Difference between revisions of "महाभारत"

भारत डिस्कवरी प्रस्तुति
Jump to navigation Jump to search
[unchecked revision][unchecked revision]
Line 47: Line 47:
 
'[[अग्नि पुराण]] में महाभारत की संक्षिप्त कथा'
 
'[[अग्नि पुराण]] में महाभारत की संक्षिप्त कथा'
 
[[चित्र:Jarasandh1.jpg|[[भीम (पाण्डव)|भीम]]-[[जरासंध]] युद्ध|thumb]]
 
[[चित्र:Jarasandh1.jpg|[[भीम (पाण्डव)|भीम]]-[[जरासंध]] युद्ध|thumb]]
[[अग्निदेव]] कहते हैं- अब मैं [[कृष्ण|श्रीकृष्ण]] की महिमा को लक्षित कराने वाला महाभारत का उपाख्यान सुनाता हूँ, जिसमें श्रीहरि ने [[पाण्डव|पाण्डवों]] को निमित्त बनाकर इस [[पृथ्वी देवी|पृथ्वी]] का भार उतारा था। भगवान् [[विष्णु]] के नाभिकमल से [[ब्रह्मा|ब्रह्माजी]] उत्पन्न हुए। ब्रह्माजी से [[अत्रि]], अत्रि से [[चंद्र देवता|चन्द्रमा]], चन्द्रमा से [[बुध देवता|बुध]] और बुध से [[इला]]नन्दन [[पुरूरवा]] का जन्म हुआ। पुरूरवा से आयु, [[आयु]] से राजा [[नहुष]] और नहुष से [[ययाति]] उत्पन्न हुए। ययाति से [[पुरू]] हुए। पूरू के वंश में भरत और भरत के कुल में राजा [[कुरु वंश|कुरु]] हुए। कुरु के वंश में [[शान्तनु]] का जन्म हुआ। <br />
+
[[अग्निदेव]] कहते हैं- अब मैं [[कृष्ण|श्रीकृष्ण]] की महिमा को लक्षित कराने वाला महाभारत का उपाख्यान सुनाता हूँ, जिसमें श्रीहरि ने [[पाण्डव|पाण्डवों]] को निमित्त बनाकर इस [[पृथ्वी देवी|पृथ्वी]] का भार उतारा था। भगवान् [[विष्णु]] के नाभिकमल से [[ब्रह्मा|ब्रह्माजी]] उत्पन्न हुए। ब्रह्माजी से [[अत्रि]], अत्रि से [[चंद्र देवता|चन्द्रमा]], चन्द्रमा से [[बुध देवता|बुध]] और बुध से [[इला]] नन्दन [[पुरूरवा]] का जन्म हुआ। पुरूरवा से आयु, आयु से राजा [[नहुष]] और नहुष से [[ययाति]] उत्पन्न हुए। ययाति से पुरू हुए। पूरू के वंश में भरत और भरत के कुल में राजा [[कुरु वंश|कुरु]] हुए। कुरु के वंश में [[शान्तनु]] का जन्म हुआ। <br />
 
शान्तनु से गंगानन्दन [[भीष्म]] उत्पन्न हुए। उनके दो छोटे भाई और थे-चित्रांगद और विचित्रवीर्य। ये शान्तनु से [[सत्यवती]] के गर्भ से उत्पन्न हुए थे। शान्तनु के स्वर्गलोक चले जाने पर भीष्म ने अविवाहित रह कर अपने भाई विचित्रवीर्य के राज्य का पालन किया। चित्रांगद बाल्यावस्था में ही चित्रांगद नाम वाले [[गन्धर्व]] के द्वारा मारे गये। फिर भीष्म संग्राम में विपक्षी को परास्त करके [[काशिराज]] की दो कन्याओं- अम्बिका और अम्बालिका को हर लाये। वे दोनों विचित्रवीर्य की भार्याएँ हुईं। कुछ काल के बाद राजा विचित्रवीर्य [[राजयक्ष्मा]] से ग्रस्त हो स्वर्गवासी हो गये। तब सत्यवती की अनुमति से व्यासजी के द्वारा अम्बिका के गर्भ से राजा धृतराष्ट्र और अम्बालिका के गर्भ से पाण्डु उत्पन्न हुए। [[धृतराष्ट्र]] ने गान्धारी के गर्भ से सौ पुत्रों को जन्म दिया, जिनमें [[दुर्योधन]] सबसे बड़ा था।<br />
 
शान्तनु से गंगानन्दन [[भीष्म]] उत्पन्न हुए। उनके दो छोटे भाई और थे-चित्रांगद और विचित्रवीर्य। ये शान्तनु से [[सत्यवती]] के गर्भ से उत्पन्न हुए थे। शान्तनु के स्वर्गलोक चले जाने पर भीष्म ने अविवाहित रह कर अपने भाई विचित्रवीर्य के राज्य का पालन किया। चित्रांगद बाल्यावस्था में ही चित्रांगद नाम वाले [[गन्धर्व]] के द्वारा मारे गये। फिर भीष्म संग्राम में विपक्षी को परास्त करके [[काशिराज]] की दो कन्याओं- अम्बिका और अम्बालिका को हर लाये। वे दोनों विचित्रवीर्य की भार्याएँ हुईं। कुछ काल के बाद राजा विचित्रवीर्य [[राजयक्ष्मा]] से ग्रस्त हो स्वर्गवासी हो गये। तब सत्यवती की अनुमति से व्यासजी के द्वारा अम्बिका के गर्भ से राजा धृतराष्ट्र और अम्बालिका के गर्भ से पाण्डु उत्पन्न हुए। [[धृतराष्ट्र]] ने गान्धारी के गर्भ से सौ पुत्रों को जन्म दिया, जिनमें [[दुर्योधन]] सबसे बड़ा था।<br />
 
राजा [[पाण्डु]] वन में रहते थे। वे एक ऋषि के शाप वश शतश्रृंग मुनि के आश्रम के पास स्त्रीसमागम के कारण मृत्यु को प्राप्त हुए। (पाण्डु शाप के ही कारण स्त्री-सम्भोग से दूर रहते थे,) इसलिये उनकी आज्ञा के अनुसार कुन्ती के गर्भ से धर्म के अंश से युधिष्ठिर का जन्म हुआ। [[वायु देव|वायु]] से भीम और इन्द्र से अर्जुन उत्पन्न हुए। पाण्डु की दूसरी पत्नी माद्री के गर्भ से [[अश्विनीकुमार|अश्विनीकुमारों]] के अंश से नकुल-सहदेव का जन्म हुआ। (शापवश) एक दिन [[माद्री]] के साथ सम्भोग होने से पाण्डु की मृत्यु हो गयी और माद्री भी उनके साथ सती हो गयी। जब [[कुन्ती]] का विवाह नहीं हुआ था, उसी समय ([[सूर्य देवता|सूर्य]] के अंश से) उनके गर्भ से [[कर्ण]] का जन्म हुआ था। वह दुर्योधन के आश्रय में रहता था। दैवयोग से कौरवों और पाण्डवों में वैर की आग प्रज्वलित हो उठी। दुर्योधन बड़ी खोटी बुद्धि का मनुष्य था। उसने लाक्षा के बने हुए धर में पाण्डवों को रखकर आग लगाकर उन्हें जलाने का प्रयत्न किया, किन्तु पाँचों पाण्डव अपनी माता के साथ उस जलते हुए घर से बाहर निकल गये। वहाँ से [[एकचक्रा]] नगरी में जाकर वे मुनि के वेष में एक [[ब्राह्मण]] के घर में निवास करने लगे। फिर बक नामक राक्षस का वध करके वे [[पांचाल]]-राज्य में, जहाँ [[द्रौपदी]] का स्वयंवर होनेवाला था, गये। वहाँ अर्जुन के बाहुबल से मत्स्यभेद होने पर पाँचों पाण्डवों ने द्रौपदी को पत्नीरूप में प्राप्त किया। तत्पश्चात दुर्योधन आदि को उनके जीवित होने का पता चलने पर उन्होंने कौरवों से अपना आधा राज्य भी प्राप्त कर लिया। अर्जुन ने [[अग्निदेव]] से दिव्य गाण्डीव धनुष और उत्तम रथ प्राप्त किया था। उन्हें युद्ध में भगवान् कृष्ण-जैसे सारथि मिले थे तथा उन्होंने आचार्य द्रोण से ब्रह्मास्त्र आदि दिव्य आयुध और कभी नष्ट न होने वाले बाण प्राप्त किये थे। सभी पाण्डव सब प्रकार की विद्याओं में प्रवीण थे
 
राजा [[पाण्डु]] वन में रहते थे। वे एक ऋषि के शाप वश शतश्रृंग मुनि के आश्रम के पास स्त्रीसमागम के कारण मृत्यु को प्राप्त हुए। (पाण्डु शाप के ही कारण स्त्री-सम्भोग से दूर रहते थे,) इसलिये उनकी आज्ञा के अनुसार कुन्ती के गर्भ से धर्म के अंश से युधिष्ठिर का जन्म हुआ। [[वायु देव|वायु]] से भीम और इन्द्र से अर्जुन उत्पन्न हुए। पाण्डु की दूसरी पत्नी माद्री के गर्भ से [[अश्विनीकुमार|अश्विनीकुमारों]] के अंश से नकुल-सहदेव का जन्म हुआ। (शापवश) एक दिन [[माद्री]] के साथ सम्भोग होने से पाण्डु की मृत्यु हो गयी और माद्री भी उनके साथ सती हो गयी। जब [[कुन्ती]] का विवाह नहीं हुआ था, उसी समय ([[सूर्य देवता|सूर्य]] के अंश से) उनके गर्भ से [[कर्ण]] का जन्म हुआ था। वह दुर्योधन के आश्रय में रहता था। दैवयोग से कौरवों और पाण्डवों में वैर की आग प्रज्वलित हो उठी। दुर्योधन बड़ी खोटी बुद्धि का मनुष्य था। उसने लाक्षा के बने हुए धर में पाण्डवों को रखकर आग लगाकर उन्हें जलाने का प्रयत्न किया, किन्तु पाँचों पाण्डव अपनी माता के साथ उस जलते हुए घर से बाहर निकल गये। वहाँ से [[एकचक्रा]] नगरी में जाकर वे मुनि के वेष में एक [[ब्राह्मण]] के घर में निवास करने लगे। फिर बक नामक राक्षस का वध करके वे [[पांचाल]]-राज्य में, जहाँ [[द्रौपदी]] का स्वयंवर होनेवाला था, गये। वहाँ अर्जुन के बाहुबल से मत्स्यभेद होने पर पाँचों पाण्डवों ने द्रौपदी को पत्नीरूप में प्राप्त किया। तत्पश्चात दुर्योधन आदि को उनके जीवित होने का पता चलने पर उन्होंने कौरवों से अपना आधा राज्य भी प्राप्त कर लिया। अर्जुन ने [[अग्निदेव]] से दिव्य गाण्डीव धनुष और उत्तम रथ प्राप्त किया था। उन्हें युद्ध में भगवान् कृष्ण-जैसे सारथि मिले थे तथा उन्होंने आचार्य द्रोण से ब्रह्मास्त्र आदि दिव्य आयुध और कभी नष्ट न होने वाले बाण प्राप्त किये थे। सभी पाण्डव सब प्रकार की विद्याओं में प्रवीण थे
 +
 
==पाण्डवों का वनवास==
 
==पाण्डवों का वनवास==
 
पाण्डुकुमार अर्जुन ने श्रीकृष्ण के साथ खाण्डववन में [[इन्द्र]] के द्वारा की हुई वृष्टि का अपने बाणों की (छत्राकार) बाँध से निवारण करते हुए अग्नि को तृप्त किया था।[[चित्र:Bhishma1.jpg|thumb|left|महाभारत युद्ध में [[भीष्म]] [[कृष्ण]] की प्रतिज्ञा भंग करवाते हुए]] पाण्डवों ने सम्पूर्ण दिशाओं पर विजय पायीं युधिष्ठिर राज्य करने लगे। उन्होंने प्रचुर सुवर्णराशि से परिपूर्ण [[राजसूय यज्ञ]] का अनुष्ठान किया। उनका यह वैभव दुर्योधन के लिये असह्य हो उठा। उसने अपने भाई [[दु:शासन]] और वैभव प्राप्त सुहृद् कर्ण के कहने से [[शकुनि]] को साथ ले, द्यूत-सभा में जूए में प्रवृत्त होकर, [[युधिष्ठिर]] और उनके राज्य को कपट-द्यूत के द्वारा हँसते-हँसते जीत लिया। जूए में परास्त होकर युधिष्ठिर अपने भाइयों के साथ वन में चले गये। वहाँ उन्होंने अपनी प्रतिज्ञा के अनुसार बारह वर्ष व्यतीत किये। वे वन में भी पहले ही की भाँति प्रतिदिन बहुसंख्यक ब्राह्मणों को भोजन कराते थे। (एक दिन उन्होंने) अठासी हज़ार द्विजोंसहित [[दुर्वासा]] को (श्रीकृष्ण-कृपा से) परितृप्त किया। वहाँ उनके साथ उनकी पत्नी द्रौपदी और पुरोहित धौम्यजी भी थे। <br />
 
पाण्डुकुमार अर्जुन ने श्रीकृष्ण के साथ खाण्डववन में [[इन्द्र]] के द्वारा की हुई वृष्टि का अपने बाणों की (छत्राकार) बाँध से निवारण करते हुए अग्नि को तृप्त किया था।[[चित्र:Bhishma1.jpg|thumb|left|महाभारत युद्ध में [[भीष्म]] [[कृष्ण]] की प्रतिज्ञा भंग करवाते हुए]] पाण्डवों ने सम्पूर्ण दिशाओं पर विजय पायीं युधिष्ठिर राज्य करने लगे। उन्होंने प्रचुर सुवर्णराशि से परिपूर्ण [[राजसूय यज्ञ]] का अनुष्ठान किया। उनका यह वैभव दुर्योधन के लिये असह्य हो उठा। उसने अपने भाई [[दु:शासन]] और वैभव प्राप्त सुहृद् कर्ण के कहने से [[शकुनि]] को साथ ले, द्यूत-सभा में जूए में प्रवृत्त होकर, [[युधिष्ठिर]] और उनके राज्य को कपट-द्यूत के द्वारा हँसते-हँसते जीत लिया। जूए में परास्त होकर युधिष्ठिर अपने भाइयों के साथ वन में चले गये। वहाँ उन्होंने अपनी प्रतिज्ञा के अनुसार बारह वर्ष व्यतीत किये। वे वन में भी पहले ही की भाँति प्रतिदिन बहुसंख्यक ब्राह्मणों को भोजन कराते थे। (एक दिन उन्होंने) अठासी हज़ार द्विजोंसहित [[दुर्वासा]] को (श्रीकृष्ण-कृपा से) परितृप्त किया। वहाँ उनके साथ उनकी पत्नी द्रौपदी और पुरोहित धौम्यजी भी थे। <br />

Revision as of 11:28, 10 October 2014

mahabharat
vivaran mahabharat bharat ka anupam, dharmik, pauranik, aitihasik aur darshanik granth hai. yah hindoo dharm ke mukhyatam granthoan mean se yah ek hai. yah vishv ka sabase lanba sahityik granth hai.
rachayita vedavyas
lekhak ganesh[1]
bhasha sanskrit
mukhy patr bhishm, krishna, arjun, dron, karn, duryodhan, abhimanyu, dhritarashtr, yudhishthir, draupadi, shakuni, kuanti, gaandhari, vidur adi
18 parv adiparv, sabhaparv, vanaparv, virataparv, udyogaparv, bhishmaparv, dronaparv, ashvamedhikaparv, mahaprasthanikaparv, sauptikaparv, striparv, shantiparv, anushasanaparv, mausalaparv, karnaparv, shalyaparv, svargarohanaparv, ashramavasikaparv
shlok sankhya 1 lakh se adhik
lokapriyata bharat, nepal, indoneshiya, shrilanka, java dvip, thailaiand, tibbat, myaanmar adi deshoan mean mahabharat bahut lokapriy hai.
sanbandhit lekh gita, indraprasth, hastinapur, jayasanhita, paandav, kaurav, ajnatavas, draupadi chiraharan, jayadrath vadh, gaandiv dhanush, ashvamedh yajn, akshauhini
any janakari anuman kiya jata hai ki mahabharat mean varnit 'kuru vansh' 1200 se 800 eesa poorv ke dauran shakti mean raha hoga. pauranik manyata ko dekhean to pata lagata hai ki arjun ke pote (putr ke putr) parikshit aur mahapadmanand ka kal 382 eesa poorv thaharata hai.

mahabharat hinduoan ka ek pramukh kavy granth hai, jo hindoo dharm ke un dharm-granthoan ka samooh hai, jinaki manyata shruti se nichi shreni ki haian aur jo manavoan dvara utpann the. kabhi kabhi sirf 'bharat' kaha jane vala yah kavy-granth bharat ka anupam, dharmik, pauranik, aitihasik aur darshanik granth hai. yah hindoo dharm ke mukhyatam granthoan mean se yah ek hai. yah vishv ka sabase lanba sahityik granth hai, halaanki ise sahity ki sabase anupam kॄtiyoan mean se ek mana jata hai, kintu aj bhi yah pratyek bharatiy ke liye ek anukaraniy srot hai. yah kriti hinduoan ke itihas ki ek gatha hai. poore mahabharat mean ek lakh shlok haian. vidvanoan mean mahabharat kal ko lekar vibhinn mat haian, phir bhi adhikatar vidvan mahabharat kal ko 'lauhayug' se jo date haian. anuman kiya jata hai ki mahabharat mean varnit 'kuru vansh' 1200 se 800 eesa poorv ke dauran shakti mean raha hoga. pauranik manyata ko dekhean to pata lagata hai ki arjun ke pote (putr ke putr) parikshit aur mahapadmanand ka kal 382 eesa poorv thaharata hai.

mahakavy ka lekhan

mahabharat mean is prakar ka ullekh aya hai ki vedavyas ne himalay ki talahati ki ek pavitr gufa mean tapasya mean sanlagn tatha dhyan yog mean sthit hokar mahabharat ki ghatanaoan ka adi se ant tak smaran kar man hi man mean mahabharat ki rachana kar li. parantu isake pashchat unake samane ek ganbhir samasya a kh di huee ki is mahakavy ke jnan ko samany jan sadharan tak kaise pahuanchaya jaye, kyoanki isaki jatilata aur lambaee ke karan yah bahut kathin tha ki koee ise bina koee galati kie vaisa hi likh de, jaisa ki ve bolate jaean. isalie brahma ke kahane par vyas bhagavan ganesh ke pas pahuanche. ganesh likhane ko taiyar ho gaye, kiantu unhoanne ek shart rakh di ki kalam ek bar utha lene ke bad kavy samapt hone tak ve bich mean rukeange nahian. vyasaji janate the ki yah shart bahut kathanaeeyaan utpann kar sakati haian.

chitr:Blockquote-open.gif mahabharat shaanti parv adhyay-82:
krishna:-
he devarshi ! jaise purush agni ki ichchha se arani kashth mathata hai; vaise hi un jati-logoan ke kahe hue kathor vachan se mera hriday sada mathata tatha jalata hua rahata hai ॥6॥
he narad ! b de bhaee balaram sada bal se, gad sukumarata se aur pradyumn roop se matavale hue hai; isase in sahayakoan ke hote hue bhi maian asahay hua hooan. ॥7॥ age padhean:-krishna narad sanvad chitr:Blockquote-close.gif

atah unhoanne bhi apani chaturata se ek shart rakhi ki koee bhi shlok likhane se pahale ganesh ko usaka arth samajhana hoga. ganesh ne yah prastav svikar kar liya. is tarah vyas bich-bich mean kuchh kathin shlokoan ko rach dete. jab ganesh unake arth par vichar kar rahe hote utane samay mean hi vyas ji kuchh aur naye shlok rach dete. is prakar sampoorn mahabharat tin varshoan ke antaral mean likhi gayi. vedavyas ne sarvapratham punyakarma manavoan ke upakhyanoan sahit ek lakh shlokoan ka ady bharat granth banaya. tadantar upakhyanoan ko chho dakar chaubis hazar shlokoan ki bharat sanhita banayi. tatpashchat vyas ji ne sath lakh shlokoan ki ek doosari sanhita banayi, jisake tis lakh shlok devalok mean, pandrah lakh pitrilok mean tatha chaudah lakh shlok gandharvalok mean samadrit hue. manushyalok mean ek lakh shlokoan ka ady bharat pratishthit hua. mahabharat granth ki rachana poorn karane ke bad vedavyas ne sarvapratham apane putr shukadev ko is granth ka adhyayan karaya.

mahabharat ke parv

mahabharat ki mool abhikalpana mean atharah ki sankhya ka vishisht yog hai. kaurav aur pandav pakshoan ke madhy hue yuddh ki avadhi atharah din thi. donoan pakshoan ki senaoan ka sammilit sankhyabal bhi aththarah akshauhini tha. is yuddh ke pramukh sootradhar bhi aththarah hai.[2] mahabharat ki prabandh yojana mean sampoorn granth ko atharah parvoan mean vibhakt kiya gaya hai aur mahabharat mean bhishm parv ke antargat varnit shrimadbhagavadgita mean bhi atharah adhyay haian. sampoorn mahabharat atharah parvoan mean vibhakt hai ‘parv’ ka moolarth hai- gaanth ya jo d.[3] poorv katha ko uttaravarti katha se jo dane ke karan mahabharat ke vibhajan ka yah namakaran yatharth hai. in parvoan ka namakaran, us kathanak ke mahattvapoorn patr ya ghatana ke adhar par kiya jata hai. mukhy parvoan mean pray: any bhi kee parv haian. (sampoorn mahabharat mean aise parvoan ki kul sankhya 100 hai) in parvoan ka punarvibhajan adhyayoan mean kiya gaya hai. parvoan aur adhyayoan ka akar asaman hai. kee parv bahut b de haian aur kee parv bahut chhote haian. adhyayoan mean bhi shlokoan ki sankhya aniyat hai. kinhian adhyayoan mean pachas se bhi kam shlok haian aur kinhian-kinhian mean sankhya do sau se bhi adhik hai. mukhy atharah parvoan ke nam is prakar haian:
lakshashlokatmak mahabharat ki sampoorti ke lie in atharah parvoan ke pashchat ‘khilaparv’ ke roop mean ‘harivansh puran’ ki yojana ki gayi hai. harivansh puran mean 3 parv haian-

  • harivansh parv,
  • vishnu parv,
  • bhavishy parv.

in tinoan parvoan mean kul milakar 318 adhyay aur 12,000 shlok haian. mahabharat ka poorak to yah hai hi, svatantr roop se bhi isaka vishisht mahattv hai. santan-prapti ke lie harivansh puran ka shravan labhadayak mana gaya hai.

mahabharat ke parv

agni puran "mahabharat"

'agni puran mean mahabharat ki sankshipt katha' [[chitr:Jarasandh1.jpg|bhim-jarasandh yuddh|thumb]] agnidev kahate haian- ab maian shrikrishna ki mahima ko lakshit karane vala mahabharat ka upakhyan sunata hooan, jisamean shrihari ne pandavoan ko nimitt banakar is prithvi ka bhar utara tha. bhagavanh vishnu ke nabhikamal se brahmaji utpann hue. brahmaji se atri, atri se chandrama, chandrama se budh aur budh se ila nandan puroorava ka janm hua. puroorava se ayu, ayu se raja nahush aur nahush se yayati utpann hue. yayati se puroo hue. pooroo ke vansh mean bharat aur bharat ke kul mean raja kuru hue. kuru ke vansh mean shantanu ka janm hua.
shantanu se ganganandan bhishm utpann hue. unake do chhote bhaee aur the-chitraangad aur vichitraviry. ye shantanu se satyavati ke garbh se utpann hue the. shantanu ke svargalok chale jane par bhishm ne avivahit rah kar apane bhaee vichitraviry ke rajy ka palan kiya. chitraangad balyavastha mean hi chitraangad nam vale gandharv ke dvara mare gaye. phir bhishm sangram mean vipakshi ko parast karake kashiraj ki do kanyaoan- ambika aur ambalika ko har laye. ve donoan vichitraviry ki bharyaean hueean. kuchh kal ke bad raja vichitraviry rajayakshma se grast ho svargavasi ho gaye. tab satyavati ki anumati se vyasaji ke dvara ambika ke garbh se raja dhritarashtr aur ambalika ke garbh se pandu utpann hue. dhritarashtr ne gandhari ke garbh se sau putroan ko janm diya, jinamean duryodhan sabase b da tha.
raja pandu van mean rahate the. ve ek rrishi ke shap vash shatashrriang muni ke ashram ke pas strisamagam ke karan mrityu ko prapt hue. (pandu shap ke hi karan stri-sambhog se door rahate the,) isaliye unaki ajna ke anusar kunti ke garbh se dharm ke aansh se yudhishthir ka janm hua. vayu se bhim aur indr se arjun utpann hue. pandu ki doosari patni madri ke garbh se ashvinikumaroan ke aansh se nakul-sahadev ka janm hua. (shapavash) ek din madri ke sath sambhog hone se pandu ki mrityu ho gayi aur madri bhi unake sath sati ho gayi. jab kunti ka vivah nahian hua tha, usi samay (soory ke aansh se) unake garbh se karn ka janm hua tha. vah duryodhan ke ashray mean rahata tha. daivayog se kauravoan aur pandavoan mean vair ki ag prajvalit ho uthi. duryodhan b di khoti buddhi ka manushy tha. usane laksha ke bane hue dhar mean pandavoan ko rakhakar ag lagakar unhean jalane ka prayatn kiya, kintu paanchoan pandav apani mata ke sath us jalate hue ghar se bahar nikal gaye. vahaan se ekachakra nagari mean jakar ve muni ke vesh mean ek brahman ke ghar mean nivas karane lage. phir bak namak rakshas ka vadh karake ve paanchal-rajy mean, jahaan draupadi ka svayanvar honevala tha, gaye. vahaan arjun ke bahubal se matsyabhed hone par paanchoan pandavoan ne draupadi ko patniroop mean prapt kiya. tatpashchat duryodhan adi ko unake jivit hone ka pata chalane par unhoanne kauravoan se apana adha rajy bhi prapt kar liya. arjun ne agnidev se divy gandiv dhanush aur uttam rath prapt kiya tha. unhean yuddh mean bhagavanh krishna-jaise sarathi mile the tatha unhoanne achary dron se brahmastr adi divy ayudh aur kabhi nasht n hone vale ban prapt kiye the. sabhi pandav sab prakar ki vidyaoan mean pravin the

pandavoan ka vanavas

pandukumar arjun ne shrikrishna ke sath khandavavan mean indr ke dvara ki huee vrishti ka apane banoan ki (chhatrakar) baandh se nivaran karate hue agni ko tript kiya tha.[[chitr:Bhishma1.jpg|thumb|left|mahabharat yuddh mean bhishm krishna ki pratijna bhang karavate hue]] pandavoan ne sampoorn dishaoan par vijay payian yudhishthir rajy karane lage. unhoanne prachur suvarnarashi se paripoorn rajasooy yajn ka anushthan kiya. unaka yah vaibhav duryodhan ke liye asahy ho utha. usane apane bhaee du:shasan aur vaibhav prapt suhridh karn ke kahane se shakuni ko sath le, dyoot-sabha mean jooe mean pravritt hokar, yudhishthir aur unake rajy ko kapat-dyoot ke dvara hansate-hansate jit liya. jooe mean parast hokar yudhishthir apane bhaiyoan ke sath van mean chale gaye. vahaan unhoanne apani pratijna ke anusar barah varsh vyatit kiye. ve van mean bhi pahale hi ki bhaanti pratidin bahusankhyak brahmanoan ko bhojan karate the. (ek din unhoanne) athasi hazar dvijoansahit durvasa ko (shrikrishna-kripa se) paritript kiya. vahaan unake sath unaki patni draupadi aur purohit dhaumyaji bhi the.
barahavaan varsh bitane par ve virat nagar mean gaye. vahaan yudhishthir sabase aparichit rahakar 'kank' namak brahman ke roop mean rahane lage. bhimasen rasoiya bane the. arjun ne apana nam 'brihannala' rakha tha. pandav patni draupadi ranivas mean sairandhri ke roop mean rahane lagi. isi prakar nakul-sahadev ne bhi apane nam badal liye the. bhimasen ne ratrikal mean draupadi ka satitv-haran karane ki ichchha rakhane vale kichak ko mar dala. tatpashchat kaurav virat ki gauoan ko harakar le jane lage, tab unhean arjun ne parast kiya. us samay kauravoan ne pandavoan ko pahachan liya. shrikrishna ki bahin subhadra ne arjun se abhimanyu namak putr ko utpann kiya tha use raja virat ne apani kanya uttara byah di.

shrikrishna bane doot

[[chitr:Krishna-Arjuna.jpg|thumb|mahabharat ke yuddh mean arjun ko samajhate huye shrikrishna]] dharmaraj yudhishthir sat akshauhini sena ke svami hokar kauravoan ke sath yuddh karane ko taiyar hue. pahale bhagavanh shrikrishna param krodhi duryodhan ke pas doot banakar gaye. unhoanne gyarah akshauhini sena ke svami raja duryodhan se kaha-

'rajanh! tum yudhishthir ko adha rajy de do ya unhean paanch hi gaanv arpit kar do; nahian to unake sath yuddh karo.'

shrikrishna ki bat sunakar duryodhan ne kaha- 'maian unhean suee ki nok ke barabar bhoomi bhi nahian dooanga; haan, unase yuddh avashy karooanga.'

aisa kahakar vah bhagavanh shrikrishna ko bandi banane ke liye udyat ho gaya. us samay rajasabha mean bhagavanh shrikrishna ne apane param durdharsh vishvaroop ka darshan karakar duryodhan ko bhayabhit kar diya. phir vidur ne apane ghar le jakar bhagavanh ka poojan aur satkar kiya. tadanantar ve yudhishthir ke pas laut gaye aur bole-'maharaj! ap duryodhan ke sath yuddh kijiye.'

kaurav-pandavoan ka yuddh tatha parinam

agnidev kahate haian- yudhishthir aur duryodhan ki senaean kurukshetr ke maidan mean ja datian. apane vipaksh mean pitamah bhishm tatha achary dron adi gurujanoan ko dekhakar arjun yuddh se virat ho gaye, tab bhagavanh shrikrishna ne unase kaha-"parth! bhishm adi gurujan shok ke yogy nahian haian.[[chitr:Dronacharya.jpg|thumb|left|dhrishtadyumn dvara dronachary vadh]] manushy ka sharir vinashashil hai, kiantu atma ka kabhi nash nahian hota. yah atma hi parabrahm hai.

'maian brahm hooan'- is prakar tum us atma ko samajho. kary ki siddhi aur asiddhi mean samanabhav se rahakar karmayog ka ashray le kshatradharm ka palan karo."

shrikrishna ke aisa kahane par arjun ratharoodh ho yuddh mean pravritt hue. unhoanne shankhadhvani ki. duryodhan ki sena mean sabase pahale pitamah bhishm senapati hue tatha pandavoan ki or se raja drupad ke putr dhrishtadyumn senapati niyukt kiye gaye. donoan senapatiyoan mean bhari yuddh chhi d gaya. bhishm sahit kaurav paksh ke yoddha is yuddh mean pandav-paksh ke sainikoan par prahar karane lage tatha dhrishtadyumn aur pandav paksh ke vir kaurav-sainikoan ko apane banoan ka nishana banane lage.
kaurav aur pandav-sena ka vah yuddh, devasur-sangram ke saman jan p data tha. akash mean kh de hokar dekhane vale devataoan ko vah yuddh b da anandadayak pratit ho raha tha. bhishm ne das dinoan tak yuddh karake pandavoan ki adhikaansh sena ko apane banoan se mar giraya.

bhishm-dron vadh

dasavean din arjun ne viravar bhishm par banoan ki b di bhari vrishti ki. idhar drupad ki prerana se shikhandi ne bhi pani barasane vale megh ki bhaanti bhishm par banoan ki jh di laga di. donoan or ke hathisavar, ghu dasavar, rathi aur paidal ek-doosare ke banoan se mare gaye. bhishm ki mrityu unaki ichchha ke adhin thi. unhoanne yuddh ka marg dikhakar vasu-devata ke kahane par vasulok mean jane ki taiyari ki aur banashayya par so rahe. ve uttarayan ki pratiksha mean bhagavanh vishnu ka dhyan aur stavan karate hue samay vyatit karane lage. bhishm ke ban-shayya par gir jane ke bad jab duryodhan shok se vyakul ho utha, tab achary dron ne senapatitv ka bhar grahan kiya. ab dronachary tatha dhrishtadyumn ke senapatitv mean b da bhayankar yuddh hua, jo yamalok ki abadi ko badhane vala tha. virat aur drupad adi raja dronaroopi samudr mean doob gaye. hathi, gho de, rath aur paidal sainikoan se yukt duryodhan ki vishal vahini dhrishtadyumn ke hath se mari jane lagi. is samay yuddh mean dron bhi kal ke saman jan p date the. itane hi mean unake kanoan mean yah avaz ayi ki 'ashvatthama mara gaya'. itana sunate hi achary dron ne astr shastr tyag diye. aise samay mean hi dhrishtadyumn ne apani talavar ke ek hi var se dronachary ki gardan kat li.

karn aur arjun

[[chitr:Bhim-Dushasan.jpg|thumb|bhim dvara du:shasan vadh]] dron b de hi durdharsh the. ve sampoorn kshatriyoan ka vinash karake paanchavean din mare gaye. duryodhan pun: shok se atur ho utha. us samay karn usaki sena ka karnadhar hua. pandav-sena ka adhipaty arjun ko mila. karn aur arjun mean bhaanti-bhaanti ke astr-shastroan ki mar-kat se yukt mahabhayanak yuddh hua, jo devasur-sangram ko bhi mat karane vala tha. karn aur arjun ke sangram mean karn ne apane banoan se shatru-paksh ke bahut-se viroan ka sanhar kar dala; kiantu doosare din arjun ne use mar giraya.

draupadi ke paanchoan putroan ka vadh

tadanantar raja shaly kaurav-sena ke senapati hue, kiantu ve yuddh mean adhe din tak hi tik sake. dopahar hote-hote raja yudhishthir ne unhean mar giraya. duryodhan ki pray: sari sena yuddh mean mari gayi thi. antatogatva usaka bhimasen ke sath yuddh hua. usane pandav-paksh ke paidal adi bahut-se sainikoan ka vadh karake bhimasen par dhava kiya. us samay gada se prahar karate hue duryodhan ke any chhote bhaee bhi bhimasen ke hi hath se mare gaye the. mahabharat-sangram ke us atharahavean din ratrikal mean mahabali ashvatthama ne pandavoan ki soyi huee ek akshauhini sena ko sada ke liye sula diya. usane draupadi ke paanchoan putroan, usake paanchaladeshiy bandhuoan tatha dhrishtadyumn ko bhi jivit nahian chho da. draupadi putrahin hokar rone-bilakhane lagi. tab arjun ne siank ke astr se ashvatthama ko parast karake usake mastak ki mani nikal li. ashvatthama ko mara jata dekhakar draupadi ne hi anunay-vinay karake usake pran bachaye.

mahabharat yuddh mean senapatitv

[[chitr:Sanjaya-Dhritarashtra.jpg|thumb|left|dhritarashtr ko mahabharat ki ghatanaoan ka aankhoan dekha hal batate huye sanjay]]mahabharat yuddh ke prarambh hone par vir shikhandi pandavoan ke tatha pitamah bhishm kauravoan ke senapati niyukt hue. pitamah bhishm das dinoan tak kaurav sena ke senapati rahe. dasavean din ke yuddh mean shikhandi pandavoan ki or se bhishm ke samane akar dat gaya, jise dekhate hi bhishm ne astr parityag kar diya. krishna ke kahane par shikhandi ki a d lekar arjun ne apane banoan se bhishm ko jarjar kar diya tatha ve rath se niche gir p de, kiantu prithvi par nahian, tiroan ki shayya par. pitamah bhishm ke ahat hone par achary dron ko kauravoan ka senapati banaya gaya, jinhoanne paanch dinoan tak sena ka netritv kiya. yuddh ke pandrahavean din dronachary ne hazaroan pandav sainikoan ko mar dala tatha yudhishthir ki raksha mean kh de drupad tatha virat donoan ko mar diya. dronachary ke is roop dekhakar krishna bhi chiantit ho uthe. unhoanne socha ki pandavoan ki vijay ke lie dronachary ki mrityu avashyak hai. krishna ke kahane par bhim ne ashvatthama nam ke hathi ka vadh kar diya aur dronachary ko yah samachar diya ki unaka putr ashvatthama viragati ko prapt ho gaya hai. donachary ne dharmaraj yudhishthir se sachchaee janani chahi. yudhishthir ne kaha- 'haan, ashvatthama mara gaya, kintu nar nahian, kuanjar.' yudhishthir ke nar kahate hi krishna ne zor se shankh baja diya, jis karan dronachary age ke shabd n sun sake. dron ne astr-shastr pheank die tatha rath par hi dhyan-magn hokar baith ge. tabhi drupad-putr dhrishtadyumn ne khadg se dronachary ka sir kat diya.

senapatittv ka samay
kr.san. senapati din
1. bhishm 10 din (1-10)
2. dronachary 5 din (11-15)
3. karn 2 din (16-17)
4. shaly 1 din (18vaan din)[4]
5. ashvatthama 1 din (18vaan din)[5]

dron ki mrityu ke bad karn ko kauravoan ka senapatitv sauanpa gaya. kintu vah bhi adhik samay tak kauravoan ka netritv nahian kar saka. yuddh ke solahavean tatha satrahavean din karn ne bahut virata dikhaee, kintu satrahavean din hi vah arjun ke hathoan mara gaya. isake bad attharahavean din raja shaly ko kauravoan ka senapatitv mila. shaly adhe din tak hi yuddh mean tik sake. ve yudhishthir ke hathoan vir gati ko prapt ho gaye. isi din bhim ne duryodhan ki jangha to d di aur use ghayal avastha mean vahian chho d diya. ab kauravoan ke keval tin hi maharathi bache the- ashvatthama, kripachary aur kritavarma. sandhya ke samay jab unhean pata chala ki duryodhan ghayal p da hua hai, to ve tinoan vahaan pahuanche. duryodhan unhean dekhakar apane apaman se kshubdh hokar vilap kar raha tha. ashvatthama ne pratijna ki ki maian chahe jaise bhi ho, pandavoan ka vadh avashy karooanga. duryodhan ne vahian ashvatthama ko kauravoan ka senapati bana diya.

viroan ka dah-sanskar

pandavoan se jivanadan pane par bhi dusht ashvatthama ne abhimanyu ki patni uttara ke garbh ko nasht karane ke liye us par astr ka prayog kiya. vah garbh usake astr se pray: dagdh ho gaya tha; kiantu bhagavanh shrikrishna ne usako pun: jivan-dan diya. uttara ka vahi garbhasth shishu age chalakar raja parikshith ke nam se vikhyat hua. kritavarma, kripachary tatha ashvatthama- ye tin kauravapakshiy vir us sangram se jivit bache. doosari or paanch pandav, satyaki tatha bhagavan shrikrishna-ye sat hi jivit rah sake; doosare koee nahian bache. us samay sab or anatha striyoan ka artanad vyapt ho raha tha. bhimasen adi bhaiyoan ke sath jakar yudhishthir ne unhean santvana di tatha ranabhoomi mean mare gaye sabhi viroan ka dah-sanskar karake unake liye jalaanjali de dhan adi ka dan kiya. tatpashchat kurukshetr mean sharashayya par asin shantanunandan bhishm ke pas jakar yudhishthir ne unase samast shantidayak dharm, rajadharm (apaddharm), moksh dharm tatha danadharm ki batean sunian. phir ve rajasianhasan par asin hue. isake bad un shatrumardan raja ne ashvamedh yajn karake usamean brahmanoan ko bahut dhan dan kiya. tadanantar dvaraka se laute hue arjun ke mukh se moosalakand ke karan prapt hue shap se parasparik yuddh dvara yadavoan ke sanhar ka samachar sunakar yudhishthir ne parikshith ko rajasan par bithaya aur svayan bhaiyoan ke sath mahaprasthan kar svargalok ko chale gaye. yadyapi is adhyay ke ant tak mahabharat ki poori katha samapt huee-si jan p dati hai, tathapi ashramavasik parv se lekar svargarohan parv tak ka vrittant kuchh vistar se kahana shesh rah gaya hai; isaliye agale (pandrahavean) adhyay mean use poora kiya gaya hai.

yadukul ka sanhar aur pandavoan ka svargagaman

[[chitr:Jaydrath-vadh.jpg|thumb|jayadrath vadh]] agnidev kahate haian- brahmanh! jab yudhishthir rajasianhasan par virajaman ho gaye, tab dhritarashtr grihasth-ashram se vanaprasth-ashram mean pravisht ho van mean chale gaye. (athava rrishiyoan ke ek ashram se doosare ashramoan mean hote hue ve van ko gaye.) unake sath devi gandhari aur pritha (kunti) bhi thian. vidur ji davanal se dagdh ho svarg sidhare. is prakar bhagavanh vishnu ne prithvi ka bhar utara aur dharm ki sthapana tatha adharm ka nash karane ke liye pandavoan ko nimitt banakar danav-daity adi ka sanhar kiya. tatpashchat bhoomika bhar badhane vale yadavakul ka bhi brahmanoan ke shap ke bahane moosal ke dvara sanhar kar dala. aniruddh ke putr vajr ko raja ke pad par abhishikt kiya. tadanantar devataoan ke anurodh se prabhasakshetr mean shrihari svayan hi sthool sharir ki lila ka sanvaran karake apane dham ko padhare

ve indralok aur brahmalok mean svargavasi devataoan dvara poojit hote haian. balabhadr ji sheshanag ke svaroop the, at: unhoanne patalaroopi svarg ka ashray liya. avinashi bhagavan shrihari dhyani purushoan ke dhyey haian. unake antardhan ho jane par samudr ne unake niji nivasasthan ko chho d kar shesh dvarakapuri ko apane jal mean duba diya. arjun ne mare hue yadavoan ka dah-sanskar karake unake liye jalaanjali di aur dhan adi ka dan kiya. bhagavanh shrikrishna ki raniyoan ko, jo pahale apsaraean thian aur ashtavakr ke shap se manaviroop mean prakat huee thian, lekar hastinapur ko chale. marg mean dande liye hue gvaloan ne arjun ka tiraskar karake un sabako chhin liya. yah bhi ashtavakr ke shap se hi sambhav hua tha. isase arjun ke man mean b da shok hua. phir maharshi vyas ke santvana dene par unhean yah nishchay hua ki 'bhagavanh shrikrishna ke samip rahane se hi mujhamean bal tha.' hastinapur mean akar unhoanne bhaiyoan sahit raja yudhishthir se, jo us samay prajavarg ka palan karate the, yah sab samachar nivedan kiya. ve bole-

'bhaiya! vahi dhanush hai, ve hi ban haian, vahi rath hai aur ve hi gho de haian, kiantu bhagavanh shrikrishna ke bina sab kuchh usi prakar nasht ho gaya, jaise ashrotriy ko diya hua dan.' yah sunakar dharmaraj yudhishthir ne rajy par parikshith ko sthapit kar diya [[chitr:karn1.jpg|thumb|left|mahabharat yuddh mean karn ki viragati]] isake bad buddhimanh raja sansar ki anityata ka vichar karake draupadi tatha bhaiyoan ko sath le mahaprasthan ke path par agrasar hue. marg mean ve shrihari ke ashtottarashat namoan ka jap karate hue yatra karate the. us mahapath mean kramash: draupadi, sahadev, nakul, arjun aur bhimasen ek-ek karake gir p de. isase raja shokamagn ho gaye. tadanantar ve indr ke dvara laye hue rath par aroodh ho (divy roop dhari) bhaiyoan sahit svarg ko chale gaye. vahaan unhoanne duryodhan adi sabhi dhritarashtraputroan ko dekha. tadanantar (un par kripa karane ke liye apane dham se padhare hue) bhagavanh vasudev ka bhi darshan kiya isase unhean b di prasannata hueean yah maianne tumhean mahabharat ka prasang sunaya hai. jo isaka path karega, vah svargalok mean sammanit hoga.

rajy shasan prabandh

vedavyas ji dvara rachit mahabharat vishv ke asadharan granthoan mean se ek hai. rajanitik drishti se mahabharat ka mahatv sarvadhik hai. is granth mean rajadharm ke vividh aangoan ki vividh drishtiyoan se aur poorvacharyoan ke matanusar pratishtha ki gee hai.

rajy athava raja se sambandhit vichar

mahabharat mean likha hai ki pahale n koee rajy tha, n raja, n dand tha aur n dand dene vala, samast praja dharm ke dvara hi ek-doosare ki raksha karati thi.[6] lekin bad mean log moh, lobh, kam, rag, dvesh adi vikaroan se yukt hone ke karan dharmahin ho gaye. vaidik jnan ka lop hone se yajn-dharm nasht ho gaya. is arajakata ke yug mean praja trasit aur pi dit thi.

'rajy' manav jivan ke lie anivary sanstha

mahabharat ke anusar rajy manav jivan ke lie anivary sanstha hai. 'shaanti parv' mean likha hai ki "is jagat mean bhootal par yadi raja n ho to jaise jal mean b di machhaliyaan chhoti machhaliyoan ko kha jati haian, usi prakar shaktishali manushy durbaloan ko loot khaean. raja ke n rahane par praja varg ke log paraspar ek-doosare ko lootate hue nasht ho jate haian." [7] mahabharat mean rajatantr ko hi sarvashreshth shasan pranali mana gaya hai.

rajy ki utapatti ke vibhinn siddhaant

mahabharat mean rajy athava raja ki utpatti ke vishay mean anek siddhaantoan ka ullekh milata hai.

daivi siddhaant

shaantiparv mean likha hai ki arajak yug mean manushyoan ki kashtaprad sthiti ko dekhakar devata bhi trasit ho uthe aur brahmaji ki sharan mean jakar nivedan kiya ki manushy lok mean yajnadi karm-kriyaoan ka lop ho jane ke karan unaka bhi jivan sankatamay ho gaya hai aur unaka dev svabhav nasht ho raha hai. tab devataoan ke kasht nivaran hetu brahmaji ne ek lakh adhyay vale 'nitisar' ki rachana ki aur kaha ki yah dandaniti sampoorn jagat ki raksha karane mean samarth hogi.[8] devataoan ki prarthana par bhagavan narayan dev ne apane tej se ek manas putr ki rachana ki jo 'biraja' ke nam se vikhyat hua aur usi ki santati kramash: rajy karane lagi.[9] isase spasht hai ki raja tatha rajy ki utpatti mean daiviy yogadan tha.

samajik samajhauta siddhaant

shaantiparv ke 67 vean adhyay mean kaha gaya hai ki arajak avastha se pi dit aur trasit janata ne apas mean milakar ek samajhauta kiya jisake anusar , ham logoan ko katuvaki, vakashoor, dand-purush, parastrigami tatha paradhan ka apaharan karane valoan ko samaj se bahishkrit kar dena chahiye. kuchh samay tak is niyam ka palan kiya gaya. kalaantar mean phir vahi purani durvyavastha vyapt ho gayi. tab santapt janata ne pitamah brahma se prarthana ki ki "raja ke abhav mean ham sab log nasht ho jayeange. ap hamean aisa raja dijiye jo shasan karane mean samarth ho aur hamara palan kar sake." tab brahmaji ne manu ko raja hone ki ajna di, parantu manu ne anichchha prakat karate hue kaha ki rajakary bahut kathin hai, visheshat: mithyachari manushyoan par shasan. is par praja mean manu ko ashvasan diya aur kaha ki ap n darean, pap to use lagega jo use karega. ham log ap ki koshavriddhi ke lie pashuoan tatha svarn ka pachasavaan bhag evan ann ki upaj ka dasavaan bhag dete raheange, ham log ap se rakshit hokar jo kuchh dharmacharan kareange ap usake chaturthaansh ke phalabhagi hoange.[10] is samajhaute dvara raja ko sashart adhikar evan shaktiyaan pradan ki gayian. janata raja ke adesh ka palan usi sima tak karegi jahaan tak ki dharm ke anukool hai. dharm virodhi acharan karane par use pad se hata diya jayega. is prakar mahabharat mean rajy ki utpatti ke daivi siddhaant aur samajhauta siddhaant, donoan ka hi ullekh milata hai.

raja ka uttaradhikari

mahabharat ke adhyayan se spasht hai ki us samay raja vanshanugat ho chuka tha. anek sthaloan par hamean 'pitri paitamahan rajyam' [11] athava 'paitrik rajy'[12] ka ullekh milata hai, aur jin vanshoan ka itihas is granth mean sangrahit hai usamean bhi yahi pratidhvanit hota hai. sadharanataya pita ke pashchat usaka jyeshth putr hi rajyadhikari hota tha, parantu yadi jyeshth putr mean sharirik athava charitrik dosh hota tha to use apane adhikar se vanchit kar diya jata tha. aisi sthiti mean usake putr athava anuj[13] ko sianhasan pradan kiya jata tha. shreshth rajy ke gun- mahabharat mean usi rajy athava rashtr ko uttam mana gaya jai jo dhan-dhany tatha pashuoan se sampann ho. jisaki bhoomi upajaoo aur ratnagarbha ho. jahaan jal ka abhav n ho, varta unnatishil ho, kushal vyapari aur shilpi ho tatha prajajan svakaryarat, dharmaparayan, vyasanarahit aur parasparik sadabhavana se prerit hoan.

rajy ka svarup: saptaang siddhaant

mahabharat mean bhi rajy ke svaroop mean sat aang nihit haian, ye is prakar haian:

  1. raja
  2. amaty
  3. kosh
  4. dand
  5. mitr
  6. janapad
  7. pur.

inako mahabharat mean nam bhed se jahaan-tahaan anek bar smaran kiya gaya hai. shaantiparv mean raja ke karttavyoan ka ullekh karate hue bhishm ne kaha hai ki raja ko uchit hai ki vah sat vastuoan ki avashy raksha kare. ye haian raja ka apana sharir, mantri, kosh, dand, mitr, rashtr aur nagar. raja ko in sat ka prayatnapoorvak palan karana chahie.[14] rajy ke vividh aangoan ke parasparik sambandhoan ke vishay mean bhi mahabharat mean vivechana ki gee hai. shaanti parv mean rani sulabha raja janak se prashn karati hai ki rajy ke samast aang, jo vividh gunoan se yukt haian, unamean kis ko adhik mahattvapoorn mana ja sakata hai? is prashn ka samadhan is prakar kiya gaya hai ki sabhi aang samay-samay par apani vishishtata siddh karate haian aur jis aang se jo kary siddh hota hai, usake liye usi ki pradhanata mani jati hai. mahabharat mean bhi rajy ke aangoan ki tulana tri-dand se karake unake parasparik sahayog ko avashyak siddh kiya gaya hai.[15]

raja ka shirsh sthan

yadyapi yah saty hai ki apane-apane sthan par rajy ki satoan prakritiyaan apana vishisht mahatv rakhati haian, parantu apekshakrit raja ka sthan adhik mahattvapoorn hai. vah rajy ke vibhinn aangoan ka sanchalan hi nahian, varan unamean taratamy bhi sthapit karata hai. unaki raksha ka bhar bhi raja par hi hota hai. rajy ke kisi bhi aang ka ahit karane vale vyakti ko vah dandit kar sakata hai.[16]

raja ki shreshthata evan mahatv

mahabharat mean raja ko atyant mahattvapoorn sthan pradan kiya gaya hai. shaanti parv mean rajahin desh ko dhikkar yogy mana gaya hai. arajak rashtr nirbal tatha dasyujanoan se trasit hota hai. vahaan dharm ka abhav hota hai aur manushy ek-doosare ko vinasht karane lagate haian. bhishm ne to yahaan tak kaha hai ki raja rahit rajy mean rahana hi nahian chahiye. mahabharat mean raja ki shreshthata ke sambandh mean kaha gaya hai ki raja samast praniyoan ke lie guru ki bhaanti adaraniy hai. raja aur gau par prahar karane se bhroon hatya ka pap lagata hai.[17] raja sampoorn jagat ko dharan karane vala hai.[18] raja trivarg ka mool hai[19] aur vahian charoan yugoan ka srishtikarta hai.[20]

raja ka rajyabhishek

rajasianhasan par aroodh hone se poorv raja ke abhishek ki kriya avashyak thi. rajyabhishek ke bina koee bhi vyakti vaidh raja nahian mana jata tha. mahabharat mean anek rajaoan ke rajyabhishek ka ullekh prapt hai, jisamean sabase adhik mahattvapoorn varnan yudhishthir ke abhishek ka hai. is avasar par raja, unake bandhubandhav, praja varg, mantri tatha purohit adi sabhi upasthit rahate the. is avasar par raja praja ke kalyan hetu tatpar rahane ki pratijna karata tha aur bhoomi tatha any vastuean dan mean deta tha.

raja ki upadhiyaan

mahabharat mean raja ko anek upadhiyaan prapt hoti thian yatha rajan, rajendr, nrip, narendr, manushyendr janeshvar, prithvipati, lokanath adi. ye sabhi upadhiyaan prithvi evan praja donoan par hi raja ke adhikar ki soochak haian. raja ko prabhu, eesh aur eeshvar bhi kaha gaya hai jo usake devatv ki dyotak haian.

raja ke gun

mahabharat mean likha hai ki gun sampann vyakti hi shasan karane ka adhikari hai. gunavihin raja svayan to vipatti mean p data hi hai, praja ko bhi vipatti ke gart mean dal deta hai. gunayukt raja praja ka vishvas prapt karata hai. vah n pathabhrasht hota hai, aur n hi shribhrasht.[21] shaantiparv mean yudhishthir ke ek prashn ke uttar mean bhishm ne raja ke 36 gunoan ka ullekh kiya hai.[22] raja gunavan, shil sampann, mridu, dharmik, jitendriy, sudarshan, satyavadi, shaant, atmavan, trayi aur shastr ka jnata, prajn, tyagi, shatru ki durbalata samajhane mean tatpar, kriyavan tatha hath sankalp vala hona chahiye.

raja ke pramukh kary

mahabharat mean raja ke karyoan ke prasang mean bhi vistrit roop se likha gaya hai. raja ka pahala kary dharm ka anushilan karana hai. yadi vah dharm ka acharan karata hai to devata ban jata hai, aur yadi adharm ka acharan karata hai to narak mean girata hai.[23] raja ke pramukh kary nimnalikhit haian-

praja ki raksha

raja ko praja ki raksha karani chahiye. raja dvara palit rajy mean janata apane ko usi prakar rakshit anubhav kare, jaisa ki ek balak apane pita ki god mean anubhav karata hai. anushasan-parv mean maheshvar kahate haian ki rakshaniyata praja ka dharm hai, aur raksha karana raja ka.[24]

praja ka palan

mahabharat mean praja-palan raja ka dharm mana gaya hai. bhagavan maheshvar kahate haian ki kshatriy ka pradhan dharm praja palan hai. dharmapoorvak praja ka palan karane vala raja uttam lok prapt karata hai.[25] prajapalan mean yah karttavy bhi samavisht tha ki vah praja ke bharan-poshan aur jivika ka samuchit prabandh kare.

prajaranjan

mahabharat mean anek sthaloan par prajaranjan raja ka mukhy karttavy bataya gaya hai. vidur kahate haian ki jo raja netr, man, vani aur karm dvara praja ko prasann rakhata hai, usi se praja prasann rahati hai.[26] shaanti parv mean bhi kaha gaya hai ki jo raja paur-janapadoan ka ranjan karata hai usaka rajy kabhi asthir nahian hota.[27]

varnashram vyavastha ka sanchalan

samajik maryada ki raksha karana raja ka pramukh karttavy tha. mahabharat mean kaha gaya hai ki charoan varnoan ko svadharm mean sthapit karane vala raja devalok ko prapt karata hai. [28] bhishm ke anusar, chaturvarn dharm ki raksha karana aur praja ko varnasankarata se bachana raja ka sanatan dharm hai.

dandaniti ka sahi prayog

raja ko dandaniti ka uttam riti se prayog karana chahiye. isase charoan varn apane-apane dharm mean lage rahate haian tatha adharm mean jane se ruk jate haian. praja sab or se nirbhay evan kushalatapoorvak rahane lagati hai. shaanti parv mean likha hai ki samast prani dandaniti ke adhar par tike hue haian. raja dandaniti se yukt ho, usi ke anusar chale yah usaka sabase b da dharm hai.[29]

arthik kary

praja ki arthik evan bhautik unnati bhi raja ke karttavyoan mean sammilit thi. krishi pradhan desh hone ke karan krishi ki unnati aur krishakoan ko avashyak sahayata dena raja ka dharm mana gaya hai. anushasanaparv mean raja ko adesh diya gaya hai ki yadi varsha ke abhav mean krishak sianchaee ke lie koop ityadi ka nirman karean to vah unase kar n le.[30] vyapar evan shilp ki unnati bhi raja ka dharm mana gaya hai. shaanti parv ke anusar raja ko vyapariyoan ki putr ke saman raksha karani chahie.

kararopan evan kosh sangrah

shaantiparv mean likha hai ki raja prajajanoan se unhian ki raksha ke lie unaki ay ka chhatha bhag kar ke roop mean ekatrit kare.[31] raja ko utana hi kar lena chahie ki praja sankat mean n p d jaye. raja logoan ki kshamata ke anusar bhari aur halka kar lagaye. shaantiparv ke anusar raja ko aisi vyavastha karani chahiye jisamean aprapt arth ki vriddhi ho tatha prapt dhan ka supatroan mean samuchit vitaran kiya ja sake.[32]

prashasan sambandhi kary

mahabharat mean likha hai ki samooche rajy ka prashasanik vargikaran is prakar kiya jaye ki gaanv ka, das gaanvoan ka, sau gaanvoan ka tatha ek hazar gaanvoan ka alag-alag ek-ek adhipati banaya jaye. adhipatiyoan ke adhikar mean jo yuddh sambandhi tatha prabandh sambandhi kary sauanpe gaye hoan unaki dekhabhal koee dharmajn mantri kare. mahabharat ke adhyayan se vidit hota hai ki raja mantri, senapati tatha any varisht padadhikariyoan ki niyukti aur unake karyoan ka nirikshan karata tha. kosh v sena ka nirikshan karana, praja ke abhiyogoan ko sunakar aantim nirnay dena evan sandhi-vigrah ki niti nirdharit karana raja ke hi kary the. vah svayan yuddh-bhoomi mean upasthit ho sena ka sanchalan bhi karata tha.

guptacharoan ki vyavastha

mahabharat mean likha hai ki aantarik suraksha evan bahm suraksha donoan ki drishti se raja ko guptacharoan ki niyukti karani chahiye. raja ko apani nitiyoan ke prati janapratikriya ko janane ke lie bhi guptachar niyukt karane chahiye.

nishpaksh nyay

raja ko apani praja ko santan ki bhaanti sneh se dekhana chahiye, parantu nyay karate samay use snehavash pakshapat nahian karana chahiye. shaantiparv ke anusar raja nyay karate samay sada vadi-prativadi ki batoan ko sunane ke lie apane pas sarvarthadarshi vidvan purushoan ko bithae rakhe.[33] uchit dand ki vyavastha karana raja ka uttam dharm kaha gaya hai.

videsh niti evan yuddh se sambandhit kary

shaantiparv mean likha hai ki raja ko pur ki raksha karani chahie, karmachariyoan ke vishvas par hi nirbhar n rahakar, puravasiyoan ke anuchit sanghoan ka bhedan tatha shatru, mitr aur udasinoan ko janana chahie. buddhiman raja yadi rajy ka hit chahe to use hamesha yuddh ko talane ka hi prayatn karana chahie.[34] isake pashchat bhi yadi yuddh karana jaroori ho jaye to pahale shatru ke bal ke bare mean achchhi tarah pata laga lena chahie.

dushtoan par niyantran

mahabharat mean likha hai ki raja ko dharmacharan ke marg mean ane vali badhaoan ko door karane ke uddeshy se papiyoan v dushtoan par niyantran rakhana chahie. jo raja in sabako niyam ke andar rakhane mean samarth hokar bhi inhean kaboo mean nahian rakhata, vah inake lie hue pap ka ek-chauthaee bhag svayan bhogata hai.

shiksha ka prachar evan prasar

mahabharat s spasht hota hai ki raja sushikshit evan vidyanuragi hote the. mahabharat ke anusar shrotriy tatha vidvan brahmanoan ko vritti aur dan dena raja ke avashyak kary mane gaye haian.

rajy ka dharmik kary

mahabharat mean rajy ke adhipati dvara karane yogy dharmik krityoan ka barambar ullekh prapt hota hai. dhritarashtr yudhishthir ko adesh dete haian- dharm ko sammukh rakhana, isake sanrakshan evan sanchalan mean prasad n karana.

raja ka devatv

raja ke karyoan ki mahatta ke karan hi usake devattv ki bhi kalpana ki gee hai. aranyaparv mean ek sthan par use bhav (eeshvar) tatha badhru (vishnu) kaha gaya hai. raja ke devatv ki pushti prabhu eeshvar adi upadhiyoan se bhi hoti hai. parantu mahabharat mean dharmanusar shasan karane vale raja ko hi devattv ki pushti prabhu eeshvar adi upadhiyoan se bhi hoti hai. parantu mahabharat mean dharmanusar shasan karane vale raja ko hi devatv pradan kiya gaya hai, adharmi shasak ko nahian. shaantiparv mean bhishm utathv ko uddhrit karate hue kahate haian ki dharmacharan karane vala raja devata hai. isake viparit acharan karane vala raja narakagami hota hai.

raja par niyantran

mahabharat mean raja ki nirankushata ka samarthan nahian kiya gaya hai. usake oopar nimnalikhit niyantran the:

  • mahabharat mean raja ko shastranusar shasan karane par bal diya gaya hai.
  • raja dvara satyapath ka anusaran kiya jana chahiye mantri, mitr aur anuyayiyoan ka yah kartavy tha ki ve raja ko kupath par jane se rokean.
  • mantriparishad dvara niyantran- mantri shasan par bahut adhik niyantran rakhate the. mahabharat ka adesh hai ki raja unake sath samyak vichar karake hi shasan kare.
  • dharm raja se shreshth tha- raja ka kary keval dharm-maryada ki raksha karana tha. vah n to usamean parivartan kar sakata tha, n usaka atikraman.
  • brahmanoan dvara raja ki shakti par niyantran- shaantiparv mean bhishm kahate haian ki brahman apane tap, brahmachary shastr bal, nishkapat vyavahar athava bhedaniti se jaise bhi sambhav ho kshatriy jati ko dabane ka prayatn kare. praja par atyachar karane vale kshatriy ko brahman hi dava sakata hai, kyoanki kshatriy ki utpatti brahman se huee hai.[35]
  • janamat ka niyantran- mahabharat mean raja ke nirvachan se lekar nishkasan tak anek kshetroan mean rajaniti janamat se prabhavit dekhi jati hai. adiparv mean kaha gaya hai ki praja ne sarvasammati se kuru ko raja ke pad par pratishthit kiya tha.[36]
  • janata dvara prativad- adi parv mean pandavoan ke prati dhritarashtr ki anuchit niti ke viruddh sabhaoan mean tatha chaurahoan par janata ke virodhi pradarshanoan ka vistrit vivaran milata hai. isake alava bhi anek avasaroan par raja ki niti e viruddh uttejit janata ko prativad karate hue pate haian.

amaty (mantriparishad)

mahabharat mean mantriyoan ke liye sachiv, amaty, mantradharin, mantrasahay, sahayavan adi sanjnaoan ka prayog kiya gaya hai. shaanti parv mean kul, bahu, dhan amaty tatha buddhi raja ke prakritik bal kahe gaye haian.

mantriyoan ki sankhya

mahabharat mean mantriyoan ki sankhya ke vishay mean bhinn-bhinn vichar pratipadit kiye gaye haian. bhishm yudhishthir ko upadesh dete hue kahate haian ki mantriyoan ki sankhya 37 honi chahie- 4 brahman, 8 kshatriy, 21 vaishy, 3 shoodr tatha 1 soot. yah sankhya sampoorn mantrimandal ki ho sakati hai, kiantu isake aantargat ek chhota mantrimandal bhi hota tha. is mandal ke sadasyoan ki sankhya sadharanataya ath hoti thi. bhishm ke anusar mantriyoan ki sankhya kam-se-kam tin honi chahie.

mantriyoan ke gun

mahabharat mean likha hai ki mantri kulin, dhan ke lobh se to de n ja sakane vale, sada raja ke sath rahane vale, usaki achchhi salah dene vale, satpurush, sambandhit jnan mean kushal, bhavishy ka bhalibhaanti prabandh karane vale, samay ke jnan mean nipun tatha biti huee bat ke lie shok n karane vale hone chahie.[37]

mantriyoan ke kary

mahabharat ke anusar mantriyoan ke kary asimit the. ve raja ke rajanitik, dharmik tatha vaiyaktik sabhi karyoan se bhag lete the. shaanti parv mean raja ko adesh diya gaya hai ki vah gramadik adhikariyoan ke kary nirikshanarth dharmajn tatha alasyarahit sachivoan ki niyukti kare.[38] kar sangrah ka kary bhi amaty ko sauanpa jata tha. mantriyoan ko kootanitik kary , jaise shatruvarg mean bhed utpann karana adi bhi karane p date the. shaantiparv se vidit hota hai ki mko nyay kary bhi sauanpa jata tha.[39] rajasabha mean hamesha raja mantriyoan ke sath baithata tha aur unamean vichar-vimarsh karake hi avashyak karyoan ko karane ka adesh deta tha.

  • mantr ki gopaniyata par bal- mahabharat mean likha hai ki vahi raja rajy karane ka adhikari hai jisake gupt mantr ko shatru n jan sake. mantr raksha ka uttaradayitv raja aur mantri donoan par tha.
  • mantr-bhed ke dvar- mahabharat mean mantr bhed ke chh: dvar batae ge haian- mad, svapn, pravijnan, iangit-akar, dusht amaty tatha akushal doot mean vishvas. isalie raja ko in chh: dvaroan par rok lagane ka adesh diya gaya hai.
  • mantrana ka sthan- mahabharat ke anusar mantrana ya to susanvritamantr grih, rajaprasad ke oopari bhag ke kisi ekaant sthan mean athava parvat-shikhar ya arany mean trin adi se anavrit kisi nirjan sthan mean karana chahie.

pradhan sachiv (mahamantri)

mahabharat mean kee sthanoan par mahamantri ka bhi ullekh kiya gaya hai. yah mantriparishad ka pramukh hota tha. vah raja ki anupasthiti mean mantriparishad ka sanchalan karata tha tatha shasan vyavastha mean usaki mahattvapoorn bhoomika hoti thi.

raja sarvochch

mantriyoan ka bhagy poori tarah raja ke hath mean tha. mantri ki niyukti, padonnati, padavanati, padamukti evan nirvachan adi ke lie vahi uttaradayi hota tha. mahabharat mean unake parasparik sahayog par bahut bal diya gaya hai.

rashtr sabha

mahabharat mean rajasabha ke vibhinn nam prapt hote haian, jaise sansad, samiti tatha parishad. sabha mean raja, rajaparivar ke any sadasy, samant evan mitr, achary aur purohit, mantri, senapati tatha praja ke pratinidhi upasthit rahate the. sabha mean raja svayan upasthit hokar nirdeshan karata tha. usaki anupasthiti mean yah kary any sadasy (shreshth) ko sauanpa jata tha.

sabha ke kary

sabha ka pramukh kary tha desh ki samasyaoan par vichar karana aur rajy ki niti nirdharit karana. sabha mean rajanitik samasyaoan par bhi vichar kiya jata tha. sabha rajy ka sarvochch nyayalay bhi thi. raja sabha mean baithakar abhiyog ka nirnay karata tha. sabha mean manoranjan ki bhi ayojana ki jati thi. kaurav sabha mean dyoot kri da ke parinamasvarup hi mahabharat yuddh hua tha.

sabha ki karyapranali

sabha mean vichararth jo prastav prastut kiya jata tha, us par sabhi sadasy apana-apana mat vyakt karate the. sabhasadoan ko apane vichar prakat karane ki poorn svatantrata thi. raja svayan sabha mean upasthit rahata tha aur any sadasyoan ki bhaanti hi apana mat vyakt karata tha. sabha dvara svikrit prastav karyaanvit kiye jate the.

dand evan nyay vyavastha

shaanti parv mean likha hai ki praja ka palan karane ke nimitt rajadand dharan karana hi kshatriy dharm hai, sir mu dana rajadharm nahian.[40] bhishm ne kaha hai ki dand uddand manushyoan ka daman karata hai aur dushtoan ko dandit. is daman aur prakriya ke karan hi vidvan purush use dand kahate haian. mahabharat mean likha hai ki svayan eeshvar ne dharm ki raksha ke lie dand ko kshatriy ke hath mean samarpit kiya hai. mahabharat mean aparadhiyoan ko dand dena raja ka kartavy mana gaya hai. jis rajy mean shasak, dusht aur durachariyoan ko dand dvara vash mean nahian rakhate vahaan praja udvign ho uthati hai. shaantiparv mean to likha hai ki jo raja dandaniy vyaktiyoan ko dand nahian deta use atmashuddhi ke lie upavas karana chahiye. dand dena raja ka dharm hai, parantu dand samyak, nyayochit aur pakshapatarahit hona chahie.

dand ke prakar

mahabharat ke shaantiparv mean vakadand, dhan dand, kam dand tatha vadh dand ka ullekh kiya gaya hai[41] aur ashramavasik parv mean hirany dand vadh ka.[42] aparath evan aparadhi ke anuroop dand diya jana chahie. dharm ka vinash chahane vale tatha adharm ke pravartak duratmaoan ka vadh karana uchit hai. parantu brahman, doot, pita guru tatha paropakari pramukh abadhy mane jate haian. mahabharat mean varn ke anuroop dand dene ki bhi janakari prapt hoti hai.

dand ka uddeshy

mahabharat mean dand ka uddeshy aparadhiyoan mean bhay utpann karana aur unhean dand dena tha. shaantiparv mean kaha gaya hai ki rajadand ke bhay se hi papi pap aur praja prasad nahian karati. manushyoan ko prasad se bachane aur unake dharm ki raksha karane ke lie jo maryada sthapit ki gee hai, usi ka nam dand hai.

nyay vyavastha

dharm athava qanoon ke srot

mahabharat mean dharm ke tin srot mane gaye haian- shruti, smriti tatha shishtachar.[43] dharm ke anusar abhiyog ka nirnay karana raja ka kary tha, parantu dharm vishayak sanshay ka nirakaran karana parishad ka kary tha. isake sadasy dharm ke jnata vidvan brahman the.

nyayalay

nyay vyavastha ka sarvochch adhikari raja svayan hota tha. shaantiparv mean likha haian ki nyay karate samay raja ko apane pas tattvadarshi vidvan rakhane chahie.[44] anushasanaparv mean kaha gaya hai ki anek tattvadarshi shreshth purushoan ke sath paramarsh karake abhiyukt ke kathit aparadh, deshakal, nyay aur anyay adi ki vivechana karane ke pashchat hi shastranusar dand dena chahie.[45]

karyapranali

mahabharat se nyayalayoan ki karyapranali ki bhi janakari prapt hoti hai. vadi-prativadi apane sakshiyoan sahit upasthit hokar apana paksh prastut karate the. unake abhiyog ko sunana raja ki kartavy tha. mithya sakshy dena nindaniy hi nahian, dandaniy bhi mana jata tha. mahabharat mean shapath ka bhi ullekh hai. anushasanaparv mean saptrrishiyoan par chori ka abhiyog lagaya gaya tha, parantu shapath lene par ve nirdosh man liye gaye the.[46]

pararashtr niti evan aantarrajyiy sambandh

mandal siddhaant

yah siddhaant santulan sthapit karane hetu pratipadit kiya gaya tha. mandal ka kendr bindu vijigishu (vijay ki ichchha rakhane vala) kahalata hai. vijigishu raja ke agr bhag mean jis raja ki sima us rajy se milati hai use ari athava shatru kaha gaya hai. isake bad kramash: mitr aur-mitr, mitr-mitr raja hote haian. isi prakar prishth bhag mean kramash: shatru aur mitr rajaoan ki parampara hoti hai. vijigishu ke prishth bhag mean sthit raja ko parshnigrah kaha jata hai. vastav mean yah pichhe sthit shatru rajy hi hai. tadantar kramash: akranda, parshnigrahasar tatha akrandasar hote haian. is prakar vijigishu se age paanch aur usake pichhe ke char rajy mandal ke aang mane jate haian. inake atirikt madhyam aur udasin raja bhi hote haian. at: mandal ke rajaoan ki sankhya 12 hoti hai. isalie ise 'dvadash: rajamandal' kaha jata hai. inamean se pratyek raja ki paanch prakritiyaan hoti haian- amaty, kosh, durg, bal aur rashtr. at: mandal ke samast rajaoan ki prakritiyoan ki sankhya milakar 72 hoti hai. mahabharat mean hame 'dvadash rajamandal' unaki 60 prakritiyaan aur donoan ke sammilit yog 72 ka bhi ullekh mahabharat ke anusar mandalasth rajaoan ke sath rajanitik tathyoan ko dhyan mean rakhakar yathochit vyavahar karana chahie, athava shatru par akraman karane se poorv parshnigrah ki gatividhi bhalibhaanti samajh leni chahie. mitr, udasin, madhyasth tatha shatru ke prati kab kaisa vyavahar karana chahie isaka jnan bhi ve raja ke lie avashyak manate haian. shaantiparv mean likha hai ki raja udasin, ari tatha mitr ki gatividhiyoan ka jnan apane guptacharoan dvara prapt kare.[47]

shadguny niti

pararashtr niti ka ek mukhy adhar shadguny niti tha. isake chh: gun sandhi, vigrah, yan, asann, sanshray aur dvaidhi bhav haian. mahabharat mean kaha gaya hai ki jo raja shadguny niti ko bhalibhaanti janata hai vahi is prithvi ka upabhog kar sakata hai.[48] mahabharat mean sandhi evan vigrah ki vistrit vivechana ki gayi hai jabaki any gunoan ka kahian-kahian ullekh matr milata hai.

yuddh

mahabharat ke shaantiparv mean yuddh ki tulana yajn se ki gayi hai. yuddh karane ka vahi phal hota hai jo anant dakshinaoan se yukt yajn ka. kshatriy ke liye vir gati prapt karana dharm mana gaya hai. jo sainik yuddh bhoomi mean vir gati prapt karata hai vah indralok prapt karata hai aur isake viparit jo pith dikhakar yuddh se bhagata hai, vah narakagami hota hai.[49] mahabharat mean likha hai ki sarvapratham shatru ke pas doot bhejakar sandhi ki cheshta kare. doot ke prayas saphal nahian hone par hi yuddh arambh karana chahie. sandesh yah hai ki nitaant avashyak hone par hi yuddh ki sthiti apanaee jay. raja ko apane se durbal shatru par akraman karana chahie, apane se balavan par nahian. raja ko yuddh tabhi karana chahie jab vah hath mool ho, usake sainik hasht-pusht tatha santusht hoan aur kal usake anukool ho. mahabharat mean yuddh ke niyamoan ka bhi vistar se varnan kiya gaya hai.

upay

yuddh karana raja ka sarvashreshth dharm mana gaya hai, parantu yuddh mean vijay nishchit nahian hai. at: raja ko any upayoan se shatru ko vash mean karane ka adesh diya gaya hai. sadharanataya char upay mane gaye haian- sam, dam, bhed, tatha dand. mahabharat mean char upayoan ka to ullekh milata hi hai.[50] ek sthan par sat upayoan ka bhi vivaran prapt hota hai. ye the mantr, aushadhi, indrajal, sam, dam, dand tatha bhed. shaanti parv mean ek sthan par paanch upayoan ka bhi ullekh prapt hota hai- sam, dam, dand bhed tatha upeksha. isamean spasht hai ki moolat: upayoan ki sankhya char thi, parantu kramash: inaki abhivriddhi hoti gee.

upayoan se abhipray

sam ka arth hai shaantipoorn upayoan se shatru ko apane vash mean karana. dan ka arth dhan dekar shatru ki prakritiyoan ko apane paksh mean lana aur shatru se unhean virakt karana. bhed ka arth shatru tatha unake mitroan evan prakritiyoan mean bhed utpann karana aur dand ka arth hai balapoorvak yuddh dvara shatru ko apane vash mean karana.

guptachar vyavastha

mahabharat kal mean guptacharoan ki vyapak vyavastha thi. ve svarashtr evan videshi rashtroan mean niyukt kiye jate the aur vahaan ki janata ki gatividhi ka sookshm drishti se nirikshak karate the. mahabharat ke anusar guptacharoan ki niyukti svayan raja ko karani chahie. shaantiparv ke anusar jo vyakti kshudha, pyas aur shram sahan karane ki shakti rakhate hoan aur jinaki samyak pariksha li ja chuki ho, unhian ko guptachar niyukt karana chahie.

guptacharoan ke kary

svarashtr mean guptacharoan ke kary the- praja ki gatividhiyoan ka adhyayan, papi, chor adi kantakoan ka pata lagana, paur-sanghat bhedan tatha rajakiy karmachariyoan par drishti rakhana adi.[51] pararashtr mean ve mitr, shatru madhyam tatha udasin sabhi rashtroan mean niyukt kiye jate the. jahaan ve raja v praja donoan ki bhavanaoan ka adhyayan aur gatividhi ka sookshm roop se nirikshan karate the.

doot

mahabharat mean doot ka pradhan kary apane svami ki niti aur vicharoan se doosaroan ko avagat karana tha. bhagavan shrikrishna pandavoan ke nisrishtarth doot the. unhean kauravoan se sandhi tatha vigrah karane ka poorn adhikar tha.

rajakosh evan arthavyavastha sambandhi vichar

[[chitr:Vyasadeva-Sanjaya-Krishna.jpg|thumb|sanjay ko divyadrishti pradan karate huye vedavyas ji]] mahabharat mean dhan ka mahatv anek sthanoan par vyakt kiya gaya hai. shaantiparv mean likha hai ki dhan se hi dharm ka palan, kamana ki poorti, svarg ki prapti, harsh ki vriddhi, krodh ki shaanti, shastroan ka adhyayan tatha shatruoan ka daman sambhav hai.[52] at: dhan sangrah karana raja ka dainik krity mana gaya hai. mahabharat ke anusar, kosh ka nirikshan kary raja ko svayan karana chahie tatha apane kosh ki abhivriddhi bhi karani chahie. mahabharat mean anek sthaloan par dharmanusar kar grahan karane ka adesh diya gaya hai. kar samuchit hona chahie. vah n to itana adhik ho ki praja ko bhar sam pratit ho aur n itana alp ki rajy ki ay kam ho jae. kar samuchit jaanch-p datal ke pashchat nirdharit karana chahie. kar usi vyakti se lena chahie jo usake bhar ko vahan karane mean samarth ho.

rajy ki ay ke pramukh sadhan

mahabharat mean ek sthan par bali ko anyatr akar, lavan shulk, tar tatha nagavan ko rajy ki ay ka sadhan bataya gaya hai. [53] rajy ki ay ka pramukh sadhan bali athava bhoomi-kar tha. shulk ki tulana vartaman chuangi kar se ki ja sakati hai. karoan ke atirikt ay ke any sadhanoan mean dand, samant rajaoan dvara prapt upahar evan vijay se prapt dhan ka bhi ullekh kar sakate haian. arthadand bhi rajy ki ay ka sadhan tha.

uttaragita

'uttaragita' mahabharat ka hi ek aansh mana jata hai. prasiddh hai ki pandavoan ki vijay aur rajy prapti ke bad shri krishna ke satsang ka suavasar pakar ek bar arjun ne kaha ki bhagavan! yuddharambh mean apane jo gita-upadesh mujhako diya tha, yuddh ki mar-kat aur bhag-dau d ke bich maian bhool gaya hooan. kripa kar vah jnanopadesh mujhako phir se suna dijie.

dhritarashtr- vanagaman

pandavoan ne vijayi hone ke uparaant dhritarashtr tatha gaandhari ki poorn tanmayata se seva ki. pandavoan mean se bhimasen aise the jo sabaki chori se dhritarashtr ko apriy lagane vale kam karate rahate the, kabhi-kabhi sevakoan se bhi dhrishtatapoorn mantranaean karavate the. dhritarashtr dhire-dhire do din ya char din mean ek bar bhojan karane lage. pandrah varsh bad unhean itana vairagy hua ki ve van jane ke lie chhatapatane lage. ve aur gaandhari yudhishthir tatha vyas muni se ajna lekar van mean chale gaye.


panne ki pragati avastha
adhar
prarambhik
madhyamik
poornata
shodh

tika tippani aur sandarbh

  1. vedavyas ji ne shlok bole jinhean ganesh ji ne likha.
  2. dhritarashtr, duryodhan, du:shasan, karn, shakuni, bhishm, dron, kripachary, ashvatthama, kritavarma, shrikrishna, yudhishthar, bhim, arjun, nakul, sahadev, draupadi aur vidur.
  3. vi.es. apte: sanskrit-hindi-kosh, pri. 595
  4. 18vean din shaly adhe din tak hi yuddh mean tik sake aur yudhishthir ke hathoan mare gaye.
  5. kauravoan ke keval tin hi maharathi bache the- ashvatthama, kripachary aur kritavarma. sandhya ke samay jab unhean pata chala ki duryodhan ghayal p da hua hai, to ve tinoan vahaan pahuanche. ashvatthama ne pratijna ki ki maian chahe jaise bhi ho, pandavoan ka vadh avashy karooanga. duryodhan ne vahian ashvatthama ko kauravoan ka senapati bana diya.
  6. shanti parv mahabharat,67.16-17
  7. shanti parv mahabharat,67.16-17
  8. shanti parv mahabharat,59.11-29
  9. shanti parv mahabharat,59.93-112
  10. shanti parv mahabharat,67.17-26
  11. adi parv mahabharat,194.5, shanti parv mahabharat
  12. udyog parv mahabharat,67.17-26
  13. yahaan anuj chhote bhaee ko kaha gaya hai.
  14. shanti parv mahabharat,69.64-65
  15. shanti parv mahabharat,308.154-156
  16. shanti parv mahabharat,57.5
  17. anushasan parv mahabharat,23.30
  18. shanti parv mahabharat,73.26
  19. shanti parv mahabharat,139.99
  20. shanti parv mahabharat, 70.25
  21. shanti parv mahabharat,56.16-19,57.12.14
  22. shanti parv mahabharat,71.2-11
  23. shanti parv mahabharat,90. 3-4
  24. ( rakshyatvan vai prajadharm: kshatradharmastu rakshaname)
  25. shanti parv mahabharat,71.2-11
  26. udyog parv mahabharat,34.23
  27. shanti parv mahabharat,137.107
  28. shanti parv mahabharat,25.31
  29. shanti parv mahabharat,69. 104
  30. anushasan parv mahabharat,61.25,
  31. shanti parv mahabharat,69.23-25
  32. shanti parv mahabharat,59.57
  33. shanti parv mahabharat,69. 27-28
  34. shanti parv mahabharat,69. 23
  35. shanti parv mahabharat,79. 20-23
  36. adi parv mahabharat,69. 23
  37. shanti parv mahabharat,115. 16-17
  38. shanti parv mahabharat,88. 10
  39. shanti parv mahabharat,85.15-16
  40. shanti parv mahabharat,24. 30
  41. shanti parv mahabharat,160. 68
  42. ashramavasik parv mahabharat,5. 31
  43. shanti parv mahabharat,251. 3
  44. shanti parv mahabharat,69. 28
  45. anushasan parv mahabharat,145
  46. anushasan parv mahabharat,95.13-15
  47. shaantiparv mahabharat,88.18-19
  48. shaantiparv mahabharat,69.64
  49. shaantiparv mahabharat,100.1-8
  50. shaantiparv mahabharat,5.51
  51. shaantiparv mahabharat,5.8. 5-12
  52. shaantiparv mahabharat,8. 21
  53. shaantiparv mahabharat, 69. 25-28

sanbandhit lekh

shrutiyaan