Difference between revisions of "होली"

भारत डिस्कवरी प्रस्तुति
Jump to navigation Jump to search
[unchecked revision][unchecked revision]
m ("होली" सुरक्षित कर दिया ([edit=sysop] (बेमियादी) [move=sysop] (बेमियादी)))
Line 22: Line 22:
 
[[चित्र:Holi-Mathura-4.JPG|thumb|220px]]
 
[[चित्र:Holi-Mathura-4.JPG|thumb|220px]]
 
[[भविष्यपुराण]] में वर्णित है कि सत्ययुग में राजा [[रघु]] के राज्य में माली नामक दैत्य की पुत्री ढोंढा या धुंधी थी। उसने शिव की उग्र तपस्या की। [[शिव]] ने वर माँगने को कहा। उसने वर माँगा- प्रभो! देवता, दैत्य मनुष्य आदि मुझे मार न सकें तथा अस्त्र-शस्त्र आदि से भी मेरा वध न हो। साथ ही दिन में, रात्रि, में शीतकाल में, उष्णकाल तथा वर्षाकाल में, भीतर-बाहर कहीं भी मुझे किसी से भय नहीं हो।' शिव ने तथास्तु कहा तथा यह भी चेतावनी दी कि तुम्हें उन्मत्त बालकों से भय होगा। वही ढोंढा नामक राक्षसी बालकों व प्रजा को पीड़ित करने लगी। 'अडाडा'  मंत्र का उच्चारण करने पर वह शांत हो जाती थी। इसी से उसे अडाडा भी कहते हैं। इस प्रकार भगवान शिव के अभिशाप वश वह ग्रामीण बालकों की शरारत, गालियों व चिल्लाने के आगे विवश थी। ऐसा विश्वास किया जाता है कि होली के दिन ही सभी बालकों ने अपनी एकता के बल पर आगे बढ़कर धुंधी को गाँव से बाहर धकेला था। वे जोर-जोर से चिल्लाते हुए तथा चालाकी से उसकी ओर बढ़ते ही गये। यही कारण है कि इस दिन नवयुवक कुछ अशिष्ट भाषा में हँसी मजाक कर लेते हैं, परंतु कोई उनकी बात का बुरा नही मानता।  
 
[[भविष्यपुराण]] में वर्णित है कि सत्ययुग में राजा [[रघु]] के राज्य में माली नामक दैत्य की पुत्री ढोंढा या धुंधी थी। उसने शिव की उग्र तपस्या की। [[शिव]] ने वर माँगने को कहा। उसने वर माँगा- प्रभो! देवता, दैत्य मनुष्य आदि मुझे मार न सकें तथा अस्त्र-शस्त्र आदि से भी मेरा वध न हो। साथ ही दिन में, रात्रि, में शीतकाल में, उष्णकाल तथा वर्षाकाल में, भीतर-बाहर कहीं भी मुझे किसी से भय नहीं हो।' शिव ने तथास्तु कहा तथा यह भी चेतावनी दी कि तुम्हें उन्मत्त बालकों से भय होगा। वही ढोंढा नामक राक्षसी बालकों व प्रजा को पीड़ित करने लगी। 'अडाडा'  मंत्र का उच्चारण करने पर वह शांत हो जाती थी। इसी से उसे अडाडा भी कहते हैं। इस प्रकार भगवान शिव के अभिशाप वश वह ग्रामीण बालकों की शरारत, गालियों व चिल्लाने के आगे विवश थी। ऐसा विश्वास किया जाता है कि होली के दिन ही सभी बालकों ने अपनी एकता के बल पर आगे बढ़कर धुंधी को गाँव से बाहर धकेला था। वे जोर-जोर से चिल्लाते हुए तथा चालाकी से उसकी ओर बढ़ते ही गये। यही कारण है कि इस दिन नवयुवक कुछ अशिष्ट भाषा में हँसी मजाक कर लेते हैं, परंतु कोई उनकी बात का बुरा नही मानता।  
==होलिका का अग्निपर्व==  
+
==होलिका दहन==  
पूर्ण चंद्रमा (फाल्गुनपूर्णिमा) के दिन ही प्रारंभ होता है। इस दिन सायंकाल को होली जलाई जाती है। इसके एक माह पूर्व अर्थात् माघ पूर्णिमा को 'एरंड' या गूलर वृक्ष की टहनी को गाँव के बाहर किसी स्थान पर गाड़ दिया जाता है, और उस पर लकड़ियाँ, सूखे उपले, खर-पतवार आदि चारों से एकत्र किया जाता है और फाल्गुन पूर्णिमा की रात या सायंकाल इसे जलाया जाता है। परंपरा के अनुसार सभी लोग अलाव के चारों ओर एकत्रित होते हैं। इसी अलाव को होली कहा जाता है। होली की अग्नि में सूखी पत्तियाँ, टहनियाँ, व सूखी लकड़ियाँ डाली जाती हैं, तथा लोग इसी अग्नि के चारों ओर नृत्य व [[संगीत]] का आनन्द लेते हैं। बसंतागमन के लोकप्रिय गीत भक्त प्रहलाद की रक्षा की स्मृति में गाये जाते हैं तथा उसकी क्रूर बुआ होलिका की भी याद दिलाते हैं। कई समुदायों में होली में जौ की बालियाँ भूनकर खाने की परंपरा है। ऐसा विश्वास किया जाता है कि आगामी फ़सल कैसी होगी, इसका अनुमान होली की शिखाएँ किस ओर उड़ रही हैं तथा भुने हुए जौ के दानों के [[रंग]] व स्वाद से लगाया जा सकता है। होली के अलाव की राख में कुछ औषधि गुण भी पाए जाते हैं, ऐसी लोगों की धारणा है। लोग होली के अलाव अंगारों को घर ले जाते हैं तथा उसी से घर में महिलाएँ होली पर बनाई हुई गोबर की घुरघुली जलाती हैं। कुछ क्षेत्रों में लोग होली की आग को सालभर सुरक्षित रखते हैं और इससे चूल्हे जलाते हैं।
+
{{Main|होलिका दहन}}
==होलिकोत्सव==
+
पूर्ण चंद्रमा (फाल्गुनपूर्णिमा) के दिन ही प्रारंभ होता है। इस दिन सायंकाल को होली जलाई जाती है। इसके एक माह पूर्व अर्थात् माघ पूर्णिमा को 'एरंड' या गूलर वृक्ष की टहनी को गाँव के बाहर किसी स्थान पर गाड़ दिया जाता है, और उस पर लकड़ियाँ, सूखे उपले, खर-पतवार आदि चारों से एकत्र किया जाता है और फाल्गुन पूर्णिमा की रात या सायंकाल इसे जलाया जाता है। परंपरा के अनुसार सभी लोग अलाव के चारों ओर एकत्रित होते हैं। इसी अलाव को होली कहा जाता है। होली की अग्नि में सूखी पत्तियाँ, टहनियाँ, व सूखी लकड़ियाँ डाली जाती हैं, तथा लोग इसी अग्नि के चारों ओर नृत्य व [[संगीत]] का आनन्द लेते हैं।  
[[चित्र:Holi Phalen Mathura.jpg|250px|right|thumb|फालैन गांव में तेज़ जलती हुई होली में से नंगे बदन और नंगे पांव निकलता पण्डा]]
 
इस पर्व को नवान्नेष्टि यज्ञपर्व भी कहा जाता है, क्योंकि खेत से आये नवीन अन्न को इसदिन यज्ञ में हवन करके प्रसाद लेने की परम्परा भी है। उस अन्न को होला कहते है। इसी से इसका नाम ''होलिकोत्सव'' पड़ा। होली का समय अपने आप में अनूठा ही है। [[फ़रवरी]]- [[मार्च]] में जब होली मनाई जाती है, तब सब ओर चिंतामुक्त वातावरण होता है- किसान फ़सल कटने के बाद आश्वस्त होता है। पशुचारा तो संगृहित किया जा चुका होता है। शीत ऋतु अपने समापन पर होती है। दिन न तो बहुत गर्म, न ही रातें बहुत ठंडी होती हैं। होली फाल्गुन मास में पूर्ण चंद्रमा के दिन मनाई जाती है। यद्यपि यह उत्तर भारत में एक सप्ताह व मणिपुर में छह दिन तक मनाई जाती है। होली वर्ष का अंतिम तथा जनसामान्य का सबसे बड़ा त्योहार है। सभी लोग आपसी भेदभाव को भुलाकर इसे हर्ष व उल्लास के साथ मनाते हैं। होली पारस्परिक सौमनस्य एकता और समानता को बल देती है। विभिन्न देशों में इसके अलग-अलग नाम और रूप हैं। होलिका की अग्नि में पुराना वर्ष 'जो होली' के रूप में जल जाता है और नया वर्ष नयी आशाएँ, आकांक्षाएँ लेकर प्रकट होता है। मानव जीवन में नई ऊर्जा, नई स्फूर्ति का विकास होता है। यह हिन्दुओं का नववर्षोत्सव है।
 
 
==फाग उत्सव==
 
==फाग उत्सव==
 
[[फाल्गुन]] के माह रंगभरनी एकादशी से सभी मन्दिरों में फाग उत्सव प्रारम्भ होते हैं जो दौज तक चलते हैं। दौज को [[बलदेव मथुरा|बल्देव (दाऊजी)]] में [[बलदेव मथुरा|हुरंगा]] होता है। [[बरसाना]], [[नन्दगाँव|नन्दगांव]], जाव, बठैन, [[जतीपुरा गोवर्धन|जतीपुरा]], आन्यौर आदि में भी होली खेली जाती है । यह [[ब्रज]] विशेष त्योहार है यों तो [[पुराण|पुराणों]] के अनुसार इसका सम्बन्ध पुराणकथाओं से है और ब्रज में भी होली इसी दिन जलाई जाती है। इसमें [[यज्ञ]] रूप में नवीन अन्न की बालें भूनी जाती है। [[प्रह्लाद]] की कथा की प्रेरणा इससे मिलती हैं।  होली दहन के दिन [[कोसी]] के निकट फालैन गांव में प्रह्लाद कुण्ड के पास भक्त प्रह्लाद का मेला लगता है। यहाँ तेज़ जलती हुई होली में से नंगे बदन और नंगे पांव पण्डा निकलता है।
 
[[फाल्गुन]] के माह रंगभरनी एकादशी से सभी मन्दिरों में फाग उत्सव प्रारम्भ होते हैं जो दौज तक चलते हैं। दौज को [[बलदेव मथुरा|बल्देव (दाऊजी)]] में [[बलदेव मथुरा|हुरंगा]] होता है। [[बरसाना]], [[नन्दगाँव|नन्दगांव]], जाव, बठैन, [[जतीपुरा गोवर्धन|जतीपुरा]], आन्यौर आदि में भी होली खेली जाती है । यह [[ब्रज]] विशेष त्योहार है यों तो [[पुराण|पुराणों]] के अनुसार इसका सम्बन्ध पुराणकथाओं से है और ब्रज में भी होली इसी दिन जलाई जाती है। इसमें [[यज्ञ]] रूप में नवीन अन्न की बालें भूनी जाती है। [[प्रह्लाद]] की कथा की प्रेरणा इससे मिलती हैं।  होली दहन के दिन [[कोसी]] के निकट फालैन गांव में प्रह्लाद कुण्ड के पास भक्त प्रह्लाद का मेला लगता है। यहाँ तेज़ जलती हुई होली में से नंगे बदन और नंगे पांव पण्डा निकलता है।

Revision as of 05:56, 10 March 2011

holi bharat ke pramukh char tyoharoan (dipavali, rakshabandhan, holi aur dashahara) mean se ek hai. holi jahaan ek or samajik evan dharmik hai, vahian rangoan ka bhi tyohar hai. aval vriddh, nar- nari sabhi ise b de utsah se manate haian. isamean jatibhed-varnabhed ka koee sthan nahian hai. is avasar par lak diyoan tatha kandoan adi ka dher lagakar holikapoojan kiya jata hai. phir usamean ag lagayi jati hai. poojan ke samay mantr uchcharan kiya jata hai.

itihas

[[chitr:Holika-Prahlad-1.jpg|thumb|prahlad ko god mean bithakar baithi holika|220px]] prachalit manyata ke anusar yah tyohar hiranyakashipu ki bahan holika ke mare jane ki smriti mean bhi manaya jata hai. puranoan mean varnit hai ki hiranyakashipu ne apani bahan holika varadan ke prabhav se nity agnisnan karati aur jalati nahian thi hiranyakashipu ne apani bahan holika se prahlad ko god mean lekar agnisnan karane ko kaha. usane samajha ki aisa karane se prahlad agni mean jal jaega tatha holika bach jaegi. holika ne aisa hi kiya, kiantu holika jal gayi, prahlad bach gaye. holika ko yah smaran hi nahian raha ki agni snan vah akele hi kar sakati hai. tabhi se is tyohar ke manane ki pratha chal p di.

arambhik shabdaroop

yah bahut prachin utsav hai. isaka arambhik shabdaroop holaka tha.[1] bharat mean poorvi bhagoan mean yah shabd prachalit tha. jaimini evan shabar ka kathan hai ki hola ka sabhi aryo dvara sampadit hona chahie. kathakagrihy[2] mean ek sootr hai 'raka hola ke', jisaki vyakhya tikakar devapal ne yoan ki hai-'hola ek karm-vishesh hai jo striyoan ke saubhagy ke lie sampadit hota hai, us krity mean raka (poornachandr) devata hai.'[3] any tikakaroan ne isaki vyakhya any roopoan mean ki hai. hola ka un bis kri daoan mean ek hai jo sampoorn bharat mean prachalit haian. isaka ullekh vatsyayan ke kamasootr[4] mean bhi hua hai jisaka arth tikakar jayamangal ne kiya hai. phalgun ki poornima par log shrriang se ek-doosare par rangin jal chho date haian aur sugandhit choorn bikherate haian. hemadri[5] ne brihadyam ka ek shlok udbhrit kiya hai. jisamean holika-poornima ko hutashani (alakaj ki bhaanti) kaha gaya hai. liang puran mean aya hai- 'phalgun poornima ko 'phalgunika' kaha jata hai, yah bal-kri daoan se poorn hai aur logoan ko vibhooti (aishvary) dene vali hai.' varah puran mean aya hai ki yah 'patavas-vilasini' (choorn se yukt kri daoan vali) hai. [6]

shatabdiyoan poorv se holika utsav

thumb|rang aur pichakariyaan jaimini evan kathakagrihy mean varnit hone ke karan yah kaha ja sakata hai ki eesa ki kee shatabdiyoan poorv se holaka ka utsav prachalit tha. kamasootr evan bhavishyottar puran ise vasant se sanyukt karate haian, at: yah utsav poornimant ganana ke anusar varsh ke ant mean hota tha. at: holika hemant ya patajh d ke ant ki soochak hai aur vasant ki kamapremamay lilaoan ki dyotak hai. mastibhare gane, nrity evan sangit vasantagaman ke ullasapoorn kshanoan ke parichayak haian. vasant ki anandabhivyakti rangin jal evan lal rang, abir-gulal ke parasparik adan-pradan se prakat hoti hai. kuchh pradeshoan mean yah rang yukt vatavaran holika ke din hi hota hai, kintu dakshin mean yah holika ke paanchavean din (rang-panchami) manayi jati hai. kahian-kahian rangoan ke khel pahale se arambh kar diye jate haian aur bahut dinoan tak chalate rahate haian; holika ke poorv hi 'pahunee' mean aye hue log ek-doosare par pank (kich d) bhi pheankate haian. [7] kahi-kahian do-tin dinoan tak mitti, pank, rang, gan adi se log matavale hokar dal bana kar holi ka hu dadang machate haian, s dakean lal ho jati haian. kahian-kahian log bhadde majakoan, ashlil ganoan se apani kamechchhaoan ki bahy tripti karate haian. vastav mean yah utsav prem karane se sambandhit hai, kintu shisht janoan ki nariyaan in dinoan bahar nahian nikal patian, kyoanki unhean bhay rahata hai ki log bhaddi galiyaan n de baithean. shri gupte ne apane lekh[8] mean prakat kiya hai ki yah utsav eejipt (misr) ya gris (yoonan) se liya gaya hai. kintu yah bhramak drishtikon hai. lagata hai, unhoanne bharatiy prachin granthoan ka avalokan nahian kiya hai, doosare, ve is vishay mean bhi nishchit nahian haian ki is utsav ka udgam mistr se hai ya yoonan se. unaki dharana ko gambhirata se nahian lena chahie.

holika

hemadri[9] ne bhavishyottar[10] se uddharan dekar ek katha di hai. yudhishthir ne krishna se poochha ki phalgun-poornima ko pratyek gaanv evan nagar mean ek utsav kyoan hota hai, pratyek ghar mean bachche kyoan kri damay ho jate haian aur holaka kyoan jalate haian, usamean kis devata ki pooja hoti hai, kisane is utsav ka prachar kiya, isamean kya hota hai aur yah 'adada' kyoan kahi jati hai. [[chitr:Holi-Holika-Dahan-Mathura.jpg|holika dahan, mathura
Holika Dahan, Mathura|thumb|250px|left]] krishna ne yudhishthir se raja raghu ke vishay mean ek kianvadanti kahi. raja raghu ke pas log yah kahane ke lie gaye ki 'dhondha' namak ek rakshasi hai jise shiv ne varadan diya hai ki use dev, manav adi nahian mar sakate haian aur n vah astr shastr ya ja da ya garmi ya varsha se mar sakati hai, kintu shiv ne itana kah diya hai ki vah kri dayukt bachchoan se bhay kha sakati hai. [[chitr:Radha-Krishna-Holi-Barsana-Mathura-12.jpg|thumb|radha-krishna ki chhavi mean brajavasi, barasana]] purohit ne yah bhi bataya ki phalgun ki poornima ko ja de ki rritu samapt hoti hai aur grishm rritu ka agaman hota hai, tab log hansean evan anand manayean, bachche lak di ke tuk de lekar bahar prasannatapoorvak nikal p dean, lak diyaan evan ghas ekatr karean, rakshoghn mantroan ke sath usamean ag lagayean, taliyaan bajayean, agni ki tin bar pradakshina karean, hansean aur prachalit bhasha mean bhadde evan ashlil gane gayean, isi shoragul evan attahas se tatha hom se vah rakshasi maregi. jab raja ne yah sab kiya to rakshasi mar gayi aur vah din adada ya holika kaha gaya. age aya hai ki doosare din chaitr ki pratipada par logoan ko holikabhasm ko pranam karana chahie, mantrochcharan karana chahie, ghar ke praangan mean vargakar sthal ke madhy mean kam-pooja karani chahie. kam-pratima par sundar nari dvara chandan-lep lagana chahie aur pooja karane vale ko chandan-lep se mishrit amr-baur khana chahie. isake uparant yathashakti brahmanoan, bhatoan adi ko dan dena chahie aur 'kam devata mujh par prasann hoan' aisa kahana chahie. isake age puran mean aya hai- 'jab shukl paksh ki 15vian tithi par patajh d samapt ho jata hai aur vasant rritu ka prat: agaman hota hai to jo vyakti chandan-lep ke sath amr-manjari khata hai vah anand se rahata hai.'

holi aur radha-krishna ki katha

bhagavan shrikrishna to saanvale the, parantu unaki atmik sakhi radha gauravarn ki thi. isalie balkrishna prakriti ke is anyay ki shikayat apani maan yashoda se karate tatha isaka karan janane ka prayatn karate. ek din yashoda ne shrikrishna ko yah sujhav diya ki ve radha ke mukh par vahi rang laga dean, jisaki unhean ichchha ho. natakhat shrikrishna yahi kary karane chal p de. ap chitroan v any bhakti akritiyoan mean shrikrishna ke isi krity ko jisamean ve radha v any gopiyoan par rang dal rahe haian, dekh sakate haian. yah premamayi shararat shighr hi logoan mean prachalit ho gee tatha holi ki paranpara ke roop mean sthapit huee. isi rritu mean log radha v krishna ke chitroan ko sajakar s dakoan par ghoomate haian. mathura ki holi ka vishesh mahattv hai, kyoanki mathura mean hi to krishna ka janm hua tha.

mathura holi ke vibhinn drishy

holi aur dhuandhi ki katha

thumb|220px bhavishyapuran mean varnit hai ki satyayug mean raja raghu ke rajy mean mali namak daity ki putri dhoandha ya dhuandhi thi. usane shiv ki ugr tapasya ki. shiv ne var maangane ko kaha. usane var maanga- prabho! devata, daity manushy adi mujhe mar n sakean tatha astr-shastr adi se bhi mera vadh n ho. sath hi din mean, ratri, mean shitakal mean, ushnakal tatha varshakal mean, bhitar-bahar kahian bhi mujhe kisi se bhay nahian ho.' shiv ne tathastu kaha tatha yah bhi chetavani di ki tumhean unmatt balakoan se bhay hoga. vahi dhoandha namak rakshasi balakoan v praja ko pi dit karane lagi. 'adada' mantr ka uchcharan karane par vah shaant ho jati thi. isi se use adada bhi kahate haian. is prakar bhagavan shiv ke abhishap vash vah gramin balakoan ki shararat, galiyoan v chillane ke age vivash thi. aisa vishvas kiya jata hai ki holi ke din hi sabhi balakoan ne apani ekata ke bal par age badhakar dhuandhi ko gaanv se bahar dhakela tha. ve jor-jor se chillate hue tatha chalaki se usaki or badhate hi gaye. yahi karan hai ki is din navayuvak kuchh ashisht bhasha mean hansi majak kar lete haian, parantu koee unaki bat ka bura nahi manata.

holika dahan

  1. REDIRECTsaancha:mukhy

poorn chandrama (phalgunapoornima) ke din hi praranbh hota hai. is din sayankal ko holi jalaee jati hai. isake ek mah poorv arthath magh poornima ko 'erand' ya goolar vriksh ki tahani ko gaanv ke bahar kisi sthan par ga d diya jata hai, aur us par lak diyaan, sookhe upale, khar-patavar adi charoan se ekatr kiya jata hai aur phalgun poornima ki rat ya sayankal ise jalaya jata hai. paranpara ke anusar sabhi log alav ke charoan or ekatrit hote haian. isi alav ko holi kaha jata hai. holi ki agni mean sookhi pattiyaan, tahaniyaan, v sookhi lak diyaan dali jati haian, tatha log isi agni ke charoan or nrity v sangit ka anand lete haian.

phag utsav

phalgun ke mah rangabharani ekadashi se sabhi mandiroan mean phag utsav prarambh hote haian jo dauj tak chalate haian. dauj ko baldev (daooji) mean huranga hota hai. barasana, nandagaanv, jav, bathain, jatipura, anyaur adi mean bhi holi kheli jati hai . yah braj vishesh tyohar hai yoan to puranoan ke anusar isaka sambandh puranakathaoan se hai aur braj mean bhi holi isi din jalaee jati hai. isamean yajn roop mean navin ann ki balean bhooni jati hai. prahlad ki katha ki prerana isase milati haian. holi dahan ke din kosi ke nikat phalain gaanv mean prahlad kund ke pas bhakt prahlad ka mela lagata hai. yahaan tez jalati huee holi mean se nange badan aur nange paanv panda nikalata hai. [[chitr:Holi Barsana Mathura 1.jpg|latthamar holi, barasana |thumb|250px]] shrikrishna radha aur gopiyoan–gvaloan ke bich ki holi ke roop mean gulal, rang kesar ki pichakari se khoob khelate haian. holi ka arambh phalgun shukl 9 barasana se hota hai. vahaan ki lathamar holi jag prasiddh hai. dasavian ko aisi hi holi nandagaanv mean hoti hai. isi ke sath poore braj mean holi ki dhoom machati hai. dhoolean di ko pray: holi poorn ho jati hai, isake bad hurange chalate haian, jinamean mahilayean rangoan ke sath lathiyoan, ko doan adi se purushoan ko gherati haian. yah sab dharmik vatavaran hota hai. holi ya holika anand evan ullas ka aisa utsav hai jo sampoorn desh mean manaya jata hai. utsav manane ke dhang mean kahian-kahian antar paya jata hai. bangal ko chho dakar holika-dahan sarvatr dekha jata hai. bangal mean phalgun poornima par krishna-pratima ka jhoola prachalit hai kintu yah bharat ke adhikaansh sthanoan mean nahian dikhaee p data. is utsav ki avadhi vibhinn prantoan mean vibhinn hai. is avasar par log baans ya dhatu ki pichakari se rangin jal chho date haian ya abir-gulal lagate haian. kahian-kahian ashlil gane gaye jate haian. isamean jo dharmik tattv hai vah hai bangal mean krishna-pooja karana tatha kuchh pradeshoan mean purohit dvara holika ki pooja karavana. log holika dahan ke samay parikrama karate haian, agni mean nariyal pheankate haian, gehooan, jau adi ke danthal pheankate haian aur inake adhajale aansh ka prasad banate haian. kahian-kahian log hatheli se mukh-svar utpann karate haian.

barasana holi ke vibhinn drishy

duleandi

yah tyohar agami din, rang divas ke roop mean manaya jata hai. is parv par kishor-kishoriyaan, vayask v vriddh sabhi ek-doosare par gulal barasate haian tatha pichakariyoan se gile rang lagate haian. paranparik roop se keval prakritik v j di-bootiyoan se nirmit rangoan ka prayog hota hai, parantu aj kal kritrim rangoan ne inaka sthan le liya hai. ajakal to log jis-kisi ke sath bhi shararat ya majak karana chahate haian. usi par rangile jhag v rangoan se bhare gubbare marate haian. prem se bhare yah - narangi, lal, hare, nile, baiangani tatha kale rang sabhi ke man se katuta v vaimanasy ko dho dete haian tatha samudayik mel-jol ko badhate haian. is din sabhi ke ghar pakavan v mishtan banate haian. log ek- doosare ke ghar jakar gale milate haian aur pakavan khate haian.

svadisht vyanjan

thumb|gujhiya mishthan is parv ki visheshata haian. uttar bharat mean ap gujhiya ka anand le sakate haian v pashchim mean, maharashtr mean pooranapoli ka. thandaee (shital pey jise doodh, bhaang, badam milakar ghotakar banaya jata hai) bhaang ( yah ek nashile paudhe ki pattiyoan ka ghol hai) parantu is mishran se savadhan hi rahana chahie, kyoanki yah pey holi par prayah sabhi jagah banaya v viparit kiya jata hai. isaka nasha jaldi utarata nahian, aur bhookh badhati hi jati hai, isake pine se dimag par bura prabhav p data hai.

holi ke git

holi rangoan, anand aur ullas ka tyohar hai. b aaulivud ke holi git isi anand aur ullas se bhare hote haian. 'holi aee re kanhaee' (madar iandiya), 'are ja re hat natakhat' (navarang), 'aj na chho deange bas hamajoli' (kati patang), 'holi ke din' (shole), 'rang barase' (silasila), 'mal de gulal mohe, aee holi aee re' (kamachor), 'aang se aang lagana sajan' (dar) aur 'holi khelean raghuvira' (bagaban) holi ke kuchh lokapriy git haian. isake alava 'holi ke rang mean', 'rang barase bhige chunar vali' aur 'holi khelean raghuvira...' hindi philmoan ke kuchh aise lokapriy git haian jo rangoan ke tyohar holi ki bhavana ko b de parde par jivant karate haian, lekin aj holi ke gitoan ka abhav dekha ja raha hai aur aise mean log purane gitoan mean hi holi ka maja lene ko majaboor haian. [[chitr:Holi.jpg|thumb|left|holi ke git 'rang barase' ke dauran mahanayak amitabh bachchan aur rekha]] hindi philmoan mean aya holi ka aantim git 'doo mi e phevar.. lets ple holi' hai. philm 'vakt-res aangeanst taim' (2005) ka yah git akshay kumar aur priyanka chop da par philmaya gaya hai. is git mean holi ke rang, oorja sahit sab kuchh hai. isake bad holi ka koee git nahian aya hai.[11] vidiyo k diyaan- rang barase bhige chunar vali, holi khele raghubira avadh mean

any prantoan mean holika

anandollas se paripoorn evan ashlil gan-nrityoan mean lin log jab any prantoan mean holika ka utsav manate haian tab bangal mean dolayatra ka utsav hota hai. dekhie shoolapanikrit 'dolayatravivek.' yah utsav paanch ya tin dinoan tak chalata hai. poornima ke poorv chaturdashi ko sandhya ke samay mandap ke poorv mean agni ke samman mean ek utsav hota hai. govind ki pratima ka nirman hota hai. ek vedika par 16 khambhoan se yukt mandap mean pratima rakhi jati hai. ise panchamrit se nahalaya jata hai, kee prakar ke krity kiye jate haian, moorti ya pratima ko idhar-udhar sat bar dolaya jata hai. pratham din ki prajvalit agni utsav ke ant tak rakhi jati hai. ant mean pratima 21 bar dolaee ya jhulaee jati hai. aisa aya hai ki indradyumn raja ne vrindavan mean is jhoole ka utsav arambh kiya tha. is utsav ke karane se vyakti sabhi papoan se mukt ho jata hai. shoolapani ne isaki tithi, prahar, nakshatr adi ke vishay mean vivechan kar nishkarsh nikala hai ki dolayatra poornima tithi ki upasthiti mean hi honi chahie, chahe uttaraphalguni nakshatr ho ya n ho. [[chitr:Krishna Janm Bhumi Holi Mathura 7.jpg|thumb|250px|holi, krishna janmabhoomi, mathura]] holikotsav ke vishay mean ni. si.[12], smritikaustubh[13] adi nibandhoan mean varnan aya hai.

karnatak mean holi samaroh

karnatak mean yah tyohar kamana habba ke roop mean manaya jata hai. is din bhagavan shiv ne kamadev ko apane tisare netr se jala diya tha. is din koo da-karakat phate vastr, ek khuli jagah ekatrit kie jate haian tatha inhean agni ko samarpit kiya jata hai. as-pas ke sabhi p dosi is utsav ko dekhane ate haian.

tamilanadu mean holi mahotsav

tamilanadu mean bhi yah parv kaman pandigayi ke roop mean manaya jata hai. parantu yah parv ab gaanv ke mandiroan tak hi simit rah gaya hai. shahar ke logoan ko to is tyohar ke vishay mean kuchh khas jnan nahian hai.

prem ka tyohar

holi basant v prem-pranav ka parv hai tatha dharm ki adharm par vijay ka pratik hai. yah rangoan ka, has-parihas ka bhi parv hai. yah vah tyohar hai, jisamean log 'kya karana hai, tatha kya nahian karana' ke jal se alag hokar svayan ko svatantr mahasoos karate haian. yah vah parv hai, jisamean ap poorn roop se svachchhand ho, apani pasand ka kary karate haian, chahe yah kisi ko chhe dana ho ya ajanabi ke sath bhi tho di shararat karani ho. in sabaka sarvottam roop yah hai ki sabhi katuta, krodh v niradar bura n mano holi hai ki ooanchi dhvani mean doobakar ghul-mil jata hai. bura n mano holi hai ki karatal dhvani holi ki lanbi parampara ka abhinn aang hai.

  1. REDIRECTsaancha:inhean bhi dekhean
baladev holi ke vibhinn drishy


vithika


panne ki pragati avastha
adhar
prarambhik
madhyamik
poornata
shodh

tika tippani aur sandarbh

  1. jaimini, 1.3.15-16)
  2. 73,1
  3. raka holake. kathakagrihy (73.1). is par devapal ki tikayoan hai: 'hola karmavishesh: saubhagyay strinaan prataranushthiyate. tatr hola ke raka devata. yaste rake subhatay ityadi.'
  4. kamasootr, 1.4.42
  5. kal, pri. 106
  6. liangapurane. phalgune paurnamasi ch sada balavikasini. jneya phalgunika sa ch jneya lokarvibhootaye.. varahapurane. phalgune paurnimasyaan tu patavasavilasini. jneya sa phalguni loke karya lokasamriddhaye॥ he. (kal, pri. 642). isamean pratham ka.vi. (pri. 352) mean bhi aya hai jisaka arth is prakar hai-balavajjanavilasinyamityarth:
  7. varshakrityadipak (pri0 301) mean nimn shlok aye haian-
    'prabhate bimale jate hyange bhasm ch karayeth. sarvage ch lalate ch kriditavyan pishachavath॥
    sindarai: kuankumaishchaiv dhoolibhirdhoosaro bhaveth. gitan vadyan ch nrityan ch kriryadrathyopasarpanamh ॥
    brahmanai: kshatriyairvaishyai: shoodraishchanyaishch jatibhi:. ekibhooy prakartavya krida ya phalgune sada. balakai: vah gantavyan phalgunyaan ch yudhishthir ॥'
  8. hindoo halidej evan serimanij'(pri. 92)
  9. (vrat, bhag 2, pri0 174-190)
  10. bhavishyottar, 132.1.51
  11. ajakal nahian milate holi ke git (hindi) (ech.ti.em.el) laiv hindustan d aaut k aaum. abhigaman tithi: 4 march, 2011.
  12. ni. si., pri. 227
  13. (smritikaustubh, pri. 516-519), pri. chi. (pri. 308-319)

sanbandhit lekh