapoorn prem marg ne bharatiy janata ka chitt jitana arambh kar diya. phir bhi ye log achar pradhan bharatiy samaj ko akrisht nahian kar sake. usaka samajasy achar pradhan hindoo dharm ke sath nahian ho saka. yahaan par yah bat smaran rakhane ki hai ki n to soofi matavad aur n yogamargiy nirgun param–tattv ki sadhana hi us vipul vairagy ke bhar ko vahan kar saki. jo bauddh sangh ke anukaran par pratishthit tha. desh mean pahali bar varnashram–vyavastha ko ek ananubhootapoorv vikat paristhiti ka samana karana p d raha tha. ab tak varnashram–vyavastha ka koee pratidvandvi nahian tha. achar bhrasht vyakti samaj se alag kar die jate the aur ve ek nee jati ki rachana kar lete the. is prakar saik doan jatiyaan aur upajatiyaan srisht hote rahane par bhi varnashram–vyavastha ek prakar se chalati hi ja rahi thi. ab samane ek zabardast pratidvandvi samaj tha jo ki pratyek vyakti aur pratyek jati ko aangikar karane ko baddhaparikar tha. usaki ekamatr shart yah thi ki vah usake vishesh prakar ke dharm–mat ko svikar kar le. samaj se dand panevala bahishkrit vyakti ab asahay nahian tha. ichchha karate hi vah ek susangathit samaj ka sahara pa sakata tha. aise samay mean dakshin se vedaant bhavit bhakti ka agaman hua, jo ki vishal bharatiy mahadvip k is chhor se us chhor tak phail gaya. da. griyarsan ne kaha tha-

"bijali ke chamak ke saman achanak is samast (dharmik matoan ke) aandhakar ke oopar ek nee bat dikhaee di. yah bhakti ka aandolan hai."

isane do roopoan mean atm–prakash kiya. pauranik avataroan ko kendr karake sagun upasana ke roop mean aur nirgun parabrahm jo yogiyoan ka dhyey tha, use kendr karake prem–bhakti ki sadhana ke roop mean. pahali sadhana ne hindoo jati ki bahyachar ki shushkata ko aantarik prem se sianchakar rasamay banaya aur doosari sadhana ne bahyachar ki shushkata ko hi door karane ka prayatn kiya. ek ne samajhaute ka rasta liya, doosari ne vidroh ka; ek ne shastr ka sahara liya, doosari ne anubhav ka; ek ne shrriddha ko path–pradarshak mana, doosari ne jnan ko; ek ne sagun bhagavan ko apanaya, doosari ne nirgun bhagavan ko. par prem donoan hi ka marg tha; sookha jnan donoan ko apriy tha; keval bahyachar donoan ko sammat nahian the; aantarik prem nivedan donoan ko abhisht tha; ahaituk bhakti donoan ki kamy thi; bina shart ke bhagavan ke prati atm–samarpan donoan ke priy sadhan the. in batoan mean donoan hi ek the. sabase b da aantar inake lila sambandhi vicharoan mean tha. donoan hi bhagavan ki prem lila mean vishvas karate the. donoan ka hi anubhav tha ki lila ke lie is jagatik prapanch ko samhale hue haian. par pradhan bhay yah tha ki sagun bhav se bhajan karane vale bhakt apane ap mean rame hue bhagavan ko hi param kamy manate the.

jivan parichay

kabiradas ke janm ke sanbandh mean anek kianvadantiyaan haian. kuchh logoan ke anusar ve guru ramanand svami ke ashirvad se kashi ki ek vidhava brahmani ke garbh se utpann hue the. brahmani us navajat shishu ko laharatara tal ke pas pheank ayi. use niru nam ka julaha apane ghar le aya. unaki mata ka nam 'nima' tha. usi ne usaka palan-poshan kiya. bad mean yahi balak kabir kahalaya. ek jagah kabiradas ne kaha hai :-

jati julaha nam kabira
bani bani phiro udasi.

kabir panthiyoan ki manyata hai ki kabir ka janm kashi mean laharatara talab mean utpann kamal ke manohar pushp ke oopar balak ke roop mean hua. kuchh logoan ka kahana hai ki ve janm se musalaman the aur yuvavastha mean svami ramanand ke prabhav se unhean hindoo dharm ki batean maloom hueean. ek din, ek pahar rat rahate hi kabir panchaganga ghat ki sidhiyoan par gir p de. ramanand ji ganga snan karane ke liye sidhiyaan utar rahe the ki tabhi unaka pair kabir ke sharir par p d gaya. unake mukh se tatkal `ram-ram' shabd nikal p da. usi ram ko kabir ne diksha-mantr man liya aur ramanand ji ko apana guru svikar kar liya. kabir ke hi shabdoan mean-

ham kasi mean prakat bhaye haian,
ramanand chetaye.

mahatma kabir ke janm ke vishay mean bhinn- bhinn mat haian. kabiradas ne svayan ko kashi ka julaha kaha hai. kabirapanth ke anusar unaka nivasasthan kashi tha. bad mean kabiradas kashi chho dakar magahar chale ge the. aisa unhoanne svayan kaha haian :-

sakal janam shivapuri ganvaya.
marati bar magahar uthi aya..
aisa kaha jata hai ki kabiradas ka sampoorn jivan kashi mean hi bita, kintu vah ant samay magahar chale ge the.
ab kahu ram kavan gati mori.
tajile banaras mati bhee mori..
kabir ka vivah kanya "loee' ke sath hua tha. janashruti ke anusar unhean ek putr kamal tatha putri kamali thi. kabir padhe-likhe nahian the-
masi kagad chhoovo nahian, qalam gahi nahian hath.
kabir ka putr kamal unake mat ka virodhi tha.
boo da bans kabir ka, upaja poot kamal.
hari ka simaran chhodi ke, ghar le aya mal.

kabir dharmaguru

kabir dharmaguru the. isalie unaki vaniyoan ka adhyatmik ras hi asvady hona chahie, parantu vidvanoan ne nana roop mean un vaniyoan ka adhyayan aur upayog kiya hai. kavy–roop mean use asvadan karane ki to pratha hi chal p di hai. samaj–sudharak ke roop mean, sarv–dharmasamanvayakari ke roop mean, hindoo–muslim–aiky–vidhayak ke roop mean bhi unaki charcha kam nahian huee hai. yoan to 'hari anant harikatha ananta, vividh bhaanti gavahian shruti–santa' ke anusar kabir kathit hari ki katha ka vividh roop mean upayog hona svabhavik hi hai, par kabhi–kabhi utsahaparayan vidvan galati se kabir ko inhian roopoan mean se kisi ek ka pratinidhi samajhakar aisi–aisi batean karane lagate haian jo ki asangat kahi ja sakati haian.

rachanayean

yah aisa sansar hai, jaisa seanbal phool .
din das ke vyauhar ko, jhoothe rang n bhooli ॥ - kabir (kabir grathavali, pri. 21)

kajal keri kothari, kajal hi ka kot .
balihari ta das ki, je rahai ram ki ot ॥ - kabir (kabir grathavali, pri. 50)

ham dekhat jag jat haian, jab dekhat ham jaanh .
aisa koee na milai, pak di chhu davai baanh ॥ - kabir (kabir grathavali, pri. 67)

kabiradas ne hindoo-musalaman ka bhed mita kar hindoo-bhaktoan tatha musalaman fakiroan ka satsang kiya aur donoan ki achchhi batoan ko hridayaangam kar liya. sant kabir ne svayan granth nahian likhe, muanh se bole aur unake shishyoan ne use likh liya. kabiradas anapadh the. kabiradas ke samast vicharoan mean ram-nam ki mahima pratidhvanit hoti hai. ve ek hi eeshvar ko manate the aur karmakand ke ghor virodhi the. avatar, moortti, roza, eed, masjid, mandir adi ko ve nahian manate the. kabir ke nam se mile granthoan ki sankhya bhinn-bhinn lekhoan ke anusar bhinn-bhinn hai. kabir ki vani ka sangrah `bijak' ke nam se prasiddh hai. isake tin bhag haian-

  1. ramaini
  2. sabad
  3. sakhi

bhasha

bijak panjabi, rajasthani, kh di boli, avadhi, poorabi, brajabhasha adi kee bhashaoan ki khich di hai. kabiradas ne bolachal ki bhasha ka hi prayog kiya hai. bhasha par kabir ka jabaradast adhikar tha. ve vani ke diktetar the. jis bat ko unhoanne jis roop mean prakat karana chaha hai, use usi roop mean kahalava liya–ban gaya hai to sidhe–sidhe, nahian darera dekar. bhasha kuchh kabir ke samane lachar–si nazar ati hai. usamean manoan aisi himmat hi nahian hai ki is laparava phakk d ki kisi faramaish ko nahian kar sake. aur akah kahani ko roop dekar manograhi bana dene ki to jaisi takat kabir ki bhasha mean hai vaisi bahut hi kam lekhakoan mean paee jati hai. asim–anant brahmanand mean atma ka sakshibhoot hokar milana kuchh vani ke agochar, pak d mean n a sakane vali hi bat hai. par 'behaddi maidan mean raha kabira' mean n keval us gambhir nigoodh tattv ko moortiman kar diya gaya hai, balki apani fakk dana prakriti ki muhar bhi mar di gee hai. vani ke aise badashah ko sahity–rasik kavyanand ka asvadan karane vala samajhean to unhean dosh nahian diya ja sakata. phir vyagy karane mean aur chutaki lene mean bhi kabir apana pratidvandvi nahian janate. pandit aur kazi, avadhu aur jogiya, mulla aur maulavi–sabhi unake vyagy se tilamila jate the. atyant sidhi bhasha mean ve aisi chot karate haian ki khanevala keval dhool jha d ke chal dene ke siva aur koee rasta nahian pata. is prakar yadyapi kabir ne kahian kavy likhane ki pratijna nahian ki tathapi unaki adhyatmik ras ki gagari se chhalake hue ras se kavy ki katori mean bhi kam ras ikattha nahian hua hai. hindi sahity ke hazar varshoan ke itihas mean kabir jaisa vyaktitv lekar koee lekhak utpann nahian hua. mahima mean yah vyaktitv keval ek hi pratidvandvi janata hai, tulasidas. parantu tulasidas aur kabir ke vyaktitv mean b da antar tha. yadyapi donoan hi bhakt the, parantu donoan svabhav, sanskar aur drishtikon mean ekadam bhinn the. masti, fakk dana svabhav aur sabakuchh ko jha d–phatakar kar chal dene vale tez ne kabir ko hindi–sahity ka advitiy vyakti bana diya hai. unaki vaniyoan mean sabakuchh ko chhakar unaka sarvajayi vyaktitv virajata rahata hai. usi ne kabir ki vaniyoan mean anany–asadharan jivan ras bhar diya hai. kabir ki vani ka anukaran nahian ho sakata. anukaran karane ki sabhi cheshtaean vyarth siddh huee haian. isi vyaktitv ke karan kabir ki uktiyaan shrota ko balapoorvak akrisht karati haian. isi vyaktitv ke akarshan ko sahriday samalochak sambhal nahian pata aur rijhakar kabir ko 'kavi' kahane mean santosh pata hai. aise akarshak vakta ko 'kavi' n kaha jae to aur kya kaha jae? parantu yah bhool nahian jana chahie ki yah kaviroop ghalue mean mili huee vastu hai. kabir ne kavita likhane ki pratijna karake apani batean nahian kahi thian. unaki chhandoyojana, uchit–vaichitry aur alankar vidhan poorn–roop se svabhavik aur ayatnasadhit haian. kavyagat roodhiyoan ke n to ve janakar the aur n hi qayal. apane anany–sadharan vyaktitv ke karan hi ve sahriday ko akrisht karate haian. unamean ek aur b da bhari gun hai, jo unhean anyany santoan se vishesh bana deta hai. yadyapi kabiradas ek aise virat aur anandamay lok ki bat karate haian jo sadharan manushyoan ki pahanch ke bahut oopar hai aur ve apane ko us desh ka nivasi batate haian jahaan par barah mahine basant rahata hai, nirantar amrit ki jh di lagi rahati hai. phir bhi jaisa ki evelin aandarahil ne kaha hai, ve us atmavismritikari param ullasamay sakshatkar ke samay bhi dainadin–vyavahar ki duniya ke sath dharati par jame rahate haian; unake mahila–samanvit aur avegamay vichar, barabar dhir aur sajiv buddh tatha sahaj bhav dvara niyantrit hote rahate haian, jo sachche marami kaviyoan mean hi milate haian. unaki sarvadhik lakshy hone vali visheshataean haian—

  • sadagi aur sahajabhav par nirantar zor dete rahana,
  • bahy dharmacharoan ki nirmam alochana, aur
  • sab prakar ke viragabhav aur hetu prakritigat anusandhitsa ke dvara sahaj hi galat dikhane vali batoan ko durbodhy aur mahan bana dene ki cheshta ke prati vair–bhav. isilie ve sadharan manushy ke lie durbodhy nahian ho jate aur apane asadharan bhavoan ko grahy banane mean sada saphal dikhaee dete haian. kabiradas ke is gun ne saik doan varsh se unhean sadharan janata ka neta aur sathi bana diya hai. ve keval shraddha aur bhakti ke patr hi nahian, prem aur vishvas ke aspad bhi ban ge haian. sach poochha jae to janata kabiradas par shraddha karane ki apeksha prem adhik karati hai. isilie unake sant–roop ke sath hi unaka kavi–roop bhi barabar chalata rahata hai. ve keval neta aur guru hi nahian haian, sathi aur mitr bhi haian.

kabir ne jin tattvoan ko apani rachana se dhvanit karana chaha hai, usake lie kabir ki bhasha se zyada saf aur zoradar bhasha ki sambhavana bhi nahian hai aur zaroorat bhi nahian hai. parantu kalakram se vah bhasha aj ke shikshit vyakti ko durooh jan p dati hai. kabir ne shastriy bhasha ka adhyayan nahian kiya tha, par phir bhi unaki bhasha mean parampara se chali aee visheshataean vartaman haian. isaka aitihasik karan hai. is aitihasik karan ko jane bina us bhasha ko thik–thik samajhana sambhav nahian hai. is pustak mean usi aitihasik parampara ke adhyayan ka prayas hai. yah prayas poorn roop se saphal hi hua hoga, aisa ham koee dava nahian karate, parantu vah grahaniy nahian hai, is bat mean lekhak ko koee sandeh nahian hai.

jivan darshan

[[chitr:26-maghar.jpg|thumb|200px|kabiradas ki majar aur samadhi, magahar, uttar pradesh]] kabir paramatma ko mitr, mata, pita aur pati ke roop mean dekhate haian. ve kahate haian- harimor piu, maian ram ki bahuriya . to kabhi kahate haian- hari janani maian balak tora. us samay hiandu janata par muslim atank ka kahar chhaya hua tha. kabir ne apane panth ko is dhang se suniyojit kiya jisase muslim mat ki or jhuki huee janata sahaj hi inaki anuyayi ho gayi. unhoanne apani bhasha saral aur subodh rakhi taki vah am adami tak pahuanch sake. isase donoan sampradayoan ke paraspar milan mean suvidha huee. inake panth musalaman-sanskriti aur gobhakshan ke virodhi the. kabir ko shaantimay jivan priy tha aur ve ahiansa, saty, sadachar adi gunoan ke prashansak the. apani saralata, sadhu svabhav tatha sant pravritti ke karan aj videshoan mean bhi unaka adar hota hai.

samaj–sudharak

kabir ne aisi bahut si batean kahi haian, jinase (agar upayog kiya jae to) samaj–sudhar mean sahayata mil sakati hai, par isalie unako samaj–sudharak samajhana galati hai. vastutah ve vyaktigat sadhana ke pracharak the. samashti–vritti unake chitt ka svabhavik dharm nahian tha. ve vyashtivadi the. sarv–dharm samansay ke lie jis majaboot adhar ki zaroorat hoti hai vah vastu kabir ke padoan mean sarvatr paee jati hai, vah bat hai bhagavan ke prati ahaituk prem aur manushyamatr ko usake nirvishisht roop mean saman samajhana. parantu ajakal sarv–dharm samanvay se jis prakar ka bhav liya jata hai, vah kabir mean ekadam nahian tha. sabhi dharmoan ke bahy acharoan aur antar sanskaroan mean kuchh n kuchh vishesh dekhana aur sab acharoan, sanskaroan ke prati samman ki drishti utpann karana hi yah bhav hai. kabir inake kathor virodhi the. unhean arthahin achar pasand nahian the, chahe ve b de se b de achary ya paigambar ke hi pravarttit hoan ya uchch se uchch samajhi jane vali dharm pustak se upadisht hoan. bahyachar ki nirarthak aur sanskaroan ki vicharahin gulami kabir ko pasand nahian thi. ve inase mukt manushyata ko hi premabhakti ka patr manate the. dharmagat visheshataoan ke prati sahanashilata aur sanbhram ka bhav bhi unake padoan mean nahian milata. parantu ve manushyamatr ko saman maryada ka adhikari manate the. jatigat, kulagat, acharagat shreshthata ka unaki drishti mean koee mooly nahian tha. sampraday–pratishtha ke bhi ve virodhi jan p date haian. parantu phir bhi virodhabhas yah hai ki unhean hazaroan ki sankhya mean log sampraday vishesh ke pravarttak manane mean hi gaurav anubhav karate haian.

hindoo–muslim ekata

jo log hindoo–muslim ekata ke vrat mean dikshit haian, ve bhi kabiradas ko apana margadarshak manate haian. yah uchit bhi hai. ram–rahim aur keshav–karim ki jo ekata svayan siddh hai, use bhi sampraday buddhi se vikrit mastishk vale log nahian samajh pate. kabiradas se adhik zoradar shabdoan mean ekata ka pratipadan kisi ne bhi nahian kiya hai. par jo log utsahadhikyavash kabir ko keval hindoo–muslim ekata ka paigambar man lete haian ve unake mool svaroop ko bhoolakar usake ek deshamatr ki bat karane lagate haian. aise log yadi yah dekhakar kshubdh hoan ki kabiradas ne donoan dharmoan ki ooanchi sanskriti ya 'donoan dharmoan ke uchchatar bhavoan mean samanjasy sthapit karane ki kahian par koshish nahian ki aur sirf yahi nahian, balki un sabhi dharmagat visheshataoan ki khilli hi u daee hai jise mazahabi neta bahut shreshth dharmachar kahakar vyakhya karate haian, ' to kuchh ashchary ki bat nahian hai, kyoanki kabiradas is bindu se dharmik dvandvoan ko dekhate hi n the. unhoanne rog ka thik nidan kiya ya nahian, isamean do mat ho sakate haian, par aushadh nirvachan mean aur apathy varjan ke nirdesh mean unhoanne bilkul galati nahian ki. yah aushadh hai bhagavadvishvas. donoan dharm saman roop se bhagavan mean vishvas karate haian aur yadi sachamuch hi adami dharmik hai to is amogh aushadh ka prabhav us par p dega hi. apathy hai bahy acharoan ko dharm samajhana, vyarth kulabhiman, akaran ooanch–nich ka bhav. kabiradas ki in donoan vyavasthaoan mean galati nahian hai aur agar kisi din hinduoan aur musalamanoan mean ekata huee to isi raste ho sakati hai. isamean keval bahyacharavarjan ki nakaratmak prakriya nahian hai, bhagavadvishvas ka avishleshy simeant bhi kary karega. isi arth mean kabiradas hindoo aur musalamanoan ke aiky–vidhayak the. parantu jaisa ki arambh mean hi kaha gaya hai, kabiradas ko keval inhian roopoan mean dekhana sahi nahian hai. ve moolatah bhakt the. bhagavan par unaka avichal akhand vishvas tha. ve kabhi sudhar karane ke pher mean nahian p de. shayad ve anubhav kar chuke the ki jo svayan sudharana hi nahian chahata, use jabaradasti sudharane ka vrat vyarth ka prayas hi hai. ve apane upadesh sadhu bhaee ko dete the ya phir svayan apane apako hi sambodhit karake kah dete the. yadi unaki bat koee sunane vala n mile to ve nishchit hokar svayan ko hi pukar kar kah uthateah 'apani rah too chale kabira !' apani rah arthath dharm, sampraday, jati, kul aur shastr ki roodhiyoan se jo baddh nahian hai, jo apane anubhav ke dvara pratyakshikrit hai.

kabiradas ka bhakt roop

kabiradas ka yah bhakt roop hi unaka vastavik roop hai. isi kendr ke ird–gird unake any roop svayamev prakashit ho uthe haian. mushkil yah hai ki is kendriy vastu ka prakash bhasha ki pahuanch se bahar hai. bhakti kahakar nahian samajhaee ja sakati, vah anubhav karake asvadan ki ja sakati hai. kabiradase ne is bat ko hazar tariqe se kaha hai. is bhakti ya bhagavan ke prati ahaituk anurag ki bat kahate samay unhean aisi bahut si batean kahani p dian haian jo bhakti nahian haian. par bhakti ke anubhav karane mean sahayak haian. mool vastu chooanki vani ke agochar hai, isalie keval vani ka adhyayan karane vale vidyarthi ko agar bhram mean p d jana p da ho to ashchary ki koee bat nahian hai. vani dvara unhoanne us nigoodh anubhavaikagamy tattv ki aur ishara kiya hai, use dhvanit kiya gaya hai. aisa karane ke lie unhean bhasha ke dvara roop kh da karana p da hai aur aroop ko roop ke dvara abhivyakt karane ki sadhana karani p di hai. kavyashastr ke achary ise hi kavi ki sabase b di shakti batate haian. roop ke dvara aroop ki vyajanna, kathan ke jarie akathy ka dhvanan, kavy–shakti ka charam nirdeshan nahian to kya hai? phir bhi dhvanit vastu hi pradhan hai; dhvanit karane ki shaili aur samagri nahian. is prakar kavyatv unake padoan mean phokat ka mal hai—baiprodakt hai; vah kolatar aur sire ki bhaanti aur chijoan ko banate–banate apane–ap ban gaya hai.

roopatit vyanjana aur khandan mandan

thumb|250px|kabiradas prem bhakti ko kabiradas ki vaniyoan ki kendriy vastu n manane ka hi yah parinam hua hai ki achchhe–achchhe vidvan unhean ghamandi, atapati vani ka bolanahara, ekeshvaravad aur advaitavad ke barik bhed ko n janane vala, ahankari, agun–sagun–vivek–anabhijn adi kahakar apane ko unase adhik yogy manakar santosh pate rahe haian. yah mani huee bat hai ki jo bat lok mean ahankar kahalati hai vah bhagavatprem ke kshetr mean, svadhinabhartrika nayika ke garv ki bhaanti apane aur priy ke prati akhand vishvas ki parichayak hai; jo bat lok mean dabboopan aur qayarata kahalati hai, vahi bhagavatprem ke kshetr mean bhagavan ke prati bhakt ka anany parayan amtarpan hoti hai aur jo batean lok mean paraspar viruddh janchati haian bhagavan ke vishay mean unaka virodh door ho jata hai. lok mean aise jiv ki kalpana nahian ki ja sakati jo karnahin hokar bhi sab kuchh sunata ho, chakshurahit bana rahakar bhi sab kuchh dekh sakata ho, vanihin hokar bhi vakta ho sakata ho, jo chhote-se-chhota bhi ho aur b de-se-b da bhi, jo ek bhi ho aur anek bhi, jo bahar bhi ho bhitar bhi, jise sabaka malik bhi kaha ja sake aur sabaka sevak bhi, jise sabake oopar bhi kaha ja sake aur sarvamay sevak bhi; jisamean samast gunoan ka arop bhi kiya ja sake aur gunahinata ka bhi, aur phir bhi jo n indriy ka vishay ho, n man ka, n buddhi ka. parantu bhagavan ke lie sab visheshan sab deshoan ke sadhak sarv–bhav se dete rahe haian. jo bhakt nahian haian, jo anubhav ke dvara sakshatkar kie hue saty mean vishvas nahian rakhate, ve keval tark mean ulajhakar rah jate haian; par jo bhakt haian, ve bhuja uthakar ghoshana karate haian, 'agunahian–sagunahian nahian kachhu bheda' (tulasidas). parantu tark parayan vyakti is kathan ke atapatepan ko vadato–vyaghat kahakar santosh kar leta hai. yadi bhakti ko kabiradas ki vaniyoan ki kendriy vastu man liya jata to nissandeh svikar kar liya jata ki bhakt ke lie ve sari batean bematalab haian,jinhean ki vidvan log barik bhed kahakar anand paya karate haian. bhagavan ke anivarchaniy svaroop ko bhakt ne jaisa kuchh dekha hai vah vani ke prakashan kshetr ke bahar haian, isilie vani nana prakar se paraspar virodhi aur avirodhi shabdoan ke dvara us param premamay ka roop nirdesh karane ki cheshta karati hai. bhakt usaki asamarthata par nahian jata, vah usaki roopatit vyanjana ko hi dekhata hai.

bhakti tattv ki vyakhya karate–karate unhean un bahyachar ke janjaloan ko saf karane ki zaroorat mahasoos huee hai jo apani j d prakriti ke karan vishuddh chetan–tattv ki upalabdhi mean badhak hai ! yah bat hi samaj sudhar aur sampraday aiky ki vidhatri ban gee hai. par yahaan bhi yah kah rakhana thik hai ki vah bhi phokat ka mal ya baeeprodakt hi hai.

kabiradas ki mahima

jo log in batoan se hi kabiradas ki mahima ka vichar karate haian ve keval satah par hi chakkar katate haian. kabiradas ek jabaradast krantikari purush the. unake kathan ki jyoti jo itane kshetroan ko udabhasit kar saki hai so mamooli shaktimatta ki parichayika nahian hai. parantu yah samajhana ki udabhasit padarth hi jyoti hai, b di bhari galati hai. udabhasit padarth jyoti ki or ishara karate haian aur jyoti kidhar aur kahaan par hai, is bat ka nirdesh dete haian. oopar–oopar, satah par chakkar katane vale samudr bhale hi par kar jaean, par usaki gaharaee ki thah nahian pa sakate. in panktiyoan ka lekhak apane ko satah ka chakkar katane valoan se vishesh nahian samajhata. usaka dridh vishvas hai ki kabiradas ke padoan mean jo mahan prakashapuanj hai, vah bauddhik alochana ka vishay nahian hai. vah sangrahalay ki chiz nahian hai, balki jivit pranavan vastu hai. kabir par pustakean bahut likhi gee haian, aur bhi likhi jaeangi, par aise log kam hi haian jo us sadhana ki gaharaee tak jane ki cheshta karate hoan. ram ki vanari sena samudr zaroor laangh gee thi, par usaki gaharaee ka pata to mandar parvat ko hi tha, jisaka virat sharir apatal–nimagn ho gaya thaah

abdhirlaghit ev vanarabhataiah kintvasy ganbhiratamh
apatal – nimagn – pivaratanurjanati mandrachalah.

so, kabiradas ki sachchi mahima to koee gahare mean gota lagane vala hi samajh sakata hai.

kabiradas ne svayan aroop ko roop dene ki cheshta ki thi. parantu vah svayan kah ge haian ki ye sare prayas tabhi tak the, jab tak ki param prem ke adhar priyatam ka milan nahian hua tha. sakhi, pad, shabd aur dohare usi prapti ke sadhan haian, marg haian. gantavy tak pahuanch jane par marg ka hisab karana bekar hota hai. phir in sakhi, shabd aur doharoan ki vyakhya ke prayas ko kya kaha jae? ye to sadhan ko samajhane ke sadhan—sadhan ke bhi sadhan haian.

kabiradas ki bhasha aur shaili

prasang kram se isamean kabiradas ki bhasha aur shaili samajhane ke kary se kabhi–kabhi age badhane ka sahas kiya gaya hai. jo vani ke agochar haian, use vani ke dvara abhivyakt karane ki cheshta ki gee hai; jo man aur buddhi ki pahuanch se pare haian; use buddhi ke bal par samajhane ki koshish ki gee hai; jo desh aur kal ki sima ke pare haian, use do–char–das prishthoan mean baandh dalane ki sahasikata dikhaee gee hai. kahate haian, samast puran aur mahabharatiy sanhita likhane ke bad vyasadev mean atyant anutap ke sath kaha tha ki 'he adhil vishv ke gurudev, apaka koee roop nahian hai, phir bhi maianne dhyan ke dvara in granthoan mean roop ki kalpana ki hai; ap anirvachaniy haian, vyakhya karake apake svaroop ko samajha sakana sambhav nahian hai, phir bhi maianne stuti ke dvara vyakhya karane ki koshish ki hai. vani ke dvara prakash karane ka prayas kiya hai. tum samast–bhuvan–vyapt ho, is brahmaannd ke pratyek anu–paramanu mean tum bhine hue ho, tathapi tirth–yatradi vidhan se us vyapitv ko khandit kiya hai. bhala jo sarvatr parivyapt hai, usake lie tirth vishesh mean jane ki kya vyavastha? so he jagadish, meri buddhigat vikalata ke ye tin aparadh–aroop ki roopakalpana, anirvachaniy ka stutinirvachan, vyapi ka sthan–vishesh mean nirdesh—tum kshama karo.' kya vyas ji ke mahan adarsh ka padanusaran karake is lekhak ko bhi yahi kahane ki zaroorat hai?—

roopan roopavivarjitasy bhavato dhyanen yatkalpitamh,
stutya nirvachaniyataakhilagurodoori kritayanmaya.
vyapitvan ch nirakritan bhagavato yattirthayatradina,
kshantavyan jagadashi, tadh vikalata–doshatrayan matkritamh..

vriddhavastha mean yash aur kirtti ne unhean bahut kasht diya. usi halat mean unhoanne banaras chho da aur atmanirikshan tatha atmaparikshan karane ke liye desh ke vibhinn bhagoan ki yatraean kian. isi kram mean ve kalianjar zile ke pithaurabad shahar mean pahuanche. vahaan ramkrishna ka chhota sa mandir tha. vahaan ke sant bhagavan gosvami jijnasu sadhak the kiantu unake tarkoan ka abhi tak poori tarah samadhan nahian hua tha. sant kabir se unaka vichar-vinimay hua. kabir ki ek sakhi ne un ke man par gahara asar kiya-

ban te bhaga bihare p da, karaha apani ban.
karaha bedan kasoan kahe, ko karaha ko jan..
moortti pooja ko lakshy karate hue kabiradas ne kaha hai-
pahan pooje hari milaian, to maian poojauan pahar.
ya te to chaki bhali, jase pisi khay sansar..
119 varsh ki avastha mean unhoanne magahar mean deh tyag kiya.

tika tippani aur sandarbh

  1. kirat hoonaandhr–pulianda–pukkasaah abhir–shuanga yavanaah khasadayah yeanye ch papastadapashrayashrayah–shudhyatian tasmai prabhavishnave namah. – 'bhagavat', 24-18
  • anil chaudhari dvara nirdeshit dooradarshan par bana dharavahik "kabir" ek utkrisht rachana hai.
  • hazari prasad dvivedi ki rachana "kabir" sant kabir par sabase utkrisht rachana hai.

sanbandhit lekh